Search
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Teri Wafa Sochtey Hain
Kia Pochtay Ho Tere Hijar Me Kia Sochtey Hain
Saja Ke Tum Ko Nighaon Me Sada Sochtey Hain
Tere Wajoud Ko Chho Kar Jo Guzri Hai Kabhi
Hum Us Hawa Ko Bhi Jannat Ki Hawa Sochtey Hain
Ye Apney Zarf Ki Had Hai K Faqat Tera Lehaaz
Tere Sitam Ko Muqaddar Ka Likha Sochtey Hain
Mera Is Shehar-E-Adawat Me Basera Hai Jahan
Log Sajdo Me Bhi Logo Ka Bura Sochtey Hain
Kis Qadar Hum Bhi Hain Nadaan Mohabbat Me
Tere Ikhlaas Ko Hum Teri Wafa Sochtey Hain

·
2 Like ·
Feb 16, 2016 at 23:02
Category: general
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Teri Palkon K Naram Saaye Main
Tu Mujhay Itnay Pyaar Say Mat Daikh
Teri Palkon Kay Naram Saayay Main
Dhoop Bhi Chandni Si Lagti Hai
Aur Mujhay Kitni Door Jaanaa Hai
Rait Hai Garm,Paon Kay Chaalay
Yoon Dehktay Hain,Jaisay Angaaray
Pyaar Ki Yeh Nazar Rehay Na Rehay
Kaun Dasht-E-Wafa Main Jalta Hai
Teray Dil Ko Khabar Rahay Na Rahay
Tu Mujhay Itnay Pyaar Say Mat Daikh
Teri Palkon Kay Naram Saayay Main
Dhoop Bhi Chandni Si Lagti Hai
Aur Mujhay Kitni Door Jaanaa Hai
Rait Hai Garm,Paon Kay Chaalay
Yoon Dehktay Hain,Jaisay Angaaray
Pyaar Ki Yeh Nazar Rehay Na Rehay
Kaun Dasht-E-Wafa Main Jalta Hai
Teray Dil Ko Khabar Rahay Na Rahay
Tu Mujhay Itnay Pyaar Say Mat Daikh
·
2 Like ·
Feb 07, 2016 at 02:02
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Teri Yaad Rehti Hai
Zehan Ke Khialoon Main
Rooh Ke Ujaloon Main
Zindgi Ki Jheeloon Main
Zaat Ki Fasiloon Main
Ratjagoon Ke Daman Main
Khawahishoon Ke Aangan Main
Dil Ke Khushk Sehra Main
Chashm-E-Tar Ke Darya Main
Dard Ke Jahan Main Bhi
Ashk-E-Be-Zaban Main Bhi
Aur Kuch Nahi Rehta
Teri Yaad Rehti Hai
Rooh Ke Ujaloon Main
Zindgi Ki Jheeloon Main
Zaat Ki Fasiloon Main
Ratjagoon Ke Daman Main
Khawahishoon Ke Aangan Main
Dil Ke Khushk Sehra Main
Chashm-E-Tar Ke Darya Main
Dard Ke Jahan Main Bhi
Ashk-E-Be-Zaban Main Bhi
Aur Kuch Nahi Rehta
Teri Yaad Rehti Hai
·
1 Like ·
Nov 29, 2015 at 13:11
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Phir Teri Yaad
Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,
De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay,
Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon,
Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay,
Ishq Kuch Aisay Mitata hay NISHAN-E-HASTI,
Jaise k Raat Ujaalay ko NIGAL Jati hay,
Tou Agar Dil pay Meray Hath hi Rakh De to,
Toot’ti Saans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati hay,
Zakhm Bharta hi Nahi Teri JUDAAI ka Magr,
Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hy..

Nov 23, 2015 at 07:11
Category: sad
Poetry / Sad
Teri Yaad
Buhat Muddaton k baad kal rat
Kitab-e-mazi ko mene khola
Buhat se chehre nazar men utre
Buhat se namon pe dil pasija
Ek safha aisa bhe aya
Likha hua tha jo ansu se
Unwaan jis ka tha "TERI YAAD"
Safha wo sb se hi mubarak tha
Khuahishon ka ek nagar tha
Kuch or ansu us pe tapkay
Kuch or thora dil pasiga
Kitab-e-mazi ko band
Kar K
Tere khyalon me kho gaya mein
Na jane kb phir so gaya mein !!!
Kitab-e-mazi ko mene khola
Buhat se chehre nazar men utre
Buhat se namon pe dil pasija
Ek safha aisa bhe aya
Likha hua tha jo ansu se
Unwaan jis ka tha "TERI YAAD"
Safha wo sb se hi mubarak tha
Khuahishon ka ek nagar tha
Kuch or ansu us pe tapkay
Kuch or thora dil pasiga
Kitab-e-mazi ko band
Kar K
Tere khyalon me kho gaya mein
Na jane kb phir so gaya mein !!!
·
2 Like ·
Oct 31, 2015 at 14:10
Category: sad
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Mubarak Tujhay Teri Saalgirah Ho
mubarak tujhay teri saalgirah ho
anne wala har saal khoshion say bhara ho
tairay ird gird baharon ka raqs ho
aayine teri khubsoorti ka aks ho
manzilain khud tairay qadmon main aieen
tujhay kabhi koi nah museebat milay
sab log tairay gun ganay lageen
tu ghar sab kay deloon mein bananay lagey
bulandion tairay qadam chumen
musarraten chaar soo ghumain
teri poori har koi khwahish ho
jannat teri agli rahaish ho
mubarak tujhay teri saalgirah ho
anne wala har saal khushiyon say bhara ho

Oct 22, 2015 at 00:10
Category: occassional-events
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Main Khushnasibi Hun Teri
Main Khushnasebi Hon Teri Mujhy Bhi Raas Hai Toh
Tera Libaas Hon Main Aur Mera Libaas Hai Toh
Ajeeb Shay Hai Mohabbat Ke Hum Kahan Jayen
Tere Pass Hon Main Bhi Mere Bhi Pass Hai Toh
Main Nay Khud Ko Faramosh Kia Tere Liye
Aam Hai Sara Jaha Mere Liye Khass Hai Toh
Band Hoton Par Mere Reet Jami Jati Hai
Mere Pass Hai Phir Bhi Meri Pyas Hai Toh
Darmiyan Tere Mere Jab Se Log Annay Lagay
Us K Baad Se Main Tanha Aur Bey Ass Hai Toh
Zamaana Hum Ko Judaa Kar Sake Nahin Mumkin
Mohabbat Mein Jo Naakhun Hoon Main Toh Maas Hai Toh
Door Ho Kar Bhi Nahin Hai Koi Doori
Tere Qareeb Hoon Mein Mere Bhi Paas Hai Toh
Ye Kon Tere Mere Darmiyan Hai Janaa
K Main Be Dard Main Hoon Or Mehw e Yaas Hai Toh
Zindagi Meri Tere Gird Ghoomti Hy Faqat
Aam Hy Sara Jahan Mere Liye Ek Khaas Hy Toh
Ajeeb Shay Hy Mohabbat Main Kahin Chala Jaon
Tere Qareeb Hoon Main Or Meri Pyass Hy Toh

Oct 17, 2015 at 06:10
Category: love
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Sanam Teri Kasam Release Date
·
0 Like ·
Sep 25, 2015 at 01:09
Category: when
Poetry / 24
Teri Us Ada Say Bhi Houn Aashna
Teri us ada say bhi houn aashna
tujhay jis pay itna ghuroor hai
Mein jeeoun ga teray baghair bhi
mujhay zindagi ka shaoor hai
Na hawis mujhay maya naab ki
na talub saba-o-sahab ki
Teri chashm-e-naz ki khair ho
mujhay bay piye hi saroor hai
Jo samajh liya tujhay bay wafa
to phir is mein teri bhi kiya khataa
Yeh khalal meray dimagh ka
yeh meri nazar ka qasoor hai
Koee baat dil mein woh thaan kay
na ullajh paray teri shan say
Woh niyazmand jo kay sir ba khum
kaee din say teray huzoor hai
Mein nikal kay bhi teray daam say
na giron ga apnay maqaam say
Mein QATEEL-e-jor-o-sitam sahi,
mujhay tum say ishq zaroor hai..!!
tujhay jis pay itna ghuroor hai
Mein jeeoun ga teray baghair bhi
mujhay zindagi ka shaoor hai
Na hawis mujhay maya naab ki
na talub saba-o-sahab ki
Teri chashm-e-naz ki khair ho
mujhay bay piye hi saroor hai
Jo samajh liya tujhay bay wafa
to phir is mein teri bhi kiya khataa
Yeh khalal meray dimagh ka
yeh meri nazar ka qasoor hai
Koee baat dil mein woh thaan kay
na ullajh paray teri shan say
Woh niyazmand jo kay sir ba khum
kaee din say teray huzoor hai
Mein nikal kay bhi teray daam say
na giron ga apnay maqaam say
Mein QATEEL-e-jor-o-sitam sahi,
mujhay tum say ishq zaroor hai..!!
·
1 Like ·
Sep 12, 2015 at 19:09
Category: 24
Sponored Video