Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tum Hi Yaad Aatay Ho

Har Haseen Mousam Ki Har Haseen Barish Main

Dard Tum Jagatay Ho

Be Waja Satatay Ho

Mousamon Kay Lutf Ko Tum Dard Main Bahatay Ho

Zindagi Kay Naam Say Tum Jee Mera Jalatay Ho

Lutf Kay Bhi Lamhay Yaad Main Ganwatay Ho

Har Haseen Mousam Ki Har Haseen Barish Main

Tum Hi Yaad Aatay Ho

Tum Hi Yaad Aatay Ho

· 1 Like · Mar 24, 2017 at 00:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Kuch Bhi Ho Jana

Mohabbat Kuch Bhi Ho Jana

Mohabbat Dars Deti Hay

Mohabbat Zabt Deti Hay

Mohabbat Barishain Aisi

Koii Tu Doob Jata Hay

Koii Tu Paar Hota Hay

Ye Wo Unwaan Hay Jana

Jisay Ham Likh Nahi Saktay

Koii Anjaam Ho es Ka

Suhail Itna Zara Socho

Mohabbat Jeet Jati Hay

Mohabbat Haar Deti Hay

Kise Ko Zinda Rakhti Hay

Kese Ko Maar Deti Hay

· 1 Like · Mar 23, 2017 at 16:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bheegi Palken

bheegi palken
dard se chalakti ankhen
ankhon mein lal dori
galon pe phisalta moti
lab katte hoye
main aksar usey
bari mehviyat se dekhta hon
pagli!
tujhe kya maloom
tujhe rula kar
main teri ankhon mein
sare jahan ka husn dekhta hon!!!!

· 1 Like · Mar 23, 2017 at 09:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bheegi Palken

bheegi palken
dard se chalakti ankhen
ankhon mein lal dori
galon pe phisalta moti
lab katte hoye
main aksar usey
bari mehviyat se dekhta hon
pagli!
tujhe kya maloom
tujhe rula kar
main teri ankhon mein
sare jahan ka husn dekhta hon!!!!

· 1 Like · Mar 22, 2017 at 09:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bujhta Huwa Diya Ye Saza De Gaya Mujhay

bujhta huwa diya ye saza de gaya mujhay
mai shola e junoon tha, hawa de gaya mujhay

mai lehlahaati shakh ko samjha tha zindagi
patta gira to dars e fana de gaya mujhay

sooraj ki chund jaagti kirnon ka qafila
khwabeeda manzilon ka pata de gaya mujhay

khushboo ka aik narm sa jhonka bahaar mai
guzray huway dinon ki sada de gaya mujhay

merey liye to saans bhi laina mahaal hai
ye kaun zindagi ki dua de gaya mujhay

mai khamoshi ka paikar e be rang tha "SEHAR"
ik shakhs bolnay ki ada de gaya mujhay

· 1 Like · Mar 20, 2017 at 12:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tumhain Ik Bat Kehni Hai

Tumhain Ik Bat Kehni Hai

Magar Naraz Mat Hona

K Tum Jo Har Ghari Mujhko

Itna Yaad Aatay Ho

Hamain Itna Satate Ho

K Hum Tum Door Hain Dono

Bohat Majboor Hain Dono

Naa Itna Yaad Aoo Tum

Naa Youn Itna Satao Tum

K Itna Yaad Aa Kar Yun

"Hamain Pagal Bana K Tum"

Faqat Itna Bata Do K

Hamari JAAN Lo Gay Kya?

Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai

Tumhari YAAD Hi To Hai

Jo Har Pal Saath Rehti Hai

Khushi Main Bhi, Ghamon Main Bhi

Udaasi K Palon Main Bhi

Tumhari YAAD Hi To Hai

Jo Har Pal Ye Batati Hai

Mujhe Ehsas Dilati Hai

K

HUM TUM BIN ADHURE Hain

· 1 Like · Mar 15, 2017 at 18:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Jo Diwane Se Do Char Nazar Ate Hain

ye jo diwane se do char nazar ate hain
in mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain

teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain
werna ye log to bedar nazar ate hain

door tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-ummid k asar nazar ate hain

mere daman mein shararon k siwa kuch bhi nahin
ap phulon k kharidar nazar ate hain

kal jise chu nahin sakti thi farishton ki nazar
aj wo raunaq-e-bazar nazar ate hain

hashr mein kaun gawahi meri dega
sab tumhare hi tarafdar nazar ate hain

· 1 Like · Mar 15, 2017 at 04:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Dharak Raha Hay Mera Dil Teray Tasawur Se

Dharak Raha hay Mera Dil Teray Tasawur se
k ek pal nahi Ghafil Teray Tasawur se

wagarna aur toh kuch bhi nahi hay duniya main
Sajaye baithay hain Mehfil Teray Tasawur se

har aik dard zamanay ka heech lagta hay
k ghum hoe hain woh haasil Teray Tasawur se

humari zeest main kantay thay har taraf Jana
k phool ho gaye shaamil Teray Tasawur se

Main sochta tha shab e wasl kaisi hoti hay
so hal hoyi hay yeh mushkil Teray Tasawur se

har aik lamha Tujhay baykhudi se sochtay hain
mili hay hum ko yeh manzil Teray Tasawur se

shab e firaaq k sab dard jhail letay hain
hoye hain Hum kisi Qaabil Teray Tasawur se

Sakoot e marg Mere chaar su tha chaya huwa
Main jee utha Meray Qaatil! Teray Tasawur se

yeh iss tarah mujhay apna kabhi khayaal na tha
huwa hon khud pe bhi mayel Teray Tasawur se

· 2 Like · Mar 13, 2017 at 09:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bhole Na Kisi Terha Aadab E Nazer Hum

Bhole na kisi terha aadab e nazer hum,
Murr ker na tujhe daikh sake wakt e safer hum

Aye Husn Kisi ne tujhe itna tou na chaha
barbad hua koun tere liye mager hum

Jeene ka humain khud na mila wakt tou kya hai
Logon ko sikhate rahe jeene ka hunar hum

Ab taire taluq se hamein yad hai itna,
Ek raat ko mehmaan rahe the taire ghar hum

Woh koun si aahat thi jo khuwabon mein dr ayi
Kia jaaniye, kyoun chounk paray pichle peher hum

· 1 Like · Mar 13, 2017 at 02:03
Category: love
 
Hina Rabbani Khar
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 11, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS