Search
Poetry / 24
Lahu Lahu Hai Har Ek Sang E Rah Guzar Jana
Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana
Hua na tha u mere dard ka safar Jana
Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha
Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jana
Ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekhaa hai
Jo dil pe guzri hai uski kise khabar Jana
Bichad ke tujhse to lamhe bhi maah o saal huye
Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jana...!

·
2 Like ·
Oct 22, 2017 at 03:10
Category: 24
Poetry / General
Sadiyon Se Insaan Yeh Sunta Aya Hai
Sadiyon se insaan yeh sunta aya hai,
Dukh ki dhoop ke agey sukh ka saya hai,
Hum ko in sasti khushiyon ka bhoj na do,
Hum ne soch samajh ke gham apnaya hai,
Jhoot to kaatil thehra, es ka kya rona,
Sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hai,
Paidaiesh ke din se maut ki zadd mein hain,
es maktal mein kon humain le aya hai,
Awal awal jis dil ne barbaad kiya,
Aakhir aakhir woh dil hi kaam aya hai,
Itne din ehsaan kiya deewanon per,
Jitne din logon ne sath nibhaya hai…

1 Like ·
Oct 21, 2017 at 18:10
Category: general
Advertisement
Poetry / Love
Faqat Itni Guzarish Hai
Mein tum se kuch nahin kehta
Faqat itni guzarish hai
k...
Utni baar Mil jao
K....
Jitna Yaad aate ho..!!!
Faqat itni guzarish hai
k...
Utni baar Mil jao
K....
Jitna Yaad aate ho..!!!
·
1 Like ·
Oct 20, 2017 at 11:10
Category: love
Poetry / 24
Aadat Hi Bana Li Hai Es Sheher K Logon Nay
Aadat Hi Bana Li Hai es Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mousam jo naya aaye raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna ahbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Rasty main agar milna nazron ko jhuka lena
Awaaz agar do to katra k nikl jana
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay...!

Oct 20, 2017 at 05:10
Category: 24
Poetry / 24
Tooti Hai Meri Neend Mgar Tum Ko Es Sy Kya
Tooti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya
Bajtay rahe hawaoon say dar tum ko es sy kya
Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomtay raho
Kat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya
Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao
Mein bhool jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya
Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath
Tum nay to daal di hai sipar, tum ko es sy kya
Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee
tanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya...!

Oct 19, 2017 at 09:10
Category: 24
Poetry / 24
Acha Lagta Hai
Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir Bhi Kyu…?
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…
Haqeeqat Se Hoon Door,
Ye Mujh Ko Hai Pata…
Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…
Qayal Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…
Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…
Kuch Pal es Khawab Me Khona Acha Lagta Hai...!

Oct 19, 2017 at 02:10
Category: 24
Poetry / Sad
Woh Muj Se Meri Khamoshi Ke Wajah Poochta Hai
woh muj se meri khamoshi ke wajah poochta hai
kitna pagal hai raat ke sanattay ki wajah poochta hai
woh muj se mere ansoo ke wajah poochta hai
kitna pagal hai barish ki barasne ke wajah poochta hai
woh muj se mere mohabbat ke baaray me poochta hai
kitna pagal hai khod apne baaray me poochta hai
woh muj se mere wafa ki inteha poochta hai
kitna pagal hai sahil pe khada hai samunder ke gehrai poochta hai...!

Oct 18, 2017 at 14:10
Category: sad
Poetry / Humorous
Dal Mein Jo Kala Hai Ji
dal mein jo kala hai ji
wo garam masala hai ji
aik pal ki humein khabr nahein
maghr mansooba sau sala hai ji
usay rishwat khaane ka haq hai
jo minister ka sala hai ji
hum ne dil kisi ko deh dala hai ji
ab Allaha he us ka rakhwala hai ji
hum unn ka kya churaate thay
jo humein dil se nikala hai ji...!
wo garam masala hai ji
aik pal ki humein khabr nahein
maghr mansooba sau sala hai ji
usay rishwat khaane ka haq hai
jo minister ka sala hai ji
hum ne dil kisi ko deh dala hai ji
ab Allaha he us ka rakhwala hai ji
hum unn ka kya churaate thay
jo humein dil se nikala hai ji...!
·
1 Like ·
Oct 15, 2017 at 17:10
Category: humorous
Poetry / Sad
Aawaaz De Rahi Hai Ye Kis Ki Nazar Mujhe
Aawaaz de rahi hai ye kis ki nazar mujhe?
Shayed mile kinara wahin doob kar mujhe
Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gaii
Khone ke bad mil gaii apni khabar mujhe
Har har qadam pe saath hoon saya hoon main tera
Ay bewafa dikha to zara bhool kar mujhe
Dunya ko bhool kar teri dunya main aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar mujhe?
Dunya ka har nazara nigahon se cheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekh kar mujhe...!

Oct 14, 2017 at 22:10
Category: sad
Sponored Video