Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Khaamoshii Khud Apanii Sadaa Ho Aisaa Bhii Ho Sakta Hai
Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakta hai
sanaTaa hii gounj rahaa ho aisaa bhii ho sakta hai
meraa maazii mujh se bichhar kar kyaa jaane kis haal main hai
merii tarah vo bhii tanhaa ho aisaa bhii ho sakta hai
sahara sahara kab tak main dhondu ulfat kaa ek aalam
aalam aalam ik saharaa ho aisaa bhii ho sakta hai
ahl-e-tuufaan soch rahe hain saahil Doobaa jaataa hai
Khud un kaa dil Duub rahaa ho aisaa bhii ho sakta hai

·
1 Like ·
Jan 12, 2017 at 08:01
Category: sad
Social Wall / Text
Wajeeha Ali
Cigrette Noshi Se Badi Umar Mein Jodo Ka Dard Ho Sakta Hai
·
5 Like ·
Jan 11, 2017 at 09:01
Category: text
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bewafai Se Pareshan Bhi Ho Jatey Hain
bewafai se pareshan bhi ho jatey hain
narm jhonkay kabhi toofan bhi jatey hain
hum ne mehboob jo badla to taajub kesa
log kafir se musalman bhi ho jatey hain
yun to ik dard ka rishta hai sabhi logon se
log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
shehr bhar ko main muhabbat to sikha doon lekin
khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
hadisa ho ya koi mojza sahi kuch ho
rastey pyar k asaan bhi ho jatey hain

Dec 29, 2016 at 19:12

Dec 29, 2016 at 10:12
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kis Lye Ab Uddas Bethy Ho
Kis Lye Ab Uddas Bethy Ho
Jab WO ik shakhs Dastras Mien tha, Us se milna Tumhary bus mein tha
Uski ankhain Tumhari Aankhain theen, Uski Baatain Tumhari Baatain theen
Uska Chehra Tumahra Chehra tha, Us K Dill pe Tumhara Pehra Tha
Wo Jo kehta tha Beqarari hy, Meri sari Wafa Tumhari hy
Sirf Tumse Mujhy Mohabbat hy, Sirf Tumse Meri Haqiqat hy
Tab Tum Us k Hr Aik Jumly KO, Tab Tum Us k Hr Aik Jazbay KO
Ek hansi mein Uraya karty thy, Sunn k Tum Bhool Jaya karty thy
Apni Tanhai k Galay Lag k Saray Aansu Wo roo gya Ik din,
Ek Pather se Dil Lagi kar k Khud bhi Pather ka ho gya Ik din
Ab WO tumse to kuch nahi kehta, Be Niyazi k Dukh nahi sehta
Uski Ankhain Ab Uski Ankhain hain… Uski Baatain Ab Uski Baatain hain
Bhool Jana Tumhari Adat Hy, Ab WO Ik Shakhs Dastras mein nahi
Us se milna Ab Tumhary Bus mein nahi,,
Kis Liye Phir Uddas Bethy Ho

Dec 29, 2016 at 02:12
Category: sad
Poetry / Sad
Bisat E Ishq Me Muje Maat Ho Jaye Gi
bisat-e-ishq me muje maat ho jaye gi
kise khabr thi k banjar ye zat ho jaye gi
shayd wo ana me pehchan-nay se inkar ker day
kabhi jo rah-e-ishq pe mulaqat ho jaye gi
judai bakhshay gi umer bhar ka adhura pun
ya hijr me mukamal meri zat ho jaye gi
us ka nam tak lene ki ijazat nhi ab to
khayal to yeh tha k kabi kabi bat ho jaye gi
guman tak na tha is qadar zawal ka aakash
socha tha k subh hote hi rat ho jaye gi

Dec 24, 2016 at 00:12
Category: sad
Poetry / Love
Dhoop Ho Ya Chhaon Tum Sath
Dhoop Ho Ya Chhaon TUM Sath
Nibhaya Krna,
Mere Chehre
Pe Sda Palkoon Ka Saya Krna
Rah Dekhun Gee Tumhari Yunhi Mehfil Mein,
Tum Kbhi Jaldi,
Kbhi Dair Se
Aaya Krna
Daant Lena Sar-e-Mehfil Chalo Koi Baat Nhi,
Phr Akele Mein
Galy Lag K Mnaya Krna
Jaan Lun gee Main Khushbu Se Tmhari Tum Ko,
TUM Peechay Se
Meri Aankhon Ko
Chupaya Krna
Jagna Chahoon
To Pehron Yuhi
Batein Krna,
Neend Aa Jaye
To Pehlu Mein
Sulaya Krna

Dec 22, 2016 at 00:12
Category: love
Poetry / Sad
Kathan Ho Manzalain Jb Rastay Gumnam Ho Jayein
Kathan ho Manzalain jb rastay gumnam ho jayein
Tamasha hans k dekho tum or hm Aam ho jayein
Bare shatir khilari ho hamare sung khelo
Tmhare ek ishare par hm Nelaam ho jayein
Har Azad panchi hm se ab Duhai mange hai
Qafas mai hm kyoun paraay rahain Badnam ho jayein
Hamari soch k par kaat kr ye chahte ho tum
Hamare Zehan zaang alouda ho kr jaam ho jayein
Wafa ki rah pe chalte rahain Bin dam ho jayein
Tumhari chah hai kaisi k hm Benam ho jayein

Dec 12, 2016 at 06:12
Category: sad
Poetry / Love
Mare Bas Main Ho Tu Kabhi Kahein
Mare Bas main Ho Tu Kabhi Kahein
Koi Shehar Aisa Bassoon Main
Jahan Sach ko Sach se Ho Wasta
Jahan Jugnowoon ko Hawa Dati Ho Rasta
Jahan Chand maand Na Ho Kabhi
Jahan Khushbooun se Badlti Rut Ko Hasad Na Ho
Jahan Pastiyon ko Bulandiyon se Kard Na Ho
Jahan Khawab Ankhon main Jagmagaein Tu
Jism-o-Jan k sabhi Dareechon main Tayragi ka Guzar Na Ho
Koi Raat Aisi Basar Na Ho
K Bashar Ko Apni Khabar Na Ho
Jahan Dagh Dagh Sehar Na Ho
Jahan Kashtiyan Hon Rawan Dawan
Tu Samandron main Bhanwar Na Ho
Jahan Barg-o-Bar se Ajnabi, Koi Shakh Koi Shajar Na Ho

3 Like ·
Dec 05, 2016 at 17:12
Category: love
Sponored Video