Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Larzaan Aankhon Say Tapaktay Huay Ashkoon Ki Qasam
Bikhri Aahon Main Bhi Har Lab Pe Sada Rehti Hai
Apni Mitti ,Or Iski Namoos Ki Baqa K Liye
Har Taraptay Huay Dil Main Ye Dua Rehti Hai
Aye Khuda Is Ko Sada Yun He Salamat Rakhna
Isko Is K Jan Nisaaron Ki Amaanat Rakhna

Kub Koi Aman Ka Taalib Hai Ye Gawaara Karta
Kisi Jaabir Ka Apnay Ghar Pe Hakoomat Karna
Kesay Phoolon Ko Masaltay Huay Seh Lay Koi
Jis Ka Maqsad Ho Zamaanay Main Sahoolat Karna
Jb Bhi Tm Rasm.E.Muhabbat Ko Ada Karnay Chalo
Apnay Pyaaron Se Kiye Waaday Wafa Kartay Chalo

Meri Matti Main Meray Sainkaroo Aaba Hain Dafan
En K Khwaabon Ko Mil Jul K Amar Karna Hoga
Yun Tau Hr Gaam Pe Laghzish Bhi Yaqeenun Hoge
Phr Bhi Hr Jung Main Gir Gir K Snbhlna Hoga
Es K Naam Pe Har Baar Sar Katwaain Gay
Jaan Day Kr Bhi Sada Hayaat Hum Kehlaain Gay

Advertisement
· 1 Like · Sep 21, 2015 at 20:09
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

The Titanic
Posted by faisal razzaq
Posted on : Sep 14, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS