Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom E Gham Main
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom e Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
Ka Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
Ka Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Dr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Ab Dast e Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukray Hue Ha

·
1 Like ·
Jan 30, 2017 at 14:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Main Lafzon Main Kuch Bhi Izhaar Nahi Karti

Is Ka Matlab Ye Nahi Keh Main Tujh Say Pyaar Nahi Karti
Chahati Hoon Main Tujhay Aaj Bhi Per
Teri Soch Main Apna Waqt Barbaad Nahi Karti
Tamasha Na Ban Jaye Kahii Mohabbat Meri
Is Liye Apna Dard Ko NamoDaar Nahi Karti
Jo Kuch Mila Hay Usi Main Khush Hoon Main
Teray Liye KHUDA Say Taqrar Nahi Karti
Per Kuch Tu Baat Hay Teri Fitrat Main Zalim
Warna Main Tujhay Chahanay Ki Khatta Baar Baar Nahi Karti

Jan 30, 2017 at 04:01
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aansoo Nahi Themtay Hain Aankhon Main Abhi Tak

Jaatay Howay Rota Wo Mujhay Chorr Gaya Tha
Armano Ki Duniya Kay Anmol Say Sapnay
Pal Main Woh Meray Samnay Sab Torr Gaya Tha
Jaan Deta Tha Meri Her Baat Pay Lekin Yoon Hi
Be Sabab Dunya Say Meri Rukh Morr Gaya Tha
Din Ki Tanhayon Ka Gham, Raaton Ki Udasi Hum Rah
Saaray Ghamon Say Rishta Mera Jorr Gaya Tha
Ay Kaash Koii Jaa Kay Us Say Puchay
Yahan Kis Kay Saharay Mujhay Chorr Gia Tha

Jan 29, 2017 at 15:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Nazar Main Zulmat, Badan Main Thandak, Jamaal Kitna Ajeeb Sa Tha

Main Us Ki Chahat Main Ghar Say Nikla, Tu Haal Kitna Ajeeb Sa Tha
Na Main Nay Us Ko Khatoot Likhay, Na Us Nay Meri Panah Chahi
Dono Ko Apni Be Khudi Pay, Malaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Wo Meri Raaton Main Chand Dekhay, Main Apni Raaton Main Us Ko Socho
Badaltay Lamhon Main Soch Ka Ye Wisaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Ye Zeest Tanha Hi Kaat Lo Gay, Jo Main Nay Pucha To Ro Dia Wo
Jawab Kitna Ajeeb Sa Tha, Sawal Kitna Ajeeb Sa Tha

Jan 26, 2017 at 20:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Main Hai
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Main Hai
Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Main Hai
Tere Badalnay K Ba Wajood Tujh Ko Chaaha Ha
Ye Aitraaf Bhi Shamil Mere Gunaah Main Hai
Azaab De Ga To Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi De ga
Main Mutmaen Hun Mera Dil Teri Panaah Main Hai
Jisse Bahar K Mehmaan Khaali Choar Aay
Wo Ek Makaan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Main Hai
Ye Hi Wo Din They Jab Ek Doosray Ko Paaya Tha
Humari Saal girah Theek Ab K Maah Main Hay
Main Bach Bhi Jaoon To Tanhaai Maar Dalay Gi
Mere Qabeelay Ka Har Fard , Qatal Gaah Main Hai

Jan 25, 2017 at 16:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Boseeda Purane Kisi Samaan Main Rakh De
Boseeda purane kisi samaan main rakh de
Ya phir kisi toote hoye guldaan main rakh de
Chahat k chiraaghon ko to jalna hai jalenge
To in ko uthha ker bhale toofaan main rakh de
Qadmon main taray maslay hoye phool nahi hain
Chahat ki chita hai kisi shamshaan main rakh de
Saansen na chuka paai hain qayamat jo wafa ki
Ab jism ki mitti ko bhi tawwan main rakh de
Mohsin tere jazbaat yahan kon sune ga
Be rabt khayalaat ko deewan main rakh de

Jan 10, 2017 at 14:01
Category: love
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Be Qarar Mausam Main
Be qarar mausam main
Yaad k jharokon say
Phir Tum hi se milnay ki
Dil mein kitni khawahish hai
Jo udaas rakhti hai
Aaj kal decemeber ki
Phir udaas shaamein hain
In ujaarr aankhon mein
Zard zard raatein hain
Barishon k mausam mein
Toot phoot jata hoon
Jab bhi yaad aatay ho
Khud ko bhool jata hoon
Yaad k jharokon say
Phir Tum hi se milnay ki
Dil mein kitni khawahish hai
Jo udaas rakhti hai
Aaj kal decemeber ki
Phir udaas shaamein hain
In ujaarr aankhon mein
Zard zard raatein hain
Barishon k mausam mein
Toot phoot jata hoon
Jab bhi yaad aatay ho
Khud ko bhool jata hoon
·
1 Like ·
Jan 04, 2017 at 14:01
Category: friendship
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Labon Pe Hansi Ankhon Main Sawal Rakhta Tha
Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhaal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhaal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
·
1 Like ·
Dec 30, 2016 at 09:12
Category: sad
Poetry / Love
Ghazal Noor
Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

Tu Bare Pyaar Say, Chao Say , Baray Maan Kay Sath
Apni Nazuk Se Kalaee Main Charhati Mujh Ko
Or Baytabi Say Fursat Kay Khizaan Lamhoon Main
Tu Kisee Soch Main Doobi Jo Ghumati Mujh Ko
Teray Hath Ki Khushboo Say Mahak Sa Jata
Jab Kabhi Mood Main Aakar Mujhay Choma Karti
Teray Hontoon Ke Hiddat Say Dehak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Nindon Kay Safer Per Jati
Marmareen Haath Ka Ak Takya Banaya Karti
Main Teray Kaan Say Lag Kar Kaii Baatein Karta
Teri Zulfoon Ko Teray Galon Ko Choma Karta
Jab Bhi Tu Band Quba Kholnay Lagte Jana
Apni Aankhoon Ko Teray Husan Say Khaira Karta
Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Tere Rooh Kay Gulshan Main Mehakta Rahta
Main Teray Jism Kay Aangan Main Khanakta Rahta
Kuch Nahi Tu Yahi Bay Naam Sa Bandhan Hota

Dec 22, 2016 at 13:12
Category: love
Sponored Video