Poetry / Friendship

Jasbaate Ishq Naakaam Naa Hone Denge

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

· 4 Like · Jul 19, 2021 at 09:07
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Mahrukh Nida

Diyaar E Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya.

Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya
Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya
Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaa.n Howi
Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya
Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye
Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya
Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain
Zamee.n Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya.

· 3 Like · Sep 22, 2018 at 03:09
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Anam Lateef

Hazaron Mushkilen Hai Diston Se Door Rehne Mein

Hazaron mushkilen hai diston se door rehne mein
Magar ik faida hai ke pait me khanjar nahee lagta

· 3 Like · May 17, 2018 at 12:05
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Kashif Yaqoob

Hmari Ulfat Sy Tang Ajao To Bta Dena

Hmari ulfat sy tang ajao to bta dena... /"Dost"\ Hmain nafrat pasand hai par dikhawy ki dosti nahi...

· 4 Like · Apr 23, 2018 at 22:04
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Ajeeb Waqiya Hai Ek Azeez Dost

Ajeeb Waqiya Hai Ek Azeez Dost
Apnay Mufaad Per Mujhay Qurban Kar Gaya
Kitni Sudhar Gayi Thi Judayi Mein Zindagi
Haan Woh Jafa Se Mujh Pe ehsan Kar Gaya
Main Baat Baat Per Kehti Thi Jis Ko Jaan
Aakhir Wohi Shakhs Mujh Ko Be Jaan Kar Gaya...!

· -2 Like · Dec 30, 2017 at 03:12
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Dil O Jaan Se Meri Ye Tamna Hai

Dil o jaan se meri ye tamna hai
ae dost!
k mujh mein es tarh bas jao tum
k meri dastan ban jao tum

jab kabhi mein kuch kehna chahon
to mera bayan ban jao tum

mein jahan apne sapno ke phool khila sakon
mere liye aisa Gulstan ban jao tum!

mein jab bhi kabhi bhi kuch likhna chahon
to mera unwan ban jao tum

bas itne si tamna hai meri
k mere liye
mera JAHAN ban jao tum...!

· 1 Like · Nov 26, 2017 at 02:11
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai

Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai

Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai

Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai

Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai

Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai

Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai

Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai

Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai

Dosti Yoon Tou Maaya Jaal Bhi Hai

Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai...!

· 3 Like · Nov 23, 2017 at 17:11
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Bhut Qareeb Aa Kar Door Ja Raha Hai Koi

Bhut Qareeb Aa Kar Door Ja Raha Hai Koi
Dosti Ka Hath Mila Kar Door Ja Rha Hai Koi
Chaar Din Ki Zindagi Hai Phir Wapis Jana Hai
Phir kyu Mujh Ko Behad Sata Raha Hai Koi
Mere Hisse Ki Zindagi Bhi Us K Naam Kar De
Baargah E Elahi Mai Hath Utha Rha Hai Koi
Zindagi Bhar Kabi Bhi Hum Juda Na Hon Ge
Wo Waade,Wo Qasmein Bhula Raha Hai Koi
Wo Hath Jin Se Hameesha Duaein Mangein Thein
Aj Unhein Hathon K Sath Mayyat Saja Rha Hai Koi
Bhut Jee Chuke Ho Ab Araam Kar Lo Sanwal
Mout Ka Paighaam Le Kar Bula Rha Hai Koi...!

· 3 Like · Oct 14, 2017 at 16:10
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Muhabbaton Me Dikhavay Ki Dostii Na Milaa

muhabbaton me dikhavay ki dostii na milaa
agar gale nahi milta to haath bhi na milaa

gharon pe naam the naamon ke saath ohade the
bahut talaash kiyaa koii aadamii na milaa

tamaam rishton ko main ghar pe chhor aayaa thaa
phir isake baad mujhe koii ajanabii na milaa

bahut ajiib hai ye qurbaton kii doori bhi
vo mere saath rahaa aur mujhe kabhii na milaa

Khudaa kii itni barri qayanat me main ne
bas ek ShaKhs ko manga mujhe vo hi na milaa...!

· 3 Like · Aug 16, 2017 at 05:08
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Dosti Saaz Bhi Sangeet Bhi Hai

kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maaya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jay to kassak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tou
Piyar ki inteha bhi dosti hai...!

· 3 Like · Aug 15, 2017 at 23:08
Category: friendship
 
Peer k Din 6 Khususiyatain
Posted by waseem awan malik
Posted on : Nov 18, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS