Poetry / 24

Muzammil Shahzad

Main Khayaal Hun Kisi Aur Ka

Main Khayaal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aaina Mera Aks Hai Pas-E-Aainaa Koi Aur Hai

Main Kisii Ke Dast-E-Talab Mein Hun To Kisi Ke Harf-E-Duaa Mein Hun
Main Nasiib Hun Kisi Aur Ka Mujhe Maangta Koi Aur Hai

Kabhii Laut Aayen To Na Pochhna Sirf Dekhana Barre Ghaur Se
Jinhen Raaste Mein Khabar Hui K Ye Raasta Koi Aur Hai

Ajab Aitabaar-Bey Aitabaari Ke Daramiyaan Hai Zindagi
Main Qarib Hun Kisi Aur Ke Mujhe Jaanta Koi Aur Hai

Vahi Munsifon Ki Rivaayaten Vahi Faisalon Kii Ibaaraten
Meraa Jurm To Koi Aur Tha Par Meri Sazaa Koi Aur Hai

Teri Roshani Mere Khaddo-Khaal Se Mukhtalif To Nahin Magar
Tu Qarib Aa Tujhe Dekh Lon Tu Vahi Hai Yaa Koi Aur Hai

Jo Merii Rayazat-E-Neem-Shab Ko "Saleem" Subah Na Mil Saki
To Phir Is K Maani To Ye Hue Ke Yahaan Khudaa Koi Aur Hai

· 1 Like · Jul 19, 2015 at 18:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Muzammil Shahzad

Teri Zaat Se Nikalna Chahata Hai

Terii Zaat Se Nikalna Chahata Hai
Ye Dariya Rukh Badalna Chahata Hai

Vo Sapna Jis Ki Surat Hi Nahin Hai
Meri Aankhon Mein Chalna Chahata Hai

Dilon Kii Maandagi Pe Kya Taajjub
K Suraj Bhi To Dhalna Chahata Hai

Nashist-E-Dard Badali Hai To Ab Dil
Zara Pahalu Badalna Chahata Hai

Mujhe Bhii Saamna Hai Karbala Ka
Mera Sar Bhi Uchhalna Chahata Hai

Nahin Hai Tarjumaan-E-Gam Ye Aansu
Ye Paani Ab Ubalna Chahata Hai

Tabassum Zer-E-Lab Kahata Hai 'Amjad'
Koi Jazba Machalna Chahata Hai

· 1 Like · Jul 17, 2015 at 03:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain

Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laal o gohar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain

ab usske shahar main tahren k kooch kar jayen
faraaz aao sitaare safar k dekhte hain

· 1 Like · Jul 12, 2015 at 03:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Bna Gulab To Kante Chubha Gya Aik Shaks

BNA GULAB TO KANTE CHUBHA GYA AIK SHAKS
HUA CHARAGAA TO GHAR HE JALA GYA AIK SHAKS

TAMAM RANG MERE AUR SARE KHAWAB MERE
FASANA THY K FASANA BNA GYA AIK SHAKS

MOHBTAIN BHI AJAB US KI NAFRATAIN BHI KAMAL
MERI HE TRHA KA MUJH MEIN SMA GYA IK SHAKS

PALT SKUN NA AAGY HE BARH SKUN JIS PR
YE MUJ KO KONSE RASTY LGA GYA AIK SHAKS

ZAMANY BHAR K DUKHON KO BHULA CHUKA THA MAIN
MILAY WO ZAKHM K PHR SE YAD AA GYA AIK SHAKS

KHULA YE RAZ K AINA KHANAA HAI DUNIYA
AUR ISS MAIN MUJ KO DEWANA BNA GYA AIK SHAKS.

· 1 Like · Jul 11, 2015 at 16:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Very Last Ghazal Of Ahmed Faraz

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari

Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass

Jese Roothay Hoe Ko Manaa Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans

Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi

· 1 Like · Jul 04, 2015 at 21:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Bohat Chaha Usey Maghr Vo Mila Hi Nahi

bohat chaha usey maghr vo mila hi nahi
lakh koshish ki maghr fasla mita hi nahi

is ko zamane ne is kadar majbur kar diya
k vo meri kisi sadaa pe thehra hi nahi

har ik se pucha sabab us k na milne ka
har ek ne kaha k vo tere liye bana hi nahi

me tamam tar koshishon k bavajud haar ghai
or vo usey mil ghya jis ne usey mangha hi nahi

itni shidat se chaha usey or vo kisi or ka ho gheya
shaed is jaha me wafa ka koi sila hi nahi

· 1 Like · Jul 04, 2015 at 09:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye A

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe chhoor ke jane ke liye a

pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah e duniya hi nibhane ke liye a

kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a

kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a

ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
ae rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a

ab tak dil-e-Khush feham ko tujh se hain ummidain
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a

manaa k muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupake se kisi roz yeh jatane ke liye a

jaise tujhe ate hain na aane ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a

· 1 Like · Jul 03, 2015 at 15:07
Category: 24
 
Poetry / 24

Arz E Niyaaz E Ishq Ke Qaabil Naheen Raha


'arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar k maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa

waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair az nigaah ab koee haayal naheeN raha

go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha

dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee k waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha

bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

· 1 Like · Jun 30, 2015 at 00:06
Category: 24
 
Poetry / 24

Aditya

Aaj Rutha Huwa Dost

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.

Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.

Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.




· 2 Like · May 15, 2015 at 16:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Aditya

Ham Ko

Ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa

kaise mar mar k guzaarii hai tumhen kyaa maaluum
raat bhar taaron bharii raat pe ronaa aayaa

kitne betaab the rim jhim mein piiyenge lekin
aai barsaat to barsaat pe ronaa aayaa

kaun rotaa hai kisii aur k Gham kii Khaatir
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa

ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa

· 1 Like · May 14, 2015 at 22:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Aditya

Tanhai

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai


Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main aur meri tanhai


Saanson ka kya bharosa kab chhor jain saath
Laikin rahein gay saath main aur meri tanhai


Aaye na tumhe yaad kabhi bhool kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai


Aa k paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai


Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai

· 1 Like · May 14, 2015 at 16:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Aditya

Hasrat

Chahe jaane ki kisey hasrat nahi hoti

Magar her kisi ki aisi Qismat nahi hoti

Koi ek hota hai jo sama jaata hai Dil main

Her kisi se to yun hi Mohabbat nahi hoti

Pyaar khareedna hai to khareedo Pyaar se

Yeh jazba hai anmol is ki qeemat nahi hoti

Tum bhool gaye ho to yeh aur baat hai warna

Bhool jaana her kisi ki aadat nahi hoti

Un ko dekhne se jo milta tha Dil ko saroor

Ab kisi ko bhi dekhne se woh raahat nahi hoti

· 2 Like · May 12, 2015 at 19:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Adil Iftikhar

Tera Khayaal

Mairi Nigaah Ka Haasil Jamaal Tera Hai
K Iss Ghazal Mein Sarasar Khayaal Tera Hai

Ye Aaj Maira Likha Dey Raha Hai Jo Khushboo
Nahin Hai Iss Mein Maira Khuch Kamaal, Tera Hai

Mujhey Hai Fikr Teri, Main Chalo Bhula Doon Ga
Tu Kaisey Bhool Sakey Ga Sawaal, Tera Hai

Karoon Main Laakh Jatan Par Nikal Nahin Paata
Mujhey Jakarr K Jo Rakhta Hai Jaal, Tera Hai

Kaha Hai Dil Ne Mairey Aaj Mujh Say Ye 'Tanha'
Sanam Hain Sab K Mager Bemisaal, Tera Hai .....!

· 1 Like · May 12, 2015 at 13:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Fatima Zehra

Mout Ko Aana Hi Hai

Ja rahi hai jaan jisko ek din jana hi hai
Zindgi ke baad yaron maut ko aana hi hai.
Yeh zindgi aisi jisse hai sabko jeena
Kabhi to hasna hai kabhi to hai rona.
Aana jana duniya me sabka hai laga
Na koi chota hai na koi hai bada.
Kab ho jaye fana zindgi kisko hai pata
Dukh sukh hai jeevan ka sangam sabko hai pata.
Choti si hai zindgi hona na khafa
Pyar se kato zindgi ek din hona hai juda.
Khusiya sabko de do jee lo khusiyon me
Chand sitaron jaise jee lo sab pholo kalion me.
Jeevan ka yeh hi ek sach hai jisko aana hai
Zindgi ke baad "SAGAR" Maut ko aana hi hai..

· 2 Like · May 10, 2015 at 18:05
Category: 24
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS