Search
Poetry / Sad
Mujh Se Na Pooch Mere Jazbon Ki Shiddat Kia Hai
Mujh Se Na Pooch Mere Jazbon Ki Shiddat Kia Hai
Khuda Ki Kasam Dil Mein Bus Nafrat Ka Toofan Hai
Meri Rooh Pe Gehray Zakham Lagay Hain
Aik Aik Zakham Ko Apne Haathon Se Siya Hai
Tera Mujh Pe Yeh Khas Karam Raha
Mujh Se Tu Ne Mera Har Sukoon Cheena Hai
Meri Zaat Mein Bus Kar Dekh Zara
Tootay Sheeshay Ki Tarah Wajood Mera Bikhra Hai
Khushi Ko Kabhi Mein Sath Le Kar Na Chal Saka
Us Ne Hamesha Beech Raah Mein Mujhe Chhora Hai
Ja Wafa Ki Zanjeeron Se Tujh Ko Azad Kia
Asif Ne Apni Kitab Mein Tera Naam Bewafa Likha Ha...!

·
2 Like ·
Dec 12, 2017 at 08:12
Category: sad
Poetry / Sad
Ab Es Deewane Ki Kia Zarurat Hai
MIL GAYA TUJHE TO APNA TO AB eS DEEWANE KI KIA ZARURAT HAI
DIL MERA TOAR KE AB BEHLANAy KI KIA ZARURAT HAI
MUJH SE PYAR NAHIN SAAF KEH KYUN NAHIN DETE
MAJBORIYON KE JHOOTAY QISSAY SUNANAY KI ZARURAT KIA HAI
KIYE THAY KITNE EHAD SATH NIBHANE KE
AB HATH CHURRA KAR PHIR JAANE KI ZARURAT KIA HAI
TU NE HI KAHA THA KABHI NA HO SAHIL TAK RASAYI TERI
DOOB RAHA HON TO BACHANAY KI ZARURAT KIA HAI
GHARI DO GHARI QURBATEN MAYASSAR THEEN YAAR KI
MUJHE KHAWAB SE DOSTOON JAGANAY KI ZARURAT KIA HAI
SHAYAD WOH HUM SE NIBHAYE CHALO SEH LENGE
THAAM KE HATH GHAIR KA JALANE KI ZARURAT KIA HAI...!

1 Like ·
Dec 07, 2017 at 22:12
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Neelay Libas Main Janne Wo Kia Lag Rahi Thi
neelay libas main janne wo kia lag rahi thi
Chand ne kaha apsara lag rahi thi
badal ne kaha ghata lag rahi thi
Dhanak ne kaha qos-e-qaza lag rahi thi
Sitaroon ne kaha roshni lag rahi thi
pholoon ne kaha kali lag rahi thi
Falak ne kaha Asman lag rahi thi
raat ne kaha kehkashan lag rahi thi
sagir ne kaha bhanwar lag rahi thi
suraj ne kaha saher lag rahi thi
shabnam ne kaha ghulab lag rahi thi
chandni ne kaha mahtab lag rahi thi
hawa ne kaha ehsas lag rahi thi
sham ne kaha khush libas lag rahi thi
subha ne kaha bad-e-saba lag rahi thi
neelay libas main janne wo kia lag rahi thi....
tasawar hi tasawar main jab sochta hoon
main jaa ke wahan pohanchta hoon
hathoon pe hina bhi sajaye hoi hai
lagta hai koi pari ayi hoi hai
wo sitaroon main mahtab lag rahi hai
pholoon main jaisay ghulab lag rahi hai
wo sab se juda aur haseen lag rahi hai
khayaloon main mairay mah jabeen lag rahi hai
janne kab tasawar ke angan se lout ata hoon
Aur neend ki wadi main puhanch jata hoon....!

Dec 03, 2017 at 06:12
Category: love
Poetry / Friendship
Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai
Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai
Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai
Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai
Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai
Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai
Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai
Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai
Dosti Yoon Tou Maaya Jaal Bhi Hai
Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai...!
Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai
Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai
Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai
Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai
Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai
Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai
Dosti Yoon Tou Maaya Jaal Bhi Hai
Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai...!
·
3 Like ·
Nov 23, 2017 at 17:11
Category: friendship
Poetry / Sad
Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas E Aabroo Na Karoon
Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon
Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kabhi Rafu Na Karoon
Ghayour Hun Ke Ijara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ru Baruu Na Karoon
Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon...!

Oct 30, 2017 at 22:10
Category: sad
Poetry / Sad
Aaj Roothay Hue Saajan Ko Bohat Yaad Kia
Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia
Apne ujRe hue gulshan ko bohat yaad kia
Jab kabhi gardish-e-taqdeer ne ghaira hai hamein
Gaisu-e-yaar ki uljhan ko bohat yaad kia
Jis k maathe pe naee subh ka jhoomar hoga
Ham ne us waqt ki dulhan ko bohat yaad kia
Aaj TooTe hue sapnoN ki bohat yaad aaee
Aaj beete hue saawan ko bohat yaad kia
Ham sar-e-tor bhi mayoos-e-tajali hi rahe
Us dar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kia
Mutmain ho hi gaye daam o qafas mein Saghar
Ham aseeroN ne nasheman ko bohat yaad kia...!

Oct 11, 2017 at 23:10
Category: sad
Poetry / Sad
Ab Esi Muhabbat Kia Kerni
Kehnay Ko Muhabbat Hai Lakin
Ab Esi Muhabbat Kia Kerni…
Jo Neend Chura Le Ankhon Se
Jo Khawab Dikha K Pholon K
Tabeer Main Kantay De Jay
Jo Gham Ke Kali Raaton Se
Her Aas Ka Jugnu Le Jai
Jo Khawab Sajati Ankhon Ko
Aansu He Aansu De Jay
Jo Mushkil Ker De Jeenay Ko
Jo Marne Ko Asaan Keray
Woh Dil Jo Pyar Ka Mandir Ho
Wo Yadoon Ko Mehman Kare
Ab Aisi Muhabbat Kya Karni…
Jo Umer Ki Naqdi Le Jaey
Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho
Woh Soorat DIL Ka Rog Bana
Jo Soorat Dekhi Bhaali Ho
Jo Qais Bana De Insan Ko
Jo Ranjha Aur Farhad Karay
Ab Aisi Muhabbat Kya Karni..?
Jo Khushiyon Ko Barbad Kare
Dekho To Muhabbat K Baray
Har Shakhs Yahi Kuch Kehta Hai
Socho To Muhabbat K Ander
Ik Dard Humesha Rehta Hai
Phir Bhi Jo Cheez MUHABBAT Hai
Kab In Baaton Se Darti Hai
Jis DIL Main es Ko Basna Ho
Yeh Chupkay Say Bas Jati Hai
AB AISI MUHABBAT KIA KARNI...?
Ab Esi Muhabbat Kia Kerni…
Jo Neend Chura Le Ankhon Se
Jo Khawab Dikha K Pholon K
Tabeer Main Kantay De Jay
Jo Gham Ke Kali Raaton Se
Her Aas Ka Jugnu Le Jai
Jo Khawab Sajati Ankhon Ko
Aansu He Aansu De Jay
Jo Mushkil Ker De Jeenay Ko
Jo Marne Ko Asaan Keray
Woh Dil Jo Pyar Ka Mandir Ho
Wo Yadoon Ko Mehman Kare
Ab Aisi Muhabbat Kya Karni…
Jo Umer Ki Naqdi Le Jaey
Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho
Woh Soorat DIL Ka Rog Bana
Jo Soorat Dekhi Bhaali Ho
Jo Qais Bana De Insan Ko
Jo Ranjha Aur Farhad Karay
Ab Aisi Muhabbat Kya Karni..?
Jo Khushiyon Ko Barbad Kare
Dekho To Muhabbat K Baray
Har Shakhs Yahi Kuch Kehta Hai
Socho To Muhabbat K Ander
Ik Dard Humesha Rehta Hai
Phir Bhi Jo Cheez MUHABBAT Hai
Kab In Baaton Se Darti Hai
Jis DIL Main es Ko Basna Ho
Yeh Chupkay Say Bas Jati Hai
AB AISI MUHABBAT KIA KARNI...?
·
1 Like ·
Sep 09, 2017 at 13:09
Category: sad
Poetry / Sad
Tu Kia Sach Much Judayi Mujhse Kar Li
Bohat dil ko kushada kar lia kia?
zamaney bhar se waada kar lia kia?
Tu kia sach much judayi mujhse kar li?
Tu khud apney ko aadha kar lia kia..?
Hunar mandi se apney dil ka safha...
Meri jaan, tum ne saada kar lia kia?
Bohat nazdeek aatey ja rahey ho..
Bicharney ka irada kar lia kia..??
zamaney bhar se waada kar lia kia?
Tu kia sach much judayi mujhse kar li?
Tu khud apney ko aadha kar lia kia..?
Hunar mandi se apney dil ka safha...
Meri jaan, tum ne saada kar lia kia?
Bohat nazdeek aatey ja rahey ho..
Bicharney ka irada kar lia kia..??
·
1 Like ·
Aug 22, 2017 at 21:08
Category: sad
Poetry / Humorous
Kia Chahti Hey Khalq Zamaney Ke Hakimon Se
Zinda dilan shehr ke qissey parha karo
Nafrat ho zindagi se tu qutbay parha karo
Din ke ujaaley shab ke andherey parha karo
Fursat miley tu shaam ke lamhey parha karo
es shehr haadsat me jeeney ke wastey
Apni salamti ke wazifay parha karo
Ishq o wafa ke khel main hota he haal kia
sochon main gharq chaand se chehrey parha karo
Choro zameen o arsh ke qissey kahaniyaan
Dil main hain jo chupay wo afsanay parha karo
Kia chahti hey khalq zamaney ke hakimon se
Deewaron par likhey hoye naaray parha karo..

Jul 08, 2017 at 06:07
Category: humorous
Sponored Video