Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Muhabbat Teri Khamoshi
Muhabbat Is Tarah Jaisay Gulaabii Titliyon K Par
Muhabbat Zindagi Ki Jabien Naz Ka Jhoomer
Muhabbat Arzoo Ki Seep Ka Anmol Sa Gohar
Muhabbat Aas Ki Is Dhoop Mein Umeed Ki Chadar
Muhabbat Hai Teri Palkeen
Teri Ankhain , Teri Baten
Muhabbat Hai Tumahray Hijr Ki Aur Wasal Ki Raatain
Muhabbat Hai Teri Dharkan
Muhabbat Hai Teri Sansen
Muhabbat Teri Khamoshi
Tumhari Baat Jaisi Hai
Muhabbat Ko Agar Samjhoo
Tumhari Zaat Jaisi Hai

·
1 Like ·
Jan 26, 2018 at 22:01
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Baatain Teri Ilhaam
Baatain Teri ILHAAM Hain Jadoo Teri Awaaz
Rug Rug Main Utarti Hoyi Khushbo Teri Awaaz
Behtay Chalay Jatay Hain Tah-e-Aab Sitaray
Jaisay Kahain Utri Ho Lab-e-Joo Teri Awaaz
Main Shaam-e-Gharibaan Ki udaasi Ka Musafir
SehraaoN Main Jaisay Koi Jugnoo Teri Awaaz
Lafzoon Main Chupaaye Howay Bay-Rabt Dilaasay
Chunti Rahi Shab Bhar Meray Aansoo Teri Awaaz
Yeh Hijr Ki Shab Bheeg Chali Hai K Meray Baad
Rooti Hai Kaheen Khool K Geysoo Teri Awaaz
MOHSIN K Khayaloon Main Utarti Hai Sar-e-Shaam
Rim Jhim Ki Tarah Bandh K Ghunghroo Teri Awaaz

Jan 17, 2018 at 13:01
Category: love
Advertisement
Jokes / Miscellaneous
Shahbaz Ishaq
Teri Ek Nigah Se
Teri ek nigah se qatal hote hain hazaron log
"jani"
Ek nazar zardari ko b dekh le...
"Teri meherbaaaaaaani"
"jani"
Ek nazar zardari ko b dekh le...
"Teri meherbaaaaaaani"
·
2 Like ·
Jan 16, 2018 at 23:01
Category: miscellaneous
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tera Dard Tha Teri Yaad Thi
Tera dard tha teri yaad thi,
mai jahn raha ,mai jidhar gaya,
mera din to yuhin guzar gaya,
junhi shaam hui mai bikhar gaya
is abr ka mere yaar se bara milta julta mezaj tha
kabhi toot ke baras gaya kabhi berukhi se guzar gaya
jab mai chor donga wo gali,
usay yaad aayigi tab meri,
khojay ga wo tab mujhe
usay khabar milegi mai mar gaya
abi tang hai wo mere naam se mere baad aayega wo dooton,
wo tumhi ko rok rok k puche ga,
wo kahn hai wo kidhar gaya

Jan 14, 2018 at 15:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tamam Teri Hikayatain Hain
yeh meri Gazalain yeh meri nazmain tamam teri hikayatain hain
yeh tazkiray teray lutf kay hain yeh shair teri shikayatain hain
main sab teri nazar kar raha hoon yeh un zamanon ki s'atain hain
jo zindagi kay nay safar main tujhay kisi roz yaad aiN
to ek ek harf ji uthay ga pehan kay anfas ki qubain
udas tanhaiyon kay lamhon main naach uthaingi yeh apsarain
mujhay teray dard kay ilava bhi aur dukh thay, yeh janta hoon
hazarr gham thay jo zindagi ki talash main thay, yeh janta hoon
mujhay khabar hay keh teray anchal main dard ki rait chhanta hoon
magar har ek baar tujh ko chhu kar yeh rait rang-e-hina bani hay
yeh zakhm gulzar ban gay hain yeh ahen-sozan ghata bani hay
yeh dard mauj-e-saba hua hay yeh aag dil ki sada bani hay
aur ab yeh sari mata-e-hasti yeh phool ye zakhm sab teray hain
yeh dukh keh nauhay yeh sukh kay naghmain jo kal meray thay vo ab teray hain
jo teri qurbat teri judai main kat gay roz-o-shab teray hain
vo tera shayar tera mughanni vo jis ki baatain ajeeb si thi
vo jis kay andaz khusro-vana thay aur adain ghareeb si theen
vo jis kay jeenay ki khahishain bhi khud us kay apnay naseeb si theen
na poochh us kaa keh vo deevana bahut dinon ka ujar chuka hay
vo kohkan to naheen tha laikin kari chattanon se lar chuka hay
vo thak chuka hay aur us ka tesha usi kay seenay main gar chuka hay

Jan 12, 2018 at 01:01
Category: love
Social Wall / Videos
Bollywood Music Videos
Teri Mahima Aprampaar - 'Entertainment'
·
0 Like ·
Dec 27, 2017 at 20:12
Category: videos
Poetry / Sad
Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayen Hum
Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ke shahar tera chod jayen hum
muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
avargi se dil ko kahan tak bachayen hum
shayad ba qaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum
be noor ho chuki hai bahut shahar ki faza
tareek raston mein kaheen kho na jayen hum
us ke bagair aj bahut jee udas hai
jalib chalo kaheen se usay dhundh layen hum...!

Dec 26, 2017 at 05:12
Category: sad
Poetry / Sad
Tera Dard Tha, Teri Yaad T
Tera dard tha, teri yaad thi
Main jahan raha, main jidhar gaya
Mera din to yunhi guzar gaya
Junhi shaam hoi main bikhar gaya
es Abar ka mere yaar se
bara milta julta mizaaj hai
Kabhi toot kar baras gaya
Kabhi berukhi se guzar gaya
Jab main choar dunga wo gali
Usay yaad aayegi tab meri
Khojay ga wo jab mujhay
Usay khabar mile gi main mar gaya
Abhi tang hai wo mere naam se
Mere baad aaye ga wo dostoo
Wo tumhi ko rok kar puchay ga
Wo kahan pe hai, wo kidhar gaya...!
Main jahan raha, main jidhar gaya
Mera din to yunhi guzar gaya
Junhi shaam hoi main bikhar gaya
es Abar ka mere yaar se
bara milta julta mizaaj hai
Kabhi toot kar baras gaya
Kabhi berukhi se guzar gaya
Jab main choar dunga wo gali
Usay yaad aayegi tab meri
Khojay ga wo jab mujhay
Usay khabar mile gi main mar gaya
Abhi tang hai wo mere naam se
Mere baad aaye ga wo dostoo
Wo tumhi ko rok kar puchay ga
Wo kahan pe hai, wo kidhar gaya...!
·
1 Like ·
Dec 24, 2017 at 08:12
Category: sad
Jokes / Miscellaneous
Ijunoon
Teri 1 Behan Mere Ghar Main Hai
Aik aadmi jungle se guzar raha tha
A Churail stops him & says:
Hoo Hoo Haa Ha Ha, mai Churail hoon,
Aadmi:janta hoon, teri aik behan mere ghar main hai.
A Churail stops him & says:
Hoo Hoo Haa Ha Ha, mai Churail hoon,
Aadmi:janta hoon, teri aik behan mere ghar main hai.
·
2 Like ·
Dec 05, 2017 at 12:12
Category: miscellaneous
Sponored Video