Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mera Wo Samaan Lota Do

ek dafa wo yaad hay tum ko

bin batii jab cycle ka chalaan hoa tha

ham ne kaise bhookay pyasay bicharoon si acting ki thi

hawaldar ne ulta aik athani de kr bhej dia tha

ek chawani mare thi wo chawani bhigwado

or bhi kuch saman tumhare pas pra hay wo saman bhigwado

sawan k kuch bheegay bheegay din rakhay hain,

aur meray ek khat mein lipti raat parri hai,

wo raat bujha do

mera wo samaan lota do,

pat jhar mein kuch paton k girnay ki aahat,

kanoo mein ek baar phel k lot ayi thi,

pat jhar ki wo shaakh abhi tak kanp rahi hai,

wo shaakh gira do

mera wo samaan lota do,

ek akeli chatri mein jab adhay adhay bheeg rahay thay

adhay sookhay adhay giilay

sookha to mein lay aya tha,

gela mann shayad bistar k pass para ho,

wo bhijwa do mera

wo samaan lota do,

ek so sola chand ki raatain,

ek tumharay kandhay ka dil,

giili mehndi ki khushbo,

jhoot mooth k shikway kuch,

jhoot mooth k waday kuch

sub yaad kara doon,
sub bhijwa doon

mera wo samaan lota do,

ek ijazat day do

bus jab is ko dafnaon ga,

mein bhi waheen so jaon ga

· 1 Like · Jan 06, 2017 at 21:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mera Wo Samaan Lota Do

ek dafa wo yaad hay tum ko

bin batii jab cycle ka chalaan hoa tha

ham ne kaise bhookay pyasay bicharoon si acting ki thi

hawaldar ne ulta aik athani de kr bhej dia tha

ek chawani mare thi wo chawani bhigwado

or bhi kuch saman tumhare pas pra hay wo saman bhigwado

sawan k kuch bheegay bheegay din rakhay hain,

aur meray ek khat mein lipti raat parri hai,

wo raat bujha do

mera wo samaan lota do,

pat jhar mein kuch paton k girnay ki aahat,

kanoo mein ek baar phel k lot ayi thi,

pat jhar ki wo shaakh abhi tak kanp rahi hai,

wo shaakh gira do

mera wo samaan lota do,

ek akeli chatri mein jab adhay adhay bheeg rahay thay

adhay sookhay adhay giilay

sookha to mein lay aya tha,

gela mann shayad bistar k pass para ho,

wo bhijwa do mera

wo samaan lota do,

ek so sola chand ki raatain,

ek tumharay kandhay ka dil,

giili mehndi ki khushbo,

jhoot mooth k shikway kuch,

jhoot mooth k waday kuch

sub yaad kara doon,
sub bhijwa doon

mera wo samaan lota do,

ek ijazat day do

bus jab is ko dafnaon ga,

mein bhi waheen so jaon ga

· 1 Like · Jan 06, 2017 at 14:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kaali Kaali Aankhain

Kaali Kaali Aankhain

In Kaali Kaali Aankhon Main

Kabhi Hum Rehtay Thay

Kabhi Hum Bastay Thay

In Kaali Kaali Aankhon Main

Kabhi Apna Thikana Tha

In Kaali Kaali Aankhon Main

Kabhi Hum Nay Aasha Payee Thi

In Kaali Kaali Aankhon Main

Kabhi Hum Nay Jout Jagaie Thi

· 1 Like · Jan 05, 2017 at 19:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Hamari Ankhain

Hamari Ankhain

Aoo Daikho
Hamari Ankhain Sulag Rahi Hain

Hamari Ankhain Tumhari Raahoon Ki Muntazir Hain
Hazar Jugnoo Uttar Rahay Hain
Hum Apny Ander Bikher Rahay hain
Daleel Kasi?
Jawaz Kaisa?
Tumhari Yadon Ki Khushboon Se Mehak Rahay Hain
Khayal Apnay Sisak Rahay Hain
Laboon Pe Kesi Ye Muskurahat Si Chaa Rahi Hai?
Tumhari Yadoon Ke Silsiloon Se Guzar Rahay Hain
Qareeb Aoo
Humain Bhi Jano
Humain Bhi Mano
Hum Tumhari Furqat Ke Anso Ko Chupa Rahay Hain
Tumhain Hum Itna Bata Rahay Hain
Humari Chahat Ka Koi Aisa Jawab Do Na
Hum Ko Apni Muhabaton Ke Gulab Do Na

Aoo Dekho
Humari Ankhain Sulag Rahi Hain

· 1 Like · Jan 05, 2017 at 09:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mughe Tumse Mohabbat Hai

MUGHE TUMSE MOHABBAT HAI

Meri jaan theek kahti ho
humaari is mohabbat ka
bhal kya faida hoga
humaare darmiyaan jo dooriyaan hain
kam nahi hongi
kabhi barishon k mausam mein
humesha saath rahne ki
jo khwaahishein dil mein jaagi thi
jo sapne humne dekhe thei
vo sapne toot jaayeinge
Meri Jaan ! theek kahti ho
Muqadar k likhe ko agar tasleem karna hai
to phir aisi mohabbat ka
koi bhi faida kaisa?
magar isko agar chaho
to meri bebasi keh lo
mughe tumse mohabbat hai

· 1 Like · Jan 04, 2017 at 05:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Hairat Hey Piyar Hey Hum Ko Jis Sey

Hairat Hey Piyar Hey Hum Ko Jis Sey
Wo Bohut Door Bohut Door Rehta Hey

Na Janey Kia Haal Ho Is Dil Ka
Jub Tu Ankhon Key Samney Ai

Chaar Soo Tery Mekh Hey Phailay
Her Jaa Tu Hi Tu Nazr Ai

Taire Nigahon Ka Dilasa Ho Mujhey
Jo Tu Duur Sey Mujh Sey Milney Ai

Ankhon Sey Chamaktey Jugnu Ruk Jain
Jo Tera Nam Meray Nam Key Sath Ai

· 1 Like · Jan 02, 2017 at 16:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kachi Divaar Hun Thokar Na Lagana Mujh Ko

kachi divaar hun Thokar na lagana mujh ko
apni nazaron men basa kar na girana mujh ko

tum ko aankhon men tasavvur ki tarah rakhata hun
dil men dhaDakan kii tarah tum bhi basana mujh ko

baat karne men jo mushkil ho tumhen mahafil men
main samajh jaaunga nazaron se batana mujh ko

vada utna hi karo jitna nibha sakate ho
Khowab pura jo na ho vo na dikhana mujh ko

apne rishte kii nazakat ka bharam rakh lena
main to ashiq huun divana na banana mujh ko

· 2 Like · Jan 01, 2017 at 15:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Dil Kii Divar O Dar Pe Kya Daikha

dil kii divar-o-dar pe kya daikha
bas teraa naam hii likha daikha

teri aakhon men hamne kya daikha
kabhi qatil kabhi Khuda daikha

apni suurat lagi pyari si
jab kabhi hamne aina daikha

haye andaz tairay rukne ka
vaqt ko bhii ruka ruka daikha

tere jane men aur ane men
hamne sadiyon ka fasala daikha

phir na aya Khayal jannat ka
jab tere ghar ka raasta daikha

· 1 Like · Jan 01, 2017 at 08:01
Category: love
 
Poetry / Love

Ye Jo Ham Hijr Men Divaar O Darr Ko Daikhte Hain

ye jo ham hijr men divaar o darr ko daikhte hain
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko daikhte hain

vo aaye ghar men hamaare Khudaa kii qudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apne ghar ko daikhte hain

nazar lage na kahin us ke dast-e-baazuu ko
ye log kyon mere zaKhm-e-jigar ko daikhte hain

tere javahir-e-tarf-e-kalma ko kyaa dekhen
ham auj-e-taalee-e-laal o gohar ko daikhte hain

· 1 Like · Dec 31, 2016 at 17:12
Category: love
 
berozegaar IT professional
Posted by shaista Anam
Posted on : Aug 01, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS