Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Mein Aadmi Hoon Aam Sa
Mein Aadmi hoon aam sa
Ek Qissa na-tamam sa.
Na lehja be-misal hai
Na baat mein kamal hai
Hoon dekhney mein aam sa
Udasion ki shaam sa,
jaisey k ek raaz hoon
Khud se be-niaz hoon
Na mehjabeeno se Rabt hai
Na Shuhraton ka zabt hai
Ranjha na qais hoon
Insha na Faiz hoon
Mei paiker-e-ikhlas hoon
Wafa, dua aur aas hoon
Mein shakhs khud-shnas hoon
TUM HI KARO KOI FAISLA !
Mei aadmi hoon AAM sa !!
Ya
Phir bohat hi "KHAAS" hoon !!!
Ek Qissa na-tamam sa.
Na lehja be-misal hai
Na baat mein kamal hai
Hoon dekhney mein aam sa
Udasion ki shaam sa,
jaisey k ek raaz hoon
Khud se be-niaz hoon
Na mehjabeeno se Rabt hai
Na Shuhraton ka zabt hai
Ranjha na qais hoon
Insha na Faiz hoon
Mei paiker-e-ikhlas hoon
Wafa, dua aur aas hoon
Mein shakhs khud-shnas hoon
TUM HI KARO KOI FAISLA !
Mei aadmi hoon AAM sa !!
Ya
Phir bohat hi "KHAAS" hoon !!!
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Tags: Admi Aadmi
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Dhoop Ho Chaon Ho
Dhoop Ho Chaon Ho Tum Sath Nibhaya KaRNa
Mere Chehre Pe Sada Palko Ka Saya KaRNa
Raah Daikhon Gi Tumhari Mai Sar-e-sham Yonhi
Kabhi Jaldi Kabhi Dair Se Aya KaRNa
Daant Lena Sir-e-Mehfil Koi Bat Nahi
Phir Akele Mei Galay Laga Ker Manaya KaRNa
Jan Jaon Gi Mai Khushbo Se Tumhri Tum Ko
Tum Peechey Se Meri Ankhon ko Chupaya KaRNa
Jagna Chaho Tu Rat Bhar Baaten KaRNa
Neend Aa jaye Tu Seene Per So jaaya KaRNa...!!
Mere Chehre Pe Sada Palko Ka Saya KaRNa
Raah Daikhon Gi Tumhari Mai Sar-e-sham Yonhi
Kabhi Jaldi Kabhi Dair Se Aya KaRNa
Daant Lena Sir-e-Mehfil Koi Bat Nahi
Phir Akele Mei Galay Laga Ker Manaya KaRNa
Jan Jaon Gi Mai Khushbo Se Tumhri Tum Ko
Tum Peechey Se Meri Ankhon ko Chupaya KaRNa
Jagna Chaho Tu Rat Bhar Baaten KaRNa
Neend Aa jaye Tu Seene Per So jaaya KaRNa...!!
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Kisi Ki Khatir Qarar Khona
Kisi ki khatir Qarar Khona,
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Tumhra Raton Ko Uth K Rona,
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Zamana Ehd-E-Shabab Ka hy
Naye Khwab-O-Khyaal Ka hy
Ye Shab-Bedari Or din ka sona
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Bhanwar Me Tum Mujhy chor aatay
younhi Mohabbt Ka Raaz rehta
Laa K Sahil Pe yun Dubona
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Kaha ye main ne daro KHUDA se
hamary dil ko dukha rahay ho
Wo hans k bole Chup raho na
Koi Sune ga To Kya Kahega.
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Tumhra Raton Ko Uth K Rona,
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Zamana Ehd-E-Shabab Ka hy
Naye Khwab-O-Khyaal Ka hy
Ye Shab-Bedari Or din ka sona
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Bhanwar Me Tum Mujhy chor aatay
younhi Mohabbt Ka Raaz rehta
Laa K Sahil Pe yun Dubona
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Kaha ye main ne daro KHUDA se
hamary dil ko dukha rahay ho
Wo hans k bole Chup raho na
Koi Sune ga To Kya Kahega.
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Tags: Khuda
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Zakhm E Dil
kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla
zakhm-e-dil ap ki nazron se bhi gehra nikla
torkar dekh liya aina-e-dil tune
teri surat k siwa aur bata kya nikla
tishnagi jam gai pathar ki tarah honton par
dub kar tere dariya main main pyasa nikla
zakhm-e-dil ap ki nazron se bhi gehra nikla
torkar dekh liya aina-e-dil tune
teri surat k siwa aur bata kya nikla
tishnagi jam gai pathar ki tarah honton par
dub kar tere dariya main main pyasa nikla
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Bheega Bheega Mosam
Tanha Tanha si Raat or Tanha Tanha se Hum
Afsurda Afsurda Yaden,
Bheega Bheega Mosam,
Sookhey patton ka Shor,
Andhery ki Sargoshi,
Dharkan ki Aahat,
Qismat se apne Shikway,
Tere ehsas ka atoot bandhan,
Tere sath guzre pal,
Tere loat aanay ke Umeeden,
Tere raste pe nazar,
Lamha lamha rat ka Dhalna,
Pal pal apni as ka Tootna,
Dil ke zakhmon ka ghera hona,
Afsurda Afsurda Yaden,
Bheega Bheega Mosam,
Sookhey patton ka Shor,
Andhery ki Sargoshi,
Dharkan ki Aahat,
Qismat se apne Shikway,
Tere ehsas ka atoot bandhan,
Tere sath guzre pal,
Tere loat aanay ke Umeeden,
Tere raste pe nazar,
Lamha lamha rat ka Dhalna,
Pal pal apni as ka Tootna,
Dil ke zakhmon ka ghera hona,
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Woh Jaa Chukaa Hai
Woh jaa chukaa hai
Magar judaai se qabl kaa
Ek narm lamha
Thehar gayaa hai
Miri hatheli ki pusht per
Zindagi mein
Pehli kaa chand bun ker
Magar judaai se qabl kaa
Ek narm lamha
Thehar gayaa hai
Miri hatheli ki pusht per
Zindagi mein
Pehli kaa chand bun ker
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Ek Bar Suno Kuch Aisa Hua
Ek Bar Suno Kuch Aisa Hua
Wo Mujko Mili
Me Usko Mila
Izhar Hua
Iqrar Hua
Wo Dost Bani
Me Yaar hua
Use Ishq Bohat
Muje Pyar Bohat
Hm 2no me takrar bohat
Phr Kch Yun Hua.
Wo Chorh Gayi
Main Toot Gya
Phr Kch Yun Mile
Wo Tanha Thi
Me Akela Tha
Bs Hum Do The
Or Koi Na Tha
Wo Rone Lagai
Me Bebas tha
Na Pyar Na Hi Izhar Raha
Wo Mujko Mili
Me Usko Mila
Izhar Hua
Iqrar Hua
Wo Dost Bani
Me Yaar hua
Use Ishq Bohat
Muje Pyar Bohat
Hm 2no me takrar bohat
Phr Kch Yun Hua.
Wo Chorh Gayi
Main Toot Gya
Phr Kch Yun Mile
Wo Tanha Thi
Me Akela Tha
Bs Hum Do The
Or Koi Na Tha
Wo Rone Lagai
Me Bebas tha
Na Pyar Na Hi Izhar Raha
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Tags: Bar
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Ankhon Me Sama Jatay
Ankhon me sama jatay ya dil mayn utar jatay,
Donoon ka bhala hota donon hi sanwar jatay ...
Miltay tau ye acha tha jeevan ki musafat main,
Kuch faaslay kam hotay kuch rooz guzar jatay ...
Doori bhi ganeemat hay ik aas tau hay weRNa,
Joo aas pay jeetay hayn woo log bikhar jaatay ...
Manzil na thikana hay acha hay nahin kuch bhi,
Ruktay tau kahan ruktay jaatay tau kahan jatay .
Donoon ka bhala hota donon hi sanwar jatay ...
Miltay tau ye acha tha jeevan ki musafat main,
Kuch faaslay kam hotay kuch rooz guzar jatay ...
Doori bhi ganeemat hay ik aas tau hay weRNa,
Joo aas pay jeetay hayn woo log bikhar jaatay ...
Manzil na thikana hay acha hay nahin kuch bhi,
Ruktay tau kahan ruktay jaatay tau kahan jatay .
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Aankhain Khuli Rahain Gi
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayen gay
Zinda hai dil toh aur sitamgar bhi ayen gay
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayen gay
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayen gay
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukaan main
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayen gay
Zinda hai dil toh aur sitamgar bhi ayen gay
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayen gay
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayen gay
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukaan main
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayen gay
·
1 Like ·
Jan 13, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Sponored Video