Search
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Meri Jannat Mera Ghar Hai
Waqat E Rukhsti Dil Ka
Ajab Alam Thaa Mat Pocho!
Bohat Se Khoof Thay Dil Main
Qadam Muskil Se Utthtey Thay
Na Aansoo Mere Ruktey Thay
Tarap Kr Me Ye Kehti Thee
Ye Hein Ajnabi Anjaan
Nahi Jana Mujhy Roko
Mere Bhai Mere Abu!
Khuda Ke Wastey Roko
Zamana Yuoon Bhi Badala Hai
Ya Mera Dil Hi Pagla Hai
Jo Ab Har Dam Ye Kehta Hai
Mere Bachey, Mera Sajan
Inn Par War Doon Tan Mun
Ye Kehna Hai Iss Dil Ka
Meri Janat Mera Ghar Hai
Ajab Alam Thaa Mat Pocho!
Bohat Se Khoof Thay Dil Main
Qadam Muskil Se Utthtey Thay
Na Aansoo Mere Ruktey Thay
Tarap Kr Me Ye Kehti Thee
Ye Hein Ajnabi Anjaan
Nahi Jana Mujhy Roko
Mere Bhai Mere Abu!
Khuda Ke Wastey Roko
Zamana Yuoon Bhi Badala Hai
Ya Mera Dil Hi Pagla Hai
Jo Ab Har Dam Ye Kehta Hai
Mere Bachey, Mera Sajan
Inn Par War Doon Tan Mun
Ye Kehna Hai Iss Dil Ka
Meri Janat Mera Ghar Hai
·
1 Like ·
Nov 21, 2015 at 11:11
Category: occassional-events
Social Wall / Photos
Safia Saeed
Tum Meri Zindagi Ho
·
0 Like ·
Nov 20, 2015 at 14:11
Category: photos
Advertisement
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Meri Mitti
Larzaan Aankhon Say Tapaktay Huay Ashkoon Ki Qasam
Bikhri Aahon Main Bhi Har Lab Pe Sada Rehti Hai
Apni Mitti ,Or Iski Namoos Ki Baqa K Liye
Har Taraptay Huay Dil Main Ye Dua Rehti Hai
Aye Khuda Is Ko Sada Yun He Salamat Rakhna
Isko Is K Jan Nisaaron Ki Amaanat Rakhna
Kub Koi Aman Ka Taalib Hai Ye Gawaara Karta
Kisi Jaabir Ka Apnay Ghar Pe Hakoomat Karna
Kesay Phoolon Ko Masaltay Huay Seh Lay Koi
Jis Ka Maqsad Ho Zamaanay Main Sahoolat Karna
Jb Bhi Tm Rasm.E.Muhabbat Ko Ada Karnay Chalo
Apnay Pyaaron Se Kiye Waaday Wafa Kartay Chalo
Meri Matti Main Meray Sainkaroo Aaba Hain Dafan
En K Khwaabon Ko Mil Jul K Amar Karna Hoga
Yun Tau Hr Gaam Pe Laghzish Bhi Yaqeenun Hoge
Phr Bhi Hr Jung Main Gir Gir K Snbhlna Hoga
Es K Naam Pe Har Baar Sar Katwaain Gay
Jaan Day Kr Bhi Sada Hayaat Hum Kehlaain Gay

Sep 21, 2015 at 20:09
Category: occassional-events
Poetry / Political
Muzammil Shahzad
Pakistan Meri Jaan
Izat Mili Pehchan Bhe Poray Hoay Armaan Bhe
Ye Dharti Pakistan Ki Hy Hamari Jaan Bhe
Is Ki Himat Hy Jo Dykhy Maily Ankh Sy Essay
Es Ki Khatar Lain Gy Jaan Aur Kr Dain Gy Qurban Bhe

Sep 20, 2015 at 15:09
Category: political
Poetry / Poetry Sms
Anam Lateef
Bohat Ho Chuki Mohabbat Mein Meri Ruswai
Bohat ho chuki mohabbat mein meri ruswai
Ae Khuda main wafa kar ke bhi bewafa kehlayi
Ya tu anjam dede meri mohabbat ko tu
Ya hata de hum diwanoo par se apni khudai

4 Like ·
Sep 13, 2015 at 14:09
Category: poetry-sms
Poetry / Poetry Sms
Sana Dimple
Meri Masti Pe Zamane K Pehre Kitne
Meri masti pe zamane k pehre kitne,
Men hasunga to utar jayenge chehre kitne.
Gardisen saath rakhte ho duniya ki tum,
Or ilzam dete ho takdeer par.
Waqt raftar keyse badal de bhala,
Tum ne zulfon ko apni sanwara nahee.

2 Like ·
Sep 09, 2015 at 18:09
Category: poetry-sms
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Meri Tm Se Guzarish Hai
Meri Tm Se Guzarish Hai, Wafaon Ka Bharm Rakhna
Chaly Aana Meri Khatir, Sadaaon Ka Bharm Rakhna
Charagh-E-Jaan Nahi Bujhta, Hawa Maayoos Hoti Hai
Usy Aata Nahi Shayad, Hawaon Ka Bharm Rakhna
Mujhy Logon Ne Mehfil Men Hamesha Hanstay Dekha Hai
Meri Fitrat Men Shamil Hai, Anaon Ka Bharm Rakhna

Sep 05, 2015 at 20:09
Category: general
Poetry / Love
Meri Neend Main Abhi Aik Khwab Baqi Hai
Meri neend main abhi aik khwab baqi hai
Meri mohabbat ka sawal o jawab baqi hai
AnkhooN say izhaar e mohabbat kiya to kiya
Khamoshi kay ghamooN ka hisaab baqi hai
Aapki justjoo nay aisi aag laga di dil maiN
Ab bhi shama jalti hai aur iltihaab baqi hai
Aap hi ki ankhooN main gum, madhosh rahooN
Woh sunehra lamha, shab-e-mahtaab baqi hai
Murjha chukka hai waqt intezar kartay huay
Laikin meri mohabbat ka woh gulaab baqi hai
Ranga hai mujhay kuch aisay rangooN maiN
Kay wafa ki dastaan, aik kitaab baqi hai
Chua hai aapkay labooN ko us paimanay nay
JismaiN meri zindagi, kuch sharab baqi hai

Sep 02, 2015 at 18:09
Category: love
Poetry / Sad
Woh Badal Gya Achanak Meri Zindagi Badal Ker
Kabi mujh ko saath le ker kabi mere saath chal ker
Woh badal gya achanak meri zindagi badal ker
Hue jis pe meherban tum koi khush naseeb ho ga
Meri hasratein to nikleen mere aansoun main dhal ker
Koi phool ban gya hai koi chand koi taara
Jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal ker
Mere dosto Khudara ! mere saath tum bhi dhoondo
Woh yaheen kaheen chupay hain mere gham ka rukh badal ker
Teri be jhijak hansi se na kisi ka dil ho maila
Yeh nagar hai aaino ka yahan saans le sambhal ker

Aug 28, 2015 at 19:08
Category: sad
Sponored Video