Search
Social Wall / Photos
Abdul Jabbar
Teri Rehmaton Pe Hai Munahasir
·
0 Like ·
Apr 28, 2016 at 13:04
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aaj Mujhko Teri Yaad Ne Phir Se Rula Diya

Meri Wafaa Ka Zindgi Ne Kaisa Sila Diya
Diye Baadalon Ke Khwaab Mujhe Jisske Saath Ne
Mitti Mein Uske Pyaar Ne Mujhko Mila Diya
Uski Chita Ki Raakh Se Khushbu Teri Mili
Jiss Shaks Ko Tere Shahar Mein, Zinda Jala Diya
Meri Yaadon Mein Hi Cut Gayi Uski Tamaam Umr
Kehta Raha Ki Usne Mujhe, Kabka Bhula Diya
Wo Mujhko Dekh Ker Ke Zara Chup Sa Reh Gaya
Aaj Usko Mere Haal Ne, Shayad Rula Diya
Bas Ek Nazar Chehre Per Uske Kya Pad Gayi
Itne Mein Usne Ishq Ka, Jaadu Chala Diya
Main Bhi Kabhi Thaa Narm Mizaaj Phulon Ki Tarah
Mujhko Gumo Ki Maar Ne, Pather Banaa Diya
Maine Zindgi Ko Saump Diya Jisske Haath Mein
Us Shaks Ne Mujhko Jaam, Zahar Ka Pila Diya
Wo Marrte Marrte Naam Mera Le Gayaa Karan
Bas Uski Is Adaa Ne Mera, Kaleja Hila Diya

1 Like ·
Apr 21, 2016 at 16:04
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum Na Samjhe Teri Nazron Ka Taqaza Kia Hai

Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kia Hai
Mujh Ko Madhosh Sa Kr Rakha Hai Teri Aankhon Ne
Werna Saaqi Tere Maikhaane Main Rakha Kia Hai
Dekh Le Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kia Hai
Khaak Main Mil K B Kehta Hai Bigra Kia Hai
Ye Suraahi Sa Badan Le Ker Maire Saamne Na Aa
Main Sharabi Hoon Sharabi Ka Bharosa Kia Hai
Apne Honton Ko Maire Honton Se Chonay Na De
Ek Do Ghoont Se Botal Ka Bigarta Kia Hai ,

3 Like ·
Mar 30, 2016 at 14:03
Category: sad
Poetry / Love
Ek Faqat Teri Kami Rahti Hay
Aankh jab tuj pe jami rahti hay
Waqt ki nabz thami rahti hay
Yun to har cheez muyasir hay mujhye
Ek faqat teri kami rahti hay
Chara jab khushk hay sahra ki tara
Kiyun phir aankhoon main nami rahti hay
Dhundhti kis ko hain nazreen "Saba Nusrat"
Kuch to hay jis ki kami rahti hay

Mar 22, 2016 at 20:03
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Teri Yaadon Ki Mehak Sath Liye Aksar Hum
teri yaadion ki mehak saath liye aksar hum
dour khawabon kay jazeery mein utar jatay hain
" kiyon keh hum tum " !
sirf khawabon he mein mil saktay hain
mein nay socha hai keh
iss baar tumahray hamrah iss jagah utroon gi
aur woh baat jo mein keh nahi payi tum say
samnay tum ko baitha kar bari himmat kar kay
tum say keh duun gi
tum say keh duun gi keh tum sirf mairay ho
tum jo chaho
mairay yak tarfa muhabbat ko sahara day dou
zindagi you juta tou bohat kam hai muhabbat kay liye
jitna bhi pyar day sako sara day dou
apni duniya tou sada pyar say khaali he rahi
tum meri doobti kashti ko sahara day dou
kuch tou boulo
kuch tou boulo meri jaan
mujahe dar hai keh sehar hotay he
tum chalay jao gay
aur hum phir say
apni duniya mein lout aieen gayien
yeh he yaden yeh he baten tou asasa hain mera
bas yeh he chand khayalat liye
teri yaadion ki mehak saath liye
aksar hum

Mar 21, 2016 at 19:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Teri Mukhtasir Si Chahat Ko Bhulain Kesay

Tumko Bhool Kar Khud Ko Chain Dilain Kesay
Na Jane Konsi Kashish Tere Pas Lay Aati Hai
Tere Paas Aakar Tujh Mein Samaein Kesay
Humne Dil Se Chaha Hai Tuhjhe
Teri Chahat K Qabil Khud Ko Banaien Kesay
Kyun Pochte Ho Humse Aansuo Ki Shiddat
Hum Us Mein Tera Aks Tujhe Dikhain Kesay
Hum Tumhain Bohat Muhabbat Karten Hain
Magar Tujhe Ye Ehsaas Dilain Kesay

Mar 14, 2016 at 22:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai......!!!!

Mar 14, 2016 at 16:03
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Teri Tareef Karte Hain
Teri Tareef Karte Hain To IsMe Kya Burayi Hai,
Khuda Ne Apne Hathonse Teri Surat Banayi Hai,
Hazaron Ki Tarah Sunle Teri Ruswai Ke Dar Se,
Teri Tasveer HuMne Kitabon Mein Chhupayi Hai,
Teri MasooM Surat Ki Yehi Tarif Hai Sun Le,
Zubaan Pe Hai Yehi Sab Ke Khudayi Hai Khudayi Hai,
Marz Ye Ishq Ka Aisa Laga Ke Phir Nahi Chhuta,
Dua Bhi HuMne Ki Dawa Bhi AazMaayi Hai...

2 Like ·
Mar 05, 2016 at 22:03
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbu
Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbuu Hai Mere' Paas
Is Shehar Main Tanha Hoon Magar Tuu Hai Mere' Paas
Jis Shakl Ko Chahoon Teri Tasveer Main Badal Doon
Ye Husn-E-Tasavvar Hai Ke Jaaduu Hai Mere' Paas
Rakhta Hai Sadaa Jo Meri Raaton Ko Mo'attar
Wo Tere' Badan Ka Gul-E-Khushbuu Mere' Paas
Kese' Mujh Ko Pasand Aaein Ge' Is Shehar Ke Naghme'
Tuu Hai Meri Koyal Teri Kuu Kuu Hai Mere' Paas
Kyun Thaamoon Ga Jaan! Main Kisi Aur Ki Baanhain
Pehne' Huye Kangan Tere' Baazuu Hain Mere' Paas
Jab Chahoon Qateel Us Ke Nagar Tak Mujhe' Le' Jaaein
Sochon Ka Chammakta Hua Jugnuu Hai Mere' Paas

Mar 02, 2016 at 10:03
Category: love
Sponored Video