Poetry / 24

Har Dorahay Pe Nigehbaan Khari Hai Kismat

Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye,

Ishq woh bala hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,

Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,
Chaand ko dhiyan mein laaon tera chehra ho jaye,

Har dorahay pe nigehbaan khari hai kismat,
Kese mumkin hai ke har shakhs ka socha, ho jaye,

Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai,
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,

Ishq woh kaar e musalsal hai nahin jis ki akheer,
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,

Husn ki ankh woh tashee talb hai amjad,
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye...!

· 1 Like · Nov 02, 2017 at 23:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Vo Badal Gaye Achanak Meri Zindagi Badal Kar

kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe maharban tum koi khushnasib hoga
meri hasratain to nikalin mere ansuon main dhal k

koi phool ban gaya hai koi chaand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k....!

· 1 Like · Nov 02, 2017 at 10:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Hasti Ka Aitbaar Kiye Bagair Reh Na Jaye

Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,

Katti nahin yeh zindagi umeed ke bagher,
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,

Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,

Dunya ke is fishaar mein hai us ki yaad yoon,
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,

Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye...!

· 1 Like · Nov 01, 2017 at 22:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle

Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Dilo Ke Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle

Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Pata Nahin Chalta
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle

Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle

Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laute Honge
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawah-E-Daam Se Pahle

Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle

Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad IhtiyataN Ham
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle...!

· 1 Like · Nov 01, 2017 at 16:11
Category: 24
 
Poetry / 24

Maikada Band Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal

Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Raqs Karta Howa Dekha Tera Saaya Mein Ne

Mujh se Mut Pooch Mere Mohtasib-e-sheher Se Pooch
Kiyoon Teri Aankh Po Paimaana Banaaya Mein Ne ?

Loog Kehte Hein Qasida Woh Tere Husn Ka Tha
Aam Sa Geet Jo Mehfil Mein Sunaya Mein Ne

Maikada Band Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal
Apni Tauba Ko Chatakhta Howa Paya Mein Ne

Shair o Naghmaat Ka Rishta Kabhi Toota Na Qateel
Jab Ghazal Bun Ke Woh Aaya Usay Gaaya Mein Ne...!

· 1 Like · Oct 30, 2017 at 09:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Uski

Saltanat Dil Mein Hee Nahi uski
Aasmaan Tak Hai SarZameen uski

Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen uski

Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen uski

Ab Bhi Roshan Hai Zindagi us Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen uski

Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin uski...!

· 1 Like · Oct 28, 2017 at 07:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Ataa Jisay Tera Aks E Jamaal Hota Hai

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai

Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal K
Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai

Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai

Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai

Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai

Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan Saghar
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai...!

· 1 Like · Oct 28, 2017 at 01:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Apni Dhun Mein Rehta Hoon

Apni dhun mein rehta hoon
Mein bhi tairay jesa hoon

Oo pichli rut ke sathi
Mein bhi tairay jesa hoon

Teri gali mein sara din
Dukh ke kankar chunta hoon

Mera diya jalaye kon
Mein tera khali kamra hoon

Tu jeevan ki bhari gali
Mein jungle ka tanha rasta hoon

Aati rut mujhe roye gi
Jaati rut ka jhonka hoon...!

· 2 Like · Oct 27, 2017 at 19:10
Category: 24
 
Poetry / 24

Teri Nigaah K Jadu Bikharte Jate Hain

Teri nigaah k jadu bikharte jate hain
Jo zakhm dil ko miley woh bharte jate hain

tairay bagher woh din bhi guzar gaye akhir
tairay bagher yeh din bhi guzarte jate hain

Liye chalo mujhe darya-e-shauk ki moujon
Ke hamsafar tou mere paar utarte jate hain

Tamaam umar jahan hanste khelte guzari
Ab us gali mein bhi hum darte darte jate hain

Mein khowishon k gharonday banaye jata ho
Woh mehnetain meri barbaad kiye jate hain...!

· 1 Like · Oct 27, 2017 at 13:10
Category: 24
 
Dream World
Posted by Imran Khan
Posted on : Jul 31, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS