Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Saza Pe Chhor Diya Jaza Pe Chhor Diya
Saza Pe Chhor Diya Jaza Pe Chhor Diya
Har Ek Kaam Hum Ne Khuda Pe Chhor Diya
Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chhor Diya
Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chhor Diya
Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Misl Dua Ka Tha Dua Pe Chhor Diya
Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhor Diya……!! !

·
1 Like ·
Sep 28, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tere Dar Pe Vo Aa Hii Jaate Hain
tere dur pe vo aa hii jaate hain
jin ko piine kii aas ho saaqii
aaj itanii pilaa de aaNkhon se
Khatm rindon kii pyaas ho saaqii
halqaa halqaa suruur hai saaqii
baat koii zaruur hai saaqii
terii aaNkhen kisii ko kyaa dengii
apanaa apanaa suruur hai saaqii
terii aaNkhon ko kar diyaa sajdaa
meraa pahalaa qusuur hai saaqii
tere ruKh pe ye pareshaaN zulfen
ik aNdhere mein nuur hai saaqii
piine vaalon ko bhii nahiin maaluum
maikadaa kitanii duur hai saaqii
jin ko piine kii aas ho saaqii
aaj itanii pilaa de aaNkhon se
Khatm rindon kii pyaas ho saaqii
halqaa halqaa suruur hai saaqii
baat koii zaruur hai saaqii
terii aaNkhen kisii ko kyaa dengii
apanaa apanaa suruur hai saaqii
terii aaNkhon ko kar diyaa sajdaa
meraa pahalaa qusuur hai saaqii
tere ruKh pe ye pareshaaN zulfen
ik aNdhere mein nuur hai saaqii
piine vaalon ko bhii nahiin maaluum
maikadaa kitanii duur hai saaqii
·
1 Like ·
Aug 12, 2016 at 05:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zamee'n Pe Chal Na Saka, Aasman Se B Gaya
Zamee'n pe chal na saka, Aasman se b gaya
Kata kia par ko, Parinda uraan se b gaya
Tabaah kar gai Pakke makaan ki Khuwahish
Mei apne gaon k, Kache makaan se b gaya
Parai aag mei Kood k kia mila tujh ko
Usay bacha na saka, apni Jaan se b gaya
Bhulana chaha to bhulane ki Inteha kar di
Woh shaKhs mere Vehm-o-Gumaan se b gaya
Kisi k hath ka nikla hua Woh Teer hon mei
Hadaf ko chuu na saka, aur Kamaan se b gaya... ,

Jun 03, 2016 at 15:06
Category: sad
Social Wall / Text
Sehar Saeed
Har Cheez Apnay Waqt Pe Achi Lagti Hai
har cheez apnay waqt pe achi lagti hai
neki kamany ka sahi waqt jawani hai, hum nekian us waqt karte hai jab hum buraiya karne ke qabil nahee rehte.
neki kamany ka sahi waqt jawani hai, hum nekian us waqt karte hai jab hum buraiya karne ke qabil nahee rehte.
·
0 Like ·
May 26, 2016 at 18:05
Category: text
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Main Hosh Mein Tha Tou Phir Uss Pe Mar Gaya Kaise
Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise
Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar kaise
Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise
Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise,

2 Like ·
May 12, 2016 at 19:05
Category: sad
Social Wall / Photos
Abdul Jabbar
Teri Rehmaton Pe Hai Munahasir
·
0 Like ·
Apr 28, 2016 at 13:04
Category: photos
Poetry / Songs Lyrics
Muzammil Shahzad
Honton Pe Kabhi Un K
Honton Pe Kabhi Un K Mera Naam He Aye
Aye To Sahi Bar-Sar-E-Ilzaam He Aye
Heran Hain Lab'basta Hen, Dilgeer Hain Gunche
Khushbu Ki Zubani Tera Pegham He Aye
Lamhat-E-Masarat Hen Tasawur Se Gurezaan
Yaad Aae Hain Jab B Gham-O-Alam He Aye
Taaron Se Saja Lenge Raah-E-Shahr-E-Tamana
Maqadar Nhi Subho Chalo Shaam He Aye
Yaadon K Vafaaon K Aqeedon K Ghamon K
Kaam Aye Jo Duniya Mei To Is Naam He Aye
Kya Raah Badalne Ka Gila Hamsafaron Se
Jis Raah Se Chale Tere Dar-O-Baam He Aye
Thak Haar Ke Baithe Hain Sar-E-Ku-E-Tamanna
Kaam Aye To Phir Jazba-E-Naakaam He Aye
Baaqi Na Rahe Saakh "Adaa" Dasht-E-Junoon Ki
Dil Mein Agar Andeshaa-E-Anjaam He Aye

4 Like ·
Mar 11, 2016 at 09:03
Category: songs-lyrics
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jagti Raat K Honton Pe Fasanay Jaise
Jagti Raat K Honton Pe Fasanay Jaise,
Ek Pal Mein Simtt Aye Hon Zamanay Jaise,
Aqal Kehti Hai Bhula Do Jo Nahi Mil Paya,
Dil Woh Pagal K Koi Baat Na Manay Jaise,
Rastay Mein Wohi Manzar Hain Puranay Ab Taq,
Bas Kami Hai Toh Nahi Log Puranay Jaise,
Aaina Dekh K Ehsas Yahi Hota Hai,
Le Gaya waqat Ho Umron K Khazanay Jaise,
Raat Ki Aankh Se Tapka Hua Aansu,
Makh'mali Ghaas pe Moti K Hon Daanay Jaise...!!!

3 Like ·
Jan 28, 2016 at 16:01
Category: love
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Hussain(r.a) Pe Lakhon Salam
Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya
Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya
Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Kaun Shabbir Woh Jin Ka Nana Nabi
Jin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba Ali
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Karliya Jis Ne Naush Shahadat Ka Jam
Us Hussain Ibne Haider Lakhon Salam
Jin Ka Jhula Farishtey Jhulate Rahe
Lohrian De Ke Noori Sulaate Rahe
Us Hussain Ibn E Haider Pe Lakhon
Jis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar Dia
Jis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya
Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya
Jis Ne Neze Par Bhi Quran Par Diya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool
Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool
Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya
Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Kaun Shabbir Woh Jin Ka Nana Nabi
Jin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba Ali
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Karliya Jis Ne Naush Shahadat Ka Jam
Us Hussain Ibne Haider Lakhon Salam
Jin Ka Jhula Farishtey Jhulate Rahe
Lohrian De Ke Noori Sulaate Rahe
Us Hussain Ibn E Haider Pe Lakhon
Jis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar Dia
Jis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya
Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya
Jis Ne Neze Par Bhi Quran Par Diya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool
Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool
·
2 Like ·
Dec 18, 2015 at 04:12
Category: occassional-events
Sponored Video