Poetry / 24

Abdul Ghaffar

Mujh Ko Raton Ki Siyahi Ke Siwa Kuch Na Mila

Mai wo nagma hon jise pyaar ki mahfil na mili
Wo musafir hon jise koi bhi manzil na mili
Zakham paye hain baharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Kisi gaisu kisi anchal ka sahara hi nahi
Raste mai koi dhandla sa sitara hi nahi
Meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Dil me nakam ummidon ke basere paye
Roushi lene ko nikla to andhere paye
Rang aur noor ke dharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Jo baat tujh me hai teri tasweer me nahi
Rangon me tera aks dhala na to dhal saki
Dilbar se pyaar ke shararon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Duniya me koi cheez nahi hai teri tarah
Phir ek bar aaja samene mere kisi tarah
Apne sanam se me ne bahanon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Poet :saaher loudhiyanwi



· 1 Like · Aug 02, 2015 at 09:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Abdul Kareem

Chalo Ek Bar Phir Se

Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono
Na mai tum se ummed rakhon dil nawazi ki

Na tum dekho mujhe galat andaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan barhey teri baton se

Na zaaher ho teri kashmaksh ka raaz ankhon se
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai pesh qadmi se

Mujhe bhi log kahete hain k ye jalwe paraye hain
Mere humrah bhi ruswaien hain mere maazi ki

Tumhare sath bhi guzri huwi raton ke saye hain
Mere sath bhi guzre huwe zakhmon ke saye hain

Ta’arrfu rog banjaye to uska bholna bahetar
Ta’alluq bojh ban jaye to uska tudna bahetar

Wo afsana jise anjam tak lana na mumkin ho
Usey ek khobsurat mod dekar chodna bahetar

Poet : Saher Loudhiyanwi



· 1 Like · Aug 01, 2015 at 17:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Kashif Mali

Ye Shayeri Ye Muhabbat Tere Wajood Se Hai

Ye Shayeri Ye Muhabbat Tere Wajood Se Hai
Ye Soz Ye Dard Ye Ulfat Tere Wajood Se Hai

Tujhi Ko Dekh Ke Dhalte hain Lafz Geeton Me
Mere Khayal Ki Shuhrat Tere Wajood Se Hai

Tere Hi Dam Se Hai Qaim Wafa Ka Taj Mahal
Meri Wafaon Me Shiddat Tere Wajood Se Hai

Tere Hi Naam Se Milta Hai Zindagi Ko Sukon
Tamam Ulfat-o-Rahat Tere Wajood Se Hai

Jo Ek Bar Padh Le omr Bhar Nahi Bhole
Kalam e Yas ki Shuhrat Tere Wajood Se Hai

Poet: Yasmeen Yas


· 1 Like · Jul 31, 2015 at 18:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Saakiya Saakiya (Pak Old)

Le ura phir koy khiyal humeen
Saakiya saakiya sunbhaal humeen

Ro rahe hain k aik adat hay
warna itna naheen malaal humeen

khalwati hain tere jamaal k hum
Aaine ki tara sunbhaal humeen

Marg anboh jashen shadi hay
Mil gaye dost hasbe haal humeen

Kiya touwaka karein zamane se
Ho bhi gar jurat e sawaal humeen

Hum yahan bhi naheen hain khush lekin
Apni mehfel se mat nikaal humeen

Hum tere dost hain fraz magar
Ab na uljhanoon main daal humeen.

· 1 Like · Jul 30, 2015 at 04:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Apne Ehesas se ( Pak Old)

Apne ehesas se choo kar mujhe sandal kar do
Main k sadiyon se adhura hoon mukamal kar do

Na tumeen hosh rahe na mujhe hosh rahe
Is qadar tuut k chaho mujhe pagal kar do

Tum hatheli ko mere pyaar ki mahndi se rango
Apni aankhon main mere naam ka kajal kar do

Is k saye main mere khuwab dehak utheen ge
Mere chehre pe chamakta huwa aanchal kar do

dhuop hi dhuop hoon main tuut kar barso muj par
Is qadar barso meri rouh main jal thal kar do

jaise sahraoon main har sham hawa chalti hay
Is tara muj main chalo aur mujhe thal kar do

Tum chupa lo mera dil oot main apne dil ki
Aur mujhe meri nigahoon se bhi ojhal kar do

Maslah hoon to nigaheen na churao muj se
Apni chahat se tuwajho se mujhe hal kar do

Apne gham se kaho har waqt mere sath rahe
Aik ehesaan karo is ko musalsal kar do

Muj par chaa jao kisi aag ki tara janaaa
Aur meri zaat ko sokha huwa jungal kar do

· 1 Like · Jul 28, 2015 at 08:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Koy Muj Ko (By Noshi Gailani Pak Old)

Koy muj ko mera bharpour sarapa la de
Mere bazoo meri aankheen mera chehra la de

Aisa darya jo kisi aur samandar main gere
Is se bahter hay k muj ko mera sehra la de

kuch naheen chahiye tuj se aye meri umr rawan
Mera bachpan mere jugno meri ghuriya la de

Jis ki aankheen mujhe andar se bhi parh sakti hoon
koy chehra to mere shehar main aisa la de

kashti to bhanwar main hay kai barsoon se
Aye KHUDA ab to dabo de ya kanara la de

· 1 Like · Jul 28, 2015 at 02:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Muzammil Shahzad

Laut Aai Tere Lams Se Mahaki Hui Shaamen

Laut Aai Tere Lams Se Mahaki Hui Shaamen
Phir Aag Lagaa Di Teri Saanson Ne Hava mein

Raqsaan Hain Isi Lay Pe Sitaaron Ki Shabnam
Kya Sehar Hai Is Dil Ke Dharakne Ki Sadaa Mein

Ik Noor Ka Sailaab Hai Band Aankhon Ke Andar
Lipate Hue Chehare Hain Andhere Ki Ridaa Mein

Kis Aag Ne Rakkha Hai Qadam Dil Ki Zameen Pe
Sooraj Se Damakate Hain Nishaan-E-Kaf-E-Paa Mein

Is Khauf Se Ik Umr Hamen Neend Na Aayi
Ik Chor Chhupa Baitha Hai Seene Ki Gufaa Mein

Jaag Uthaa Hai Dil Mein Koi Soya Hua Vehshi
Ham Ghar Mein Hain 'Shehzad' K Jangal Ki Fazaa Men

· 1 Like · Jul 22, 2015 at 11:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Muzammil Shahzad

Jo Shajar Sookh Gaya

Jo Shajar Sookh Gaya Hai Vo Hara Kaise Ho
Main Payamabar To Nahin Mera Kaha Kaise Ho

Dil Ke Har Zarre Pe Hai Naqsh Muhabbat Usaki
Noor Aankhon Ka Hai Aankhon Se Juda Kaise Ho

Jis Ko Jaana Hi Nahin Usko Khuda Kyun Maane
Aur Jise Jaan Chuke Hain, Vo Khuda Kaise Ho

Umr Saari To Andhere Mein Nahin Kat Sakati
Ham Agar Dil Na Jalaayen To Zia Kaise Ho

Jis Se Do Roz Bhi Khul Kar Na Mulaqaat Hui
Muddaton Baad Mile Bhi To Gilaa Kaise Ho

Kin Nigaahon Se Usey Dekh Raha Hun "Shehzad"
Mujh Ko Maaluum Nahin, Us Ko Pata Kaise Ho

· 1 Like · Jul 21, 2015 at 18:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Muzammil Shahzad

Haal Usaka Tere Chehare Pe Likha Lagta Hai

Haal Usaka Tere Chehare Pe Likha Lagta Hai
Vo Chup Chaap Kharra Hai Tera Kyaa Lagta Hai

Yun To Har Cheez Salamat Hai Meri Duniya Mein
Ek Taalluq Hai Jo Toota Hua Lagta Hai

Main Ne Socha Tha Ke Aabaad Hun Ek Shahar Mein Main
Yaa.N To Har Shakhs Ka Andaaz Juda Lagta Hai

Moddaten Beet Gayin Tay Na Hui Manzil-E-Shauq
Ek Aalam Mere Raste Mein Parra Lagta Hai

Ay Mere Jazbaa-E-Daaron Mujh Mein Kashish Hai Itni
Jo Khata Hota Hai Vo Teer Bhi Aa Lagta Hai

Jaane Kaun Si Pasti Men Ghiraa Hun "Shehzad"
Sooraj Bhi Is Qadar Door Hai Ke Diya Lagta Hai

· 2 Like · Jul 20, 2015 at 09:07
Category: 24
 
Beemari aur Dawa
Posted by sakeena hussain
Posted on : May 28, 2021

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS