Poetry / 24

Ab Se Tu Ne Mujhe Diwana Bana Rakha Hai

Jab se tu ne mujhe diwana bana rakha hai
sang har shaks ne hathoo mein utha rakha hai

uski dil per bhi kadi ishq mein guzri hogi
nam jis ne bhi muhabbat ka saza rakha hai

pathroo aaj mere sar per barste ku ho
main ne tum ko kabhi apna khuda rakha hai

pi ja aayam ki talkhi ko bhi hans ke nasir
gham ko sahne mei qudrat ne maza rakha hai

· 1 Like · Sep 03, 2015 at 15:09
Category: 24
 
Poetry / 24

Tujhe Bhula Doonga

main dil pe jabar karoonga, tujhe bhula doonga
maroonga khud bhi, tujhe bhi karri saza doonga

yeh tairgi mere ghar ka hi kiyon muqaddar ho
main tere shehar ke saray diye bujha doonga

isi khayal main guzri hai shaam-e-dard aksar
ke dard hadd say barhay ga to muskura doonga

tuu aasmaan ki soorat hai, gir paray ga kabhi
zameen hoon main bhi magar tujh ko aasraa doonga

barha rahi hain mere dukh nishaniyan teri
main tere khatt, teri tasweer takk jala doonga

bohat dinon say mera dil udaas hai MOHSIN
iss aainay ko koi aks ab naya doonga

· 2 Like · Aug 30, 2015 at 18:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Hum Log Na Thay Aisy

Hum log na thay aisy
hain jaisey nazar atey
aye waqt gawahi dey
Hum log na thay aisey

yeh sheher na tha aisa
yeh rog na thay aisey
deewar na thay rishty
zindan na thi basti
khaljan na thi hasti
yoon mot na thi sasti

yeh aj jo sooret hai
halaat na thay aisey
tafreeq na thi aisi
sanjog na thay aisey
aye waqt gawahi dey
hum log na thay aisey

· 1 Like · Aug 25, 2015 at 14:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Ijunoon

Tujh Se Milne Ko

TUJH Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain
To Khyalon Main Bohat Door Nikal Jaty Hain

Ger Wafaon Mein Sdaqat Bhi Ho Shiddat Bhi Ho
Phir To Ehsas Se Pather Bhi Pighal Jaty Hain

US Ki Aankhon K Nashe Main Hoon Jab Se Dooba
Larkhraaty Hain Kadam Or Sanbhal Jaty Hain

Bewafai Ka Mujhe Jab Bhi Khayal Ata Hai
Ashk Rukhsar Per Aankhon Se Phisal Jaty Hain

Pyar Mein Aik Hi Mosam Hai Baharon Ka Faraz
Log Mosam Ki Trah Kaise Badal Jaty Hain..

· 1 Like · Aug 23, 2015 at 07:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Waseem Mughal

Dukaan E Deed

Khamshi Keh Rahi Hai Kaan Mein Kya
Aa Raha Hai Mere Gumaan Mein Kya

Mujhko Tou Koi Tokta Bhi Nahi
Yehi Hota Hai Khaandaan Mein Kya

Bolte Q Nahi Mere Haqq Mein
Aabley Par Gae Zubaan Mein Kya

Shaam Hi Se Dukaan-E-Deed Hai Band
Nahi Nuksaan Tk Dukaan Mein Kya

Youn Jo Takta Hai Aasmaan Ko Tu
Koi Rehta Hai Aasmaan Mein Kya

Ye Mujhe Chain Q Nahi Parta
Ek Hi Shakhs Tha Jahan Mein Kya

· 1 Like · Aug 22, 2015 at 07:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Dostoo (Pak Old...By Muner Neaze)


Ashk e rawaan ki nahir hay aur hum hain dosto

Us bewafa ka sheher hay aur ham hain dosto

Yeh ajnabi si manzelen aur raftgan ki yaad

Tanhaiyoon ka zahir hay aur ham hain dosto

Layi hay ab ura k gaye mousmon ki baas

Barkha ki raat ka kahir hay aur ham hain dosto

Phirte hain misl e mouj hawa sheher sheher main

Aawargi ki lahir hay aur ham hain dosto

Sham alam dhali to chali dard ki hawa

Ratoon ka pichla pahir hay aur ham hain dosto

Aankhon main urr rahi hay lute mahfiloon ki dhool

Ebrat saraye dahir hay aur ham hain dosto

· 1 Like · Aug 15, 2015 at 05:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Jaan_e_ Aarzu (Pak Old)

Main aarzu_e_jaan likhon ya jaan_e_aarzu

Tu hi bata de naaz se emaan_e_aarzu

Aansu nikal rahe hain tasawar main ban k phool

Shahdaab ho raha hay gulestan_e_aarzu

Emaan o Jaan nisaar teri ek nigah par

Tu jaan_e_ aarzu hay tu emaan_e_aarzu

Hone ko hay talo,Saba_e_ shab wasaal

Bujhe to hain chirag shabestan_e_aarzu

Ek woh k aarzuon pe jete hain umrbhar

Ek ham k hain abhi se pasheymaan_e_ aarzu

Aankhon se joye khun hay rawaan dil hay dagh dagh

Dekhe koy bahaar_e_ gulestaan_e_aarzu

Dil main nishat_e_rafta ki dhundali si yaad hay

Ya shama_e_wesl hay teh daman_e_aarzu

Akhtar ko zindagi ka bharosa naheen raha

Jab se luta chuke sard samaan_e_aarzu

· 1 Like · Aug 14, 2015 at 20:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Kitna Hay Badnseeb (Pak Old)


Lagta naheen hay jee mera ujare deyaar main

Kis ki bani hay aalm e napayedaar main

Keh do hasratoon se kaheen aur ja baseen

Itni jagah kahan hay,Dil dagdaar main

umr daraz maang kar laye the chaar din

Do aarzu main kat gaye do intezar main

Kaantoon ko mat nikaal chaman se o bagbaan

Yeh bhi guloon k sath pale hain bahar main

Bulbul se koy shikwa na saiyad se gilah

Kismat main kaid likhi thi fasl e bahar main

Kitna hay badnaseeb zafar dafan k liye

Do gaze zameen bhi na mili koyeyaar main

· 1 Like · Aug 14, 2015 at 13:08
Category: 24
 
Poetry / 24

Muzammil Shahzad

Usay Bhi Thi

Zikar-E-Shab-E-Firaq Sè Wèhshat Usy Bhi Thi
Mèri Tarh Kisi Sè Mohbat Usy Bhi Thi,

Mujh Ko Bhi Shoq Tha Nayè Chèhron Ki Dèèd Ka
Rasta Badal K Chalny Ki Aadat Usy Bhi Thi,

Us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-E-Guftgu
Masroof Main Bhi Kam Tha Furagat Usy Bhi Thi,

Mujh Sè Bichar K Shèhr Mèn Ghul Mil Gaya Wo Shakhs
Halan k Shèhr Bhar Sè Adawat Usy Bhi Thi,

Wo Mujh Sè Barh K Zabt Ka Aadi Tha Jèè Gaya
Warna Har Ek Saans Qayamat Usy Bhi Thi,

Sunta Tha Wo Bhi Sab Sè Purani Kahaniyan
Shayad Rafaqton Ki Zarurat Usy Bhi Thi,

Tanha Hua Safar Mèn To Mujh Pè Khula Yè Bhèd
Saayè Sè Piyar Dhoop Sè Nafrat Usy Bhi Thi,

MOHSIN Main Us Sè Kèh Na Saka Yun Bhi Haal-E-Dil
Darpèsh Ek Taza Musibat Usy Bhi Thi~...

· 2 Like · Aug 03, 2015 at 07:08
Category: 24
 
Snow So Much Snow
Posted by Uzma Shaheen
Posted on : Aug 26, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS