Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam

Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 17:01
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Wo Tera Ruthna Mujh Se

Wo tera ruthna mujh se,
Mera tujh ko mana lena,
Muhabbat ki nishani hai,
Gale mujhko laga lena,
Muhabbat jis sy hoti hai,
Usi pe maan hota hai,
>abhi mein ruth jau to mujhy tum mana lena,
Anna sy dur hi rehna k,
Ye sab kuch mita degi,
Muhabbat ke samander mein kbhi tofan b uthta hai,
Is tofan mein janam mujhy kashti bana lena,
Ager dubenge hum dono tou aik sath hi debenge,
Mera tumsy ye wada hai Mager tum bhi nibha leyna.

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 16:01
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Mein Hosh May Tha

Mein hosh may tha to us pay mar gaya kesay,
Yeh zaher mere laho may utar gaya kesay,

Kuch us k dil may lagawat zaror thi warna,
Woh mera haath daba k guzar gaya kesay,

Zaror uski tawajjo ki milawat thi warna,
Nashay may tha to mein apne he ghar gaya kesay,

Jisay bhulaye kai saal hogaye kamil,

Mein aaj uski gali say guzar gaya kesay'

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 16:01
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Us Ne Jab Jab

US NE JAB JAB BHI MUJHE DIL SE PUKARA
MENE TAB TAB YE BATAYA K ME SIRF TUMHARA HUN
LOG SADION KI KHATAON PER BHI KHUSHI SE BASTE HAIN
HUM KO LAMHON KI WAFAON NE UJARA

JAB HOGAYA YAQEEN K AB WO NAHI AEGA
GHUM OR AANSUON NE DIA DIL KO SAHARA

WO SATH THA JAB TO JENE KA BHI DIL KARTA THA
AB TOU PAL BHAR BHI HOTA NAHI GUZARA

USKO PANA TOU MUQADDAR KI LAKIRON ME HEN NAHI'
USKO KHONE KA BHI KESE GAWARA KARUN ME

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 16:01
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Bhawar Mein Phasi Meri Zindagi

Bhawar mein phasi meri zindagi,..
Pata nahi kis aur jaa rahi hai,..
Guzre waqt ko dabaye hue,'
Jaane kis mod par aa rahi hai,'
Kab kya hoga is se mein aajan ho,'
Aane wale toofan se pareshan ho,'
Guzarte waqt ke saath saath '
Shayed bhula dena tha tumko,'
Is rishte ko na banana tha'.
Yahi hai ek sachhai,..
Phir tumhein kya dosh do'
Bahoot kuch paya hai tumse,'.
Unhi yaado ko sanjoi ja raha ho,'
Rishto ke janjal mein uljhi jaa raha hai,'
Tumhare bina ek aadhuri zindagi,'.
Guzre waqt ko dabaye hue,'
Jaane kis mod par aa raha hai'

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 16:01
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Dil Ne Phir Yaad Kiya

Dil ne phir yaad kiya
Vo bhi kya din the humein dil mein bithaya tha kabhi
Aur hans-hans ke gale tumne lagaya tha kabhi
Khel hi khel mein kyun jaan pe ban aayi hai
Phir koi chot muhabbat ki ubhar aayi hai

Dil ne phir yaad kiya
Kya batayein tumhe hum shamma ki qismat kya hai
Gham mein jalne ke siwa aur muhabbat kya hai
Ye vo gulshan hai ke jisme na bahaar aayi hai
Phir koi chot muhabbat ki ubhar aayi hai

Dil ne phir yaad kiya
Hum vo parwane hain jo shamma ka gham bharte hain
Husn ki yaad mein khamosh jala karte hain
Aah bhi nikle to ye pyaar ki ruswayi hai
Phir koi chot muhabbat ki ubhar aayi hai

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 16:01
Category: ghazal Tags: Muhabbat Yaad
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Ab Aur Kya

Ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum

Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja'ein hum

Sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha

Sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum

Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb

Itna Na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum

Tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq

AA tere raaste mein sitare lota'ein hum

Woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz

Heh heh khuda Na karda tujhe bhi rula'ein hum'

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 16:01
Category: ghazal Tags: Bhool Khuda
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Hoyee Hai Shaam

Hoyee hai shaam tau aankhoon mein bus gaya phir tu

Kahan Gaya hai meray shehr ke musafir tu

Mein jaan ta hoon keh dunya tujhe badl de gi

Mein maan ta hoon keh aisa naheen bazahir tu

Bicharna hai tau hansi khushi se bichar ja

Yeh kya sochta hai hur muqaam peh aakhir tu

Faraz tu ne oose mushkiloon mein daal dya

Zamana sahib-e zar aur sirf shair tu''

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 16:01
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Dushman E Jaan

hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle'

tum magar dost kahaN thay pehle'

ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN'

phool hi phool jahaaN thay pehle'

ab jo deewar bunay baithay hain'

soorat-e mooj rawaaN thay pehle'

kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN'.

ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle'

hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro'

munzil hum sufraaN thay pehle'

ab kise waza-e mohabbat ka khayal'

aur hi loag yahaan thay pehle'

ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa'

tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle'

bun gya kafla chaltay chaltay '

wurna tunha hi rawaan thay pehle'

dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz'

itne muflis bhi kahaan thay pehle'''

· 1 Like · Jan 14, 2012 at 16:01
Category: ghazal
 
Zarine Khan Wallpaper
Posted by iJunoon
Posted on : Feb 25, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS