Poetry / 0
Ali Bukhari
Mere Khawabon Mein Rang Uss Ne Bhare
mere khawabon mein rang uss ne bhare
phool mere naam k kitabon mein uss ne dhare
dil dhrkta hey jab pehn kar woh hijaab aaye
kiya ho hashar mera jo kabhi woh be niqaab aaye.
woh shokh nazron se dekh le tu qaddam mere behkene lagte hein
woh uski qaamat , jissam jesse sarma ki dhoop
uski chaal uski muskan uska rang roop
dekh k shaair sher kehne lagte hein
dhoond rahi thi nah jane kab se usse meri nigah
sun kar awaz koel jaisi hoa mein bhi aagaha
jiss ki awaz hey aise woh khud kaissi hogi
uske hussan ki salamti ko dil deta hey dua.
lub bolein nah bolein ankheein bolti hein
chupana lakh chaho dil ka bhaed kholti hein
labon per baat aae bhi tu poori kabhi adhoori
ankhon mein tu chahtein jhoola jhoolti hein.
unse kuch kehne ka irada kiya tha mein ne
kuch likh k saher dil ki batein ki waa mein ne
chilman ki oat se li unke anchal ki hawa mein ne
kehna bhi chaha lekun kehnne ka kiya na hosla mein ne.
piyar ki baresh mein bheegta woh kitna accha lage
apne aap ko bheegte lajate sharmate
bekhabar apni hi dhun mein gungunate
mujhko tu woh aik jal pari aik apsraa lage

·
1 Like ·
May 22, 2015 at 08:05
Category: 0
Poetry / 0
Maot Ki Aagosh Me Jab Thak Ke Su Jaati Hai Maa
MAOT KI AAGOSH ME JAB THAK KE SU JAATI HAI MAA
TAB KAHI JA KAR RAZA THODA SUKOON PAATI HAI MAA
FIKAR MEIN BACHOO KI KUCH IS TARAH GHUL JAATI HAI MAA
NUWJAWAN HUTE HUE BOODHI NAZAR AATI HAI MAA
RUH KE RISHTOO KI YE GAHRAYIAAN TO DEKHIYE
CHOT LAGTI HAI HUMARE AOUR CHILLATI HAI MAA
HADIYOON KA RAS PILA KAR APNE DIL KE CHAIN KO
KITNI HI RAATO ME KHALI PET SO JAATI HAI MAA
JANE KITNI BARF SI RAATOO ME AISA BHI HUA
BACHAH TU CHHATI PE HAI GEELE ME SO JAATI HAI MAA
JAB KHILONE KO MACHALTA HAI KOI GHURBAT KA PHOOL
AANSOON KE SAAZ PER BACHEY KO BAHLATI HAI MAA
FIKAR KE SHAMSHAN ME AAKHIR CHITAOON KI TARAH
JAISE SOOKHI LAKDIYAAN, IS TARAH JAL JAATI HAI MAA
APNE AANCHAL SE GULABI AANSUOO KO PUNCH KAR
DER TAK GURBAAT PE APNI ASHAK BARSATI HAI MAA
SAMNE BACHOO KE KHUSH RAHTI HAI HAR EK HAAL ME
RAAT KU CHHUP CHHUP KE LEKIN ASHAK BARSATI HAI MAA
KAB ZAROORAT HU MERI BACHE KO, ITNA SOCH KAR
JAGTI RAHTI HAIN AANKHEN AOR SO JAATI HAI MAA
MANGTI HI KUCH NAHI APNE LIYE ALLAH SE
APNE BACHON KE LIYE DAMAN KO PHAILATI HAI MAA
DE KE IK BIMAAR BACHE KO DUAYEEN AOUR DAWA
PAINTI PE RAKH KE SAR QADMOO PE SO JAATI HAI MAA
GAR JAWAN BAITI HO GHAR MEIN KOI RISHTA NA HO
IK NAYE IHSAAS KI SULI PE CHADH JAATI HAI MAA
HAR IBADAAT HAR MUHABAT MEIN NIHA HAI IK GARAZ
BE GARAZ BE LAOS HAR KHIDMAAT KO KAR JATI HAI MAA
ZINDAGI BHAR CHUNTI HAI KHAAR, RAH E ZEEST SE
JAATE JAATE NEMAT E FIRDAOUS DE JAATI HAI MAA
BAZOON ME KHEENCH KE AAJAYE GI JAISE KAINAAT
AISE BACHE KE LIYE BAAHON KO PHAILATI HAI MAA
ZINDAGANI KE SAFAR MEIN GARDISHOO KI DHOOP MEIN
JAB KOI SAYA NAHI MILTA TO YAAD AATI HAI MAA
PYAR KAHTE HAI KISEY AOR MAAMTA KYA CHEEZ HAI
KOI UN BACHOO SE PUCHEY JIN KI MAR JAATI HAI MAA
SAFHA E HASTI PE LIKHTI HAI USUL E ZINDAGI
IS LIYE IK MAKTAB E ISLAM KAHLATI HAI MAA
US NE DUNIYA KO DIYE MASOOM RAHBER IS LIYE
AZMATOO ME SANIYE QURAAN KAHLATI HAI MAA
GHAR SE JAB PARDES JAATA HAI KOI NOOR E NAZAR
HATH MEIN QURAAN LE KER DUR PE AAJATI HAI MAA
DE KE BACHE KO ZAMANT ME ALLAH PAAK KI
PICHEE PICHEE SAR JHUKAYE DUR TAK JATI HAI MAA
KANPTI AAWAZ SE KAHTI HAI BETA ALVIDA
SAMNE JAB TAK RAHE HATHOO KO LAHRATI HAI MAA
JAB PARISHANI ME GHAR JATE HAIN HUM PARDES ME
AANSUOO KO PONCHANEY KHWABOO MEIN AAJATI HAI MAA
DER HO JAATI HAI GHAR AANE ME AKSAR JAB HAMAIN
RET PER MACHILI HU JAISE AAISE GHABRATI HAI MAA
MARTE DUM BACHA NA AA PAYE AGAR PARDES SE
APNI DONO PUTLIYAAN CHAWKHAT PER RAKH JATI HAI MAA
BAB MAR JAANE KE PHIR BETE KI KHIDMAT KE LIYE
BHES BETI KA BADAL KAR GHAR ME AAJATI HAI MAA
HUM BALAOO ME KAHI GHIRTE HAI TO BEIKHTIYAAR
KAHIR HU BACHE KI, KAH KAR DAR PE AAJATI HAI MAA
CHAHE HUM KHUSHIYOO ME MAA KO BHOOL JAYEEN DOSTOO!
JAB MUSIBAAT SAR PE AATI HAI TU YAAD AATI HAI MAA
DOOR HO JAATI HAI SAARI UMAR KI IS DAM THAKAN
BYAAH KAR BETE KO JAB GHAR ME BAHOO LAATI HAI MAA
CHEEN LETI HAI WAHI AKSAR SUKOON E ZINDAGI
PYAAR SE DULHAN BANAKAR JIS KO GHAR LAATI HAI MAA
PHEIR LETE HAI NAAR JIS WAQAT BETE AOR BAHOO
AJNABI APNE HI GHAR ME HAI BANJATI HAI MAA
HUM NE YE BHI TO NAHI SOCHA ALAG HONE KE BAAD
JAB DIYA HI KUCH NAHI HUM NE TO KYA KHATI HAI MAA
ZABT TO DEKHOO KI ITNII BE RUKHI KE BAOWAJOOD
BUD DUAA DETI HAI HARGIZ AOR NA PACHTATI HAI MAA
ALLAH ALLAH BHOOL KAR HAR IK SITAM KO RAAT DIN
POTI POTE SE SHIKASTA DIL KO BAHLATI HAI MAA
BETA KITNA HI BURA HU, PAR PADOSAAN KE HUZOOR
ROOK KAR JAZBAAT KO BETE KE GUN GAATI HAI MAA
SHADIYAA KAR KE BACHE JA BASE PARDES ME
DIL KHATOO SE AOR TASWEERO SE BAHLATI HAI MAA
APNE SEENE PAR RAKHE HAIKAINAT E ZINDAGI
YE ZAMEEN IS WASTEY AYE DOST KAHLATI HAI MAA.
Written by MOHSIN CHISHTI

2 Like ·
May 10, 2015 at 12:05
Category: 0
Poetry / 0
Tanha Safar
Samajh Naa Sake Duriyaan Kyun Thin
Zubaan Par The Lafz
Phir Majbooriyaan Kyun Thin
Diloun Ki Baat Agar Chahe
Haqeeqat Hoti Hai.......
Humare Darmiyaan Woh
Khamooshiyaan Kyun Thin
Bune The Humne Bhi Kuch
Reshmi Dhaagoun K Khawab.......
Humare Hisse Me Woh
Kaali Duriyaan Kyun Thin
Samajh Naa Sake
Sargoshiyaan Hawaoun Ki......
Humare Hisse Sehra Ki
Aandhiyaan Kyun Thin
Tumhe Gureez Tha
Meri Chand Baatoun Se.......
Safar Tanha Toh Phir
Woh Duriyaan Kyun Thin
Zubaan Par The Lafz
Phir Majbooriyaan Kyun Thin
Diloun Ki Baat Agar Chahe
Haqeeqat Hoti Hai.......
Humare Darmiyaan Woh
Khamooshiyaan Kyun Thin
Bune The Humne Bhi Kuch
Reshmi Dhaagoun K Khawab.......
Humare Hisse Me Woh
Kaali Duriyaan Kyun Thin
Samajh Naa Sake
Sargoshiyaan Hawaoun Ki......
Humare Hisse Sehra Ki
Aandhiyaan Kyun Thin
Tumhe Gureez Tha
Meri Chand Baatoun Se.......
Safar Tanha Toh Phir
Woh Duriyaan Kyun Thin
·
1 Like ·
May 10, 2015 at 06:05
Category: 0
Poetry / 0
YUNHI KYA KAL BHI MERE GHAR ME ANDHERA HOGA
RAAT K BAAD SUNA HAI K SAWERA HOGA
MAI TO LUT JAONGA LEKIN MERE LUT JAANE K BAAD
KHUD HI LUT JAANE KO BETAAB LUTERA HOGA
SHAMA EK MUAM K PEAKAR K SIWA KUCH BHI NAHI
AAG JUB TAN ME LAGTI HAI TU JAAN AATI HAI
HUM SAMNDAR KI TARAH ZARF E WASEE RAKHTE HAIN
DIL ME TUFAAN HU CHEHRE PE SUKOON RAKHTE HAIN
BAITHE HUYE DETE HAIN WO DAMAN SE HAWAAYEEN
ALLAH KARE HUM NA KABHI HOSH ME AAYEEN
SAB K HONTO PE TABSSUM THA MERE QATAL K BAAD
JANE KYA SOCH KAR ROTA RAHA QATIL TANHA
TALKHI E GHAM NA CHALAK JAAYE KAHIN AANKHON SE
MUSKURATA HUN YAHI RAAZ CHUPANE K LIYE
YE KYA HUA TERI DUNIYA KO AYE KHUDA E KAREEM
K ZINDA LOG TARSTAY HAIN ZINDAGI K LIYE
RAHA YUNHI NAMUKAMAL MERE ISHQ KA FASANA
KABHI MUJH KO NEEND AAYIE KABHI SO GAYA ZAMANA
ZAMANA BADE SHAOQ SE SUN RAHA THA
HUME SO GAYE DASTAN KAHTE KAHTE
SHAMA NE JAN LI IS WAHAM ME PARWANE KI
SUBAH KO AAM NA HU JAAYE KAHI RAAT KI BAAT
HADSOO KA KYA HAI YE TO ZINDAGI KA SAATH HAIN
EK SE BACH KER CHALOGE TO DUSRA MIL JAYEEGA
DAMAN KO HAATH ME LIYE KAHTA THA YE QATIL
KAB TAK ISE DHOTA RAHON LALI NAHI JAATI
DIL NE EK CHEEZ BE BAHA MAANGI HAI
HUSN E MAGROOR KI FITRAT SE WAFA MANGI HAI
Yunhi Kya Kal Bhi Mere Ghar Me Andhera Hoga

May 10, 2015 at 00:05
Category: 0
Poetry / 0
Ab Tum Itni Bhi Be Rukhi Na Dikhaayaa Karo
Ab tum itni bhi be rukhi na dikhaayaa karo
Aake mujhe bhi thoda thoda manaayaa karo...
Andheraa bahut hai ghar mai jagah jagah
Mere saath chal k tum bhi diya jalaayaa karo...
Khuaab toh dekh liye maine kinte tumahre
Wajood mai bhi kabhi kabhi milne aayaa karo...
Jab paas khade ho tumahre itnaa kabhi toh
Zara soch ke aankh mai kaajal lagaayaa karo....
Bazaar ki tang galiyon se jab nikalna ho toh
Sar ko apne achhe se dupatta udaayaa karo.....
"Naresh" agar tanhaa rehta hai toh koi baat nahi
Tum be fikR ho k raat ko aaram se so jaayaa karo....

May 08, 2015 at 11:05
Category: 0
Poetry / 0
Usne Mujhey Hansna Sikhaya Kaise Jeena Hai Ye Samjhaya,
usne mujhey hansna sikhaya kaise jeena hai ye samjhaya,
tere sath guzara wo har pal yaad aata hai,
humne jab kiya unse apni mohabbat ka izhar,
to wo sochne lage k kaise karein humse pyar,
wo humari baat ko mazak samajh hans kar reh gaye,
or hum bus unke dost ban kar reh gaye,
ki koshish unko apna banane ki,
kitni hai mohhabat unko batane ki,
har koshish ki yakin dilane ki,
par wo na samjhe takleef is deewane ki,
isliye humne duniya chhor di unke liye,
kyunke hume aadat nahi unhe satane ki,
aaj unhe yakin aaya humara jab hum unke sath nahi hain
kyun mohabbat par yakin uske chale jaane k baad aata hai,...

May 07, 2015 at 23:05
Category: 0
Poetry / 0
Aamanat Rain
Phir Woh
Phir woh meri duniya mein aaya kyoun?
Joo sapnay rooth gaye thay mujh say
Unn sapnon ko in ankhon mein jagaya kyoun?
Mita chuki thee me hansi apnay honton say
Najaanay uss nay phir hansaya kyoun?
Mera dil jo dharakna bhool chuka tha
Iss pagal dil ko dharkaya kyoun?

May 07, 2015 at 16:05
Category: 0
Poetry / 0
Aamanat Rain
Tere Naam
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne Bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya
Mein hoon Gardishon ka maara huwa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Raston main ganwaa diya
Jiss ko samjha tha tu ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere Haath ki lakeer tha,usey tu ne haath se hi mita diya

May 07, 2015 at 10:05
Category: 0
Poetry / 0
Aamanat Rain
Laut Aanaa
us ne kaha sun
ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa
ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa
mahajurii kii thakan se lautaa kar atey hain
tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao
jin aankhon men Doobo
jis dil men bhii utro
merii talab aavaaz na degii
lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lo
itanii tez aur itanii uunchii ho jaaye
jab dil rode
tab laut aanaa

May 06, 2015 at 09:05
Category: 0
Sponored Video