Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kyun Zindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye
Kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye
aisa nahin ki humko koi bhi khushi nahin
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
kyun iske faisale hamein manzoor ho gaye
paaya tumhein to humko lagaa tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
palkon se khwaab kyun gire kyun choor ho gaye.
kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye...

·
2 Like ·
Aug 29, 2016 at 18:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sur Jhukaoge To Pathar Devta Ho Jaayega
Sur jhukaoge to pathar devta ho jaayeGa
itna mat chaho use wo bewafa ho jaayeGa
hum bhi dariya hai hame apna hunar maloom hai
jis taraf bhi chal padenge rasta ho jaayeGa
kitni sachaai se mujhse zindagi ne keh diya
tu nahi mera to koi dusra ho jaayeGa
rooth jaana to mohabbat ki alaamat hai magar
kya khabar thi mujh se wo itnaa khafaa ho jaayeGa

1 Like ·
Aug 28, 2016 at 23:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tum Bhi Khafaa Ho Log Bhi Beraham Hain Dosto
Tum Bhi Khafaa Ho Log Bhi Beraham Hain Dosto
Ab Ho Chalaa Yaqeen Ke Bure Ham Hain Dosto
Kis Ko Hamaare Haal Se Nisbat Hai Kyaa Karein
Aankhein To Dushmanon Ki Bhi Pur-Nam Hain Dosto
Apane Sivaa Hamaare Na Hone Kaa Gam Kise
Apani Talaash Mein To Ham Hi Ham Hain Dosto
Kuchh Aaj Shaam Hii Se Hai Dil Bhii Bujhaa Bujhaa
Kuchh Shahar Ke Chiraag Bhi Maddham Hain Dosto
Is Shahar-E-Aarazuu Se Bhi Baahar Nikal Chalo
Ab Dil Ki Raunaqein Bhi Koi Dam Hain Dosto
Sab Kuchh Sahi 'Faraz' Par Itanaa Zaruur Hai
Duniyaa Main Aise Log Bahut Kam Hain Dosto

Aug 26, 2016 at 12:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Itni Mudat Bad Milay Ho
Itni Mudat Bad Milay Ho,
Kin Socho Me Gum Rehte Ho,
Taiz Hawa Ne Muj Se Poocha,
Rait Pe Kia Likhte Rehte Ho,
Konsi Baat Hy Tum Me Aesi,
Itne Achay Q Lgte Ho,
Hum Se Na Pocho Hijer K Qissay,
Apni Kaho Ab Tum Kese Ho.
Kin Socho Me Gum Rehte Ho,
Taiz Hawa Ne Muj Se Poocha,
Rait Pe Kia Likhte Rehte Ho,
Konsi Baat Hy Tum Me Aesi,
Itne Achay Q Lgte Ho,
Hum Se Na Pocho Hijer K Qissay,
Apni Kaho Ab Tum Kese Ho.
·
1 Like ·
Aug 19, 2016 at 19:08
Category: sad
Poetry / Poetry Sms
Muzammil Shahzad
Kiyu Khat Likhti Ho Ab Ye Chahat Kaisi
Kiyu Khat likhti ho ab ye chahat kaisi
Juda ho gaye ho ab muhabbat kaisi
hume tumari chahato pe bada naaz tha
tum BEWAFA nikli tumse shikayat kaisi
Juda ho gaye ho ab muhabbat kaisi
hume tumari chahato pe bada naaz tha
tum BEWAFA nikli tumse shikayat kaisi
·
1 Like ·
Aug 17, 2016 at 08:08
Category: poetry-sms
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai
Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jaon To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai
Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai
Us Ek Pal Ke Sadqe Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai
Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai
Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai
Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Khayal Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Ha

Aug 15, 2016 at 22:08
Category: sad
Social Wall / Photos
Abdul Waheed
Khawand Maali Mushkilaat Ka Shikaar Ho Gaya
·
0 Like ·
Aug 09, 2016 at 09:08
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati
Us Nay Toray Hain iraade Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati
Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shikan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati
Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati
Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsin
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati
Us Nay Toray Hain iraade Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati
Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shikan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati
Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati
Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsin
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati
·
2 Like ·
Aug 07, 2016 at 03:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Barish Hui To Pholo K Tan Chaak Ho Gaye
barish hui tou phoolon kay tan chaak hogaye
mousam kay hath bheeg kay safaaq hogaye
badal ko kya khabar hai keh barish ki chah mein
kaisay buland o baala shajar khaak hogaye
jugno ko din kay waqt parkhnay ki zid karien
bachay hamaray ehad kay chalaak hogaye
lehra rahi hai barf ki chadar hata kay ghaas
sooraj ki sheh peh tinkey bhi bebak hogaye
bastii mein jitnay aabb guzida thay sab kay sab
darya kay rukh bdalty he tairaak hogaye
sooraj dimagh log bhi Ablaagh fikar mein
Zulf-e-shab-e-firaaz kay pechak hogaye
jab bhi Ghareeb-e-shehar say kuch guftagu hui
lehjay hawaye shaam kay nmnak hogaye

Jul 29, 2016 at 16:07
Category: sad
Sponored Video