Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri Aankhon Ke Samundar Mein Jalan Kaisi Hai
Meri Aankhon Ke SaMundar Mein Jalan Kaisi Hai,
Aaj Phir Dilko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hia,
Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahi,
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hia,
Barf Ke Roop Mein Dhal Jayenge Saare Rishte,
Mujhse Puchho Ke Mohabbat Ki Agan Kaisi Hia,
Main Tere Visl Ki Khwahish Ko Na Marne Dunga,
MausaM-E-Hijr Ki Lehje Mein Thakan Kaisi Hia,
Rehguzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida,
Uski Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai,
Mujhe MasooM Si Ladki Pe Taras Aata Hai,
Ise Dekho To Mohabbat Mein Magan Kaisi Hia...,

·
1 Like ·
Jun 16, 2016 at 17:06
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meri Har Ghazal Ko Yeh Arzoo
Meri har ghazal ko yeh arzoo, karey aisey ko terey ru-ba-ru
Jo terey hi jaisa ho sar-ba-sar, jo tujhi sey milta ho hu-ba-hu
Woh chaman-parast bhi haiN yahaN, jinheiN aaj tak na khabar hui
Key GuloN ki jis sey hai parwarish, raG-e-KHaar meiN hai wohi lahoo
Hui KHatm sohbat-e-maikashi, yehi daaGh seenoN meiN reh gaya
Key tuloo’a honey sey gaye, kayi aftaab-e-KHum-o-sabuu
Kayi lakh phooloN key pair-han sar-e-baaGh haNs key uRaa diye
Zahe fasl-e-Gul, woh hawa chali key chaman ki le uRRi abroo
Tujhey paa key khudh ko bhi paooN ga key tujhi meiN khoya hua hooN maiN
Yeh teri talaash hai is liye key khudh apni hai justujoo
Hui wardaat-e-sehar yahaN, to GuloN key seeney dhaRak gaye
Woh chali key teGH-e-naseem ne, kayi haath uchaal diya lahoo
Wohi aaNkh jaam-e-mai-e-hayaa, wohi aaNkh jaam-e-jahaaN-numaa
Jo nigaah uThti na thi kabhi, woh nigaah jaati hai chaar soo
Na yeh bhed husn ka khul sakaa, na bharan yeh ishq ka miT sakaa
Kisi roop meiN yeh hai tu key maiN, kisi bhes meiN yeh hooN maiN key tu!
Ab usi ka takiya zamaaney meiN, sunaa hai key marj’a-e-KHalq hai
Jo “Firaaq” tere liye phiraa, kabhi dar-ba-dar, kabhi ku-ba-kuu
,

2 Like ·
Jun 05, 2016 at 18:06
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aaj Ki Raat B Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah

Hath Aye Na Sitare Tere Aanchal Ki Tarah
Raat Jalti Hoi Ik Aisi Chita Hai Jis Par
Teri Yadein Hain Sulagte Huwe Sandal Ki Tarah
Tu B Dariya Hai Magar Meri Tarah Pyasa Hai
Mei Tere Paas Chala Aonga Badal Ki Tarah
Mei Hon Ik Khuwab Magar Jagti Aankhon Ka "Ameer"
Aaj B Log Gava'n De Na Mujhe Kal Ki Tarah.......

May 27, 2016 at 14:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri Tarha Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha
Mujh Se Bicher K Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha,
Meri Tarha Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha.
Aisy Ajeeb Dard K Peèhry The Chaar Soo,
Ab K Wo Mery Sheher Mein Aa Kar Udaas Tha.
Mujh Ko Bhi Uski Yaad Satati Rahi Bohat,
Wo Bhi Dayar-E-Ghair Mein Ja Kar Udaas Tha.
Mery Ilawa Bhi Hai Koi Us K Sheher Mein,
Itni Si Baat Mujh Ko Bata Kr Udaas Tha.
Usko Udas Kar Gai Beety Dinon Ki Yaad,,
Guzri Rafaqton Ko Ganwa Kr Udaas Tha..

May 21, 2016 at 17:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye To Chaand Raaton Ki Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
Tumharay Kadmoon Aagiray To Yeh Jaan Laina
Woh Istiaara Tha Meray Dil Kaa
Agar Naa Aaye?
Magar Yeh Mumkin Hi Kis Tarha Hai Kay Kisi Par Nigah Daloo
Too Us Ki Deewaar-E-Jaan Naa Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye!!
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
Garaiz Karti Hui Hawaoon Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main Tumhain Miloon Gaa
Mujhay Gulaab Ki Patioon Main Talaash Karna
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous Khushbhuoon Main
Naa Paoo Mujh Koo To Apnay Kadmoon Main Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon Main Tumhain Miloon Gaa
Kahin Pay Roshan Chiraagh Dekh Loo To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar Sumandar Main Safar Karoon Gaa
Kisi Naa Dekhay Huay Jazeeray Par Ruk Kay Tumhain Sadain Doon Gaa
Sumandaroon Kay Safar Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna..,

May 21, 2016 at 11:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri In Udaas Ankhon Men
Meri in udaas ankhon men
Toote hue khnawbon ki karchiyan hai
In bikhri hui karchiyon ko
Main sametna chahti hoon
Inko sametne men
Ankhen lahoo hoti hai
Aur ager na sametoon to
Ye dil toot ta hai
Dard badhta hai.....,
Toote hue khnawbon ki karchiyan hai
In bikhri hui karchiyon ko
Main sametna chahti hoon
Inko sametne men
Ankhen lahoo hoti hai
Aur ager na sametoon to
Ye dil toot ta hai
Dard badhta hai.....,
·
1 Like ·
May 21, 2016 at 04:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tooti Hai Meri Neend Magar
ٹوٹی ہے میری نیند مگر تم
کو اس سے کیا !
بجتے رہیں ہواؤں سے در ، تم
کو اس سے کیا !
تم موج موج مثل صبا
گُھومتے رہو
کٹ جائیں میری سوچ کے پر ،
تُم کو اس سے کیا
اوروں کا ہاتھ تھامو ،
انھیں راستہ دکھاؤ
میں بُھول جاؤں اپنا ہی
گھر ، تم کو اس سے کیا
ابرِ گریز پا کو برسنے سے
کیا غرض
سیپی میں بن نہ پائے گُہر ،
تم کو اس سے کیا !
لے جائیں مجھ کو مالِ
غنیمت کے ساتھ عدو
تم نے توڈال دی ہے سپر ، تم
کو اس سے کیا !
تم نے تو تھک کے دشت میں
خیمے لگالیے
تنہا کٹے کسی کا سفر ، تم
کو اس سے کیا,
کو اس سے کیا !
بجتے رہیں ہواؤں سے در ، تم
کو اس سے کیا !
تم موج موج مثل صبا
گُھومتے رہو
کٹ جائیں میری سوچ کے پر ،
تُم کو اس سے کیا
اوروں کا ہاتھ تھامو ،
انھیں راستہ دکھاؤ
میں بُھول جاؤں اپنا ہی
گھر ، تم کو اس سے کیا
ابرِ گریز پا کو برسنے سے
کیا غرض
سیپی میں بن نہ پائے گُہر ،
تم کو اس سے کیا !
لے جائیں مجھ کو مالِ
غنیمت کے ساتھ عدو
تم نے توڈال دی ہے سپر ، تم
کو اس سے کیا !
تم نے تو تھک کے دشت میں
خیمے لگالیے
تنہا کٹے کسی کا سفر ، تم
کو اس سے کیا,
·
1 Like ·
May 19, 2016 at 07:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri Tum Se Guzarish Hai,wafaon Ka Bharam Rakna
Meri tum Se Guzarish Hai,Wafaon ka Bharam Rakna,
Chaly Ana Meri Khatir, Sadaon ka Bharam Rkhna ,
Charagh-e-Jaan Nahi Bujhta,Hawa Maayus Hoti Hai,
usay Aata Nahi Shayad! Hawaon ka Bharam Rakhna,
Mujhe Logon Ne Mehfil Mei, Hamesha Hanste Dekha Hai,
Meri Fitrat Mei Shamil Hai, Anaon ka Bharam Rakhna..!!,

May 05, 2016 at 15:05
Category: sad
Social Wall / Photos
Mahrukh Nida
Kisi Ko Hai Meri Chah To Bta 2.
·
0 Like ·
Apr 21, 2016 at 12:04
Category: photos
Sponored Video