Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Jab Hichki Aati Hay

Suna Hay

Jab Hichki Aati Hay

Tu !!!

Koii Yaad Karta Hay

Ager Is Baat Main

Thori See Bhi Haqiqat Hay

Tu Na Mumkin Hay

K

Tumhari Hichki

Ak Pal Bhi Rukti Ho

· 1 Like · Feb 10, 2017 at 05:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Main Kachi Neend Main Hoon

Main Kachi Neend Main Hoon

Or Apnay Neem Khowabeda Tanaffus Main Utarti

Chaandni Ki Chaap Sunti Hoon

Gumaan Hay

Aaj Bhi Shayed

Meray Mathay Pay Teray Lab, Sitaray Sabt Kartay Hain

· 1 Like · Feb 09, 2017 at 11:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mera Aaina, Mera Aks Bhi

Mera Aaina, Mera Aks Bhi,
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa,
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan,
Meri Aarzu, Meri Justajoo,
Meri Chashm-e-Tar,
Mera Har Safar,
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye,
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya,
Meri Hastiyan, Meri Bastiyan,
Meri Shairy, Meri Raagni,
Mere Saath Jinka Guzar Howa,
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa

· 2 Like · Feb 07, 2017 at 16:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Qissa Abhi Hijaab Se Aagay Nahein Barha

Qissa abhi hijaab se aagay nahein barha
Wo "aap" mein "janaab" se aagay nahein barha

Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye
Lekin mein pehlay baab se aagay nahein barha

Lambi musafatain hein magar es sawaar ka
Paaon abhi rakaab se aagay nahein barha

kalam k liye mein ne kiye sawaal
Wo mukhtasar jawab se aagay nahein barha

Rukhsaar ka pata nahein "ankhein" to khoob hein
Deedar abhi naqaab se aagay nahein barha

Wo lazzat-e-gunaah se mehroom hi raha
Jo khuwahish-e-sawaab se aagay nahein barha

· 1 Like · Feb 03, 2017 at 17:02
Category: love
 
Poetry / Love

Sochti Thi

Sochti Thi
Us Se Bichar K Na Ji Sakon gi
Marr Jaon Gi
Wo Awaz Na Sun Paai Tu
Aur Kya Sun Paon gi
Us KA Saath Na MiL Paya Tu
KaisY JeE PaAon Gi ??
Wo Chehra Na Daikh Saki Tu
Roshni Kaisy Paon Gi ?
Sochti Thi
Us Se Bicharr K Kaisy Ji Paaon Gi
Khud Ko KaisY BehLaOn gi
Lekin Dekho
Us Se Door Howy MujhKo KitnY Mosam Beet GaYe
Wo Chehra Door Hai Ab Mujh Se
Wo ALFaaz Nahi MiltY Ab
Lekin Phir b
Aankhon Ko Beenaai Salamat Ab bhi Hai
LafzOn Ka Zakheera Ab B Hai
AB B SansOn Ka Wohi TasalsuL
Waqfay WaqfaY Se Jari Hai
Ab B Banti Sanwarti HOn
Ab B Hansti Gaati HoN
Ab B Umda KaprY Pehn K
Sab Se MilnY Jati HoN
Ab B Aksar Tanhai Main
Milan K NaghmaY Gaati Hon
Ab Bhi Sab Kuch ChaL Hi Raha Hai
Ab Bhi Jeevan Guzar Raha Hai
Lekin Kya Hai
Ek Larki Jo MerY AndAr Basti Thi
Teri Madad Se
MaiNe Usko Maar He DiYa

· 1 Like · Feb 01, 2017 at 08:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Dabi Dabi Si Wo Muskurahat Labon Pe Apne Saja Saja K

Dabi Dabi Si Wo Muskurahat Labon Pe Apne Saja Saja K
Wo Naram Lehjay Mein Baat Karna, Ada Se Nazrein Jhuka Jhuka K

Wo Aankh Teri Shararti Si Wo Zulf Maathay Pe Nachti Si
Nazar Hattay Na Ek Pal Bhi Main Thak Gaya Hon Hata Hata K

Wo Tera Hathon Ki Ungliyon Ko Mila K Zulfon Mein Kho Sa Jana
Haya Ko Chehray Pe Phir Sajana Phool Chehra Khila Khila K

Wo Hath Hurron K Ghar Hon Jaise Wo Paon Pariyon K Parr Ho Jaise
Nahi Hai Teri Misal Jana Main Thak Gaya Hon Bata Bata K

· 3 Like · Jan 31, 2017 at 09:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Main Lafzon Main Kuch Bhi Izhaar Nahi Karti

Main Lafzon Main Kuch Bhi Izhaar Nahi Karti
Is Ka Matlab Ye Nahi Keh Main Tujh Say Pyaar Nahi Karti

Chahati Hoon Main Tujhay Aaj Bhi Per
Teri Soch Main Apna Waqt Barbaad Nahi Karti

Tamasha Na Ban Jaye Kahii Mohabbat Meri
Is Liye Apna Dard Ko NamoDaar Nahi Karti

Jo Kuch Mila Hay Usi Main Khush Hoon Main
Teray Liye KHUDA Say Taqrar Nahi Karti

Per Kuch Tu Baat Hay Teri Fitrat Main Zalim
Warna Main Tujhay Chahanay Ki Khatta Baar Baar Nahi Karti

· 1 Like · Jan 30, 2017 at 04:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Nazar Main Zulmat, Badan Main Thandak, Jamaal Kitna Ajeeb Sa Tha

Nazar Main Zulmat, Badan Main Thandak, Jamaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Main Us Ki Chahat Main Ghar Say Nikla, Tu Haal Kitna Ajeeb Sa Tha

Na Main Nay Us Ko Khatoot Likhay, Na Us Nay Meri Panah Chahi
Dono Ko Apni Be Khudi Pay, Malaal Kitna Ajeeb Sa Tha

Wo Meri Raaton Main Chand Dekhay, Main Apni Raaton Main Us Ko Socho
Badaltay Lamhon Main Soch Ka Ye Wisaal Kitna Ajeeb Sa Tha

Ye Zeest Tanha Hi Kaat Lo Gay, Jo Main Nay Pucha To Ro Dia Wo
Jawab Kitna Ajeeb Sa Tha, Sawal Kitna Ajeeb Sa Tha

· 1 Like · Jan 26, 2017 at 20:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Soch Kar K Teri Jabeen Par Na Bal Paday

Ye soch kar k teri jabeen par na bal paday !
Bus door hi se dekh liya or chal paday !

Dil mein phir ik kasak si uthi muddaton k baad !
Ek umar k ruke hue aansu nikl paday !

Seene mein be-qaraar hein murda muhabbatein !
Mumkin hai ye charaag kabhi Khud hi jal paday !

Ay dil tujhe badalti hui rut se kya mila ?
Poudoun mein phool or darakhton mein phal paday !

Ab kis k intazaar mein jagain tamaam shab ?
Wo saath ho to neend mein kaise Khlal paday ?

'Shehzad' dil ko zabt ka yaara nahein raha !
Nikla jo Maah taab samundar uchal paray !

· 1 Like · Jan 24, 2017 at 07:01
Category: love
 
darling give me the hair dryer!
Posted by faiz ahmed khan
Posted on : Oct 28, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS