Search
Poetry / Friendship
Bhut Qareeb Aa Kar Door Ja Raha Hai Koi
Bhut Qareeb Aa Kar Door Ja Raha Hai Koi
Dosti Ka Hath Mila Kar Door Ja Rha Hai Koi
Chaar Din Ki Zindagi Hai Phir Wapis Jana Hai
Phir kyu Mujh Ko Behad Sata Raha Hai Koi
Mere Hisse Ki Zindagi Bhi Us K Naam Kar De
Baargah E Elahi Mai Hath Utha Rha Hai Koi
Zindagi Bhar Kabi Bhi Hum Juda Na Hon Ge
Wo Waade,Wo Qasmein Bhula Raha Hai Koi
Wo Hath Jin Se Hameesha Duaein Mangein Thein
Aj Unhein Hathon K Sath Mayyat Saja Rha Hai Koi
Bhut Jee Chuke Ho Ab Araam Kar Lo Sanwal
Mout Ka Paighaam Le Kar Bula Rha Hai Koi...!

·
3 Like ·
Oct 14, 2017 at 16:10
Category: friendship
Poetry / Sad
Bas Ek Khyaal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye
Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Hum us pe khaab ki soorat utarne waale hain
Sajaye aaNkh mein wo kehkashaaN hamare liye
Udaas ho chuke lamhoN mein rang bharti hui
Hawaye shaam hai na maherbaN hamare liye
Nateejatan hamaiN mahroom e khaab hona paRa
HaqeeqatoN ne kaRe imtehaaN hamare liye...!

1 Like ·
Oct 13, 2017 at 20:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Occassional Events
Milan Ki Aas Lagta Hai
Wo Darjan Bhar Mahino sy..,
Sada Mumtaz Lagta Hai...
March Kis Liye Aakhir..?
Hamesha Khaas Lagta Hai...
Bohat sehmi Hui subhen..,
Udasi sy Bhari shaamen...
Dopehr Roi Roi si..,
Wo Raaten Khoi Khoi si...
Garm Dabeez shalon Ka..,
Wo Kam Roshan ujalon Ka...
Kabhi Guzry Hawalon Ka..,
Kabhi Mushkil swalon Ka...
Bichar Jaany Ki Mayusi..,
Milan Ki Aas Lagta Hai...
March Kis Liye Aakhir..
Hamesha Khaas Lagta Hai...!
Sada Mumtaz Lagta Hai...
March Kis Liye Aakhir..?
Hamesha Khaas Lagta Hai...
Bohat sehmi Hui subhen..,
Udasi sy Bhari shaamen...
Dopehr Roi Roi si..,
Wo Raaten Khoi Khoi si...
Garm Dabeez shalon Ka..,
Wo Kam Roshan ujalon Ka...
Kabhi Guzry Hawalon Ka..,
Kabhi Mushkil swalon Ka...
Bichar Jaany Ki Mayusi..,
Milan Ki Aas Lagta Hai...
March Kis Liye Aakhir..
Hamesha Khaas Lagta Hai...!
·
1 Like ·
Oct 12, 2017 at 11:10
Category: occassional-events
Poetry / Love
Jis Tarah Paas Hi Sheh E Rag Ke Khuda Rehta Hai
Meri Raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain
Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain
Meri Aankhon mai Tera Sapna saja rehta hai
Haan Mere Dil me Tera hi Aks basa rehta hai
es tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai
Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge
Mai ne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi
Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi...!

Oct 10, 2017 at 16:10
Category: love
Poetry / Love
Rang O Khushbu Ke Darmeyan Me Hai
Rang o khushbu ke darmeyan me hai
Kon sa shakhs mere dhiyan me hai
Kal bhi tha nasha-e-khudi us ko
Aaj bhi dil usi gumaan me hai
Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo
Koi tanha bharey jahaan me hai
Tujh pe hai dhoop chaaon ka mausam
Tere shayar bhi imtihaan me hai
Khawb hain phool hain woh ankhen hain
Ik tasalsul sa dastaan me hai
Haadsa jo na ho saka hai abhi
Gardish e wakt ki amaan me hai
Mein nibhaon ga sarey ehad zia
Jab talak meri jaan, jaan me hai...!
Kon sa shakhs mere dhiyan me hai
Kal bhi tha nasha-e-khudi us ko
Aaj bhi dil usi gumaan me hai
Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo
Koi tanha bharey jahaan me hai
Tujh pe hai dhoop chaaon ka mausam
Tere shayar bhi imtihaan me hai
Khawb hain phool hain woh ankhen hain
Ik tasalsul sa dastaan me hai
Haadsa jo na ho saka hai abhi
Gardish e wakt ki amaan me hai
Mein nibhaon ga sarey ehad zia
Jab talak meri jaan, jaan me hai...!
·
1 Like ·
Oct 09, 2017 at 14:10
Category: love
Poetry / Sad
Tumhain Ab Bhool Hi Jayain Tou Acha Hai
Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai,
Yeh faslay aur bhi barh jayain tou acha hai,
Tumhari chahatain hum ko nahin hasil,
To ab ghair hi bun jayain tou acha hai,
Hamari to umer guzri hai teri chahat main,
Tu es aag main na jalay to acha hai,
Barsoon se thi Dua k tu meray sath ho,
Kehta hon k ab saamnay na ayai tou acha hai,
Rehta tha teri mohabbat ka saya hamaray sath,
Ab to apni parchai bhi sath na ayai tou acha hai,
Raiza Raiza ho chuki hai roooh meri,
Ke badan say ab nikal hi jayen to acha hai...!

Oct 08, 2017 at 14:10
Category: sad
Poetry / Love
Khuabon Ka Her Rang Haseen Hota Hai
khuabon ka her rang haseen hota hai
haqeeqat ka her roop sangeen hota hai
hum nay aksar ishq mein aisa dekha hai
aik bohat shaad aur ik ghamgeen hota hai
shaam ko mein aksar ye socha kerti hun
aankh ka pani kyun namkeen hota hai?
woh jab bhi meri yaadon mein aata hai
dil ka her gosha rangeen hota hai
mein ney jab bhi baher-o-amber ko dekha
mein ney jaana kya Aafreen hota hai...!

Oct 06, 2017 at 10:10
Category: love
Poetry / Sad
Meri Khamoshi Ko Woh Meri Khataa Kehta Hai
meri khamoshi ko woh meri khataa kehta hai
kitna nadaan hai wafaoon ko jafa kehta hai
woh ke anjaan e mohabbat hai usay kiya kahiye
dil ke rone ko wo dharkan ki sada kehta hai
mai usay kitna bhi chahoon per nahi us pe asar
meri diwaangi ko apna huner kehta hai
yaan to awaaz uthaane ki saza maut hi hai
tum bhi maano wohi jo hakim-e-waqt kehta hai
bus woh aaghaaz e mohabat ke chaand lamhe hain yaad
jin ko woh larakpan ki khataa kehta hai...!

Oct 05, 2017 at 15:10
Category: sad
Poetry / Love
Fizaaon Par Asar Hawaon Ka Hota Hai
Fizaaon Par Asar Hawaon Ka Hota Hai
Mohabbat Par Asar Adaon Ka Hata Hai,
Koi Aise Hi Kisi Ka Deewana Nahi Hota
Kuch Kasoor Toh Nighaon Ka Hota Hai
Main Hawa Hoon, Kahin Bhi Theherti Nahin
Ruk Bhi Jaaoon Kahin Par To Rehti Nahin
Maine Tinke Uthaaye Hue Hain Paron Par
Aashiyaana Nahin Hai Mera
Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
Na jane kis umeed pe dil thehra hai,
Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai...!

Oct 05, 2017 at 03:10
Category: love
Sponored Video