Search
Poetry / Sad
Kon Weraan Makano Ki Khabar Rakhta Hai
Shab-e-hijraan ki Aziyat ki khabar kis ko hai
Meri gumnaam muhabbat ki khabar kis ko hai
Kis ko Ahsass meri shidat-e-jazbaat ka hai
Meri halaat meri wehshat ki khabar kis ko hai
Kon weraan makano ki khabar rakhta hai
Meri ujri hoi halat ki khabar kis ko hai
Main nay chup chap muhabbat k sitam jhailay hain
Meri es darja sharafat ki khabar kis ko hai
Kon aaye ga ab aay dil tujh ko tasalli denay..
Teri udas tabiyat ki khabar kis ko hain.....!

·
1 Like ·
Aug 14, 2017 at 10:08
Category: sad
Poetry / Sad
Dekhna Hai Woh Mujh Par Meharabaan Kitana Hai
Dekhna hai woh mujh par meharabaan kitana hai
asaliyat kahaaN tak hai aur gumaan kitana hai
kya panaah deti hai or yeh zamiin mujh ko
aur abhii meray sar par aasamaan kitanaa hai
kuch Khabar nahin aatii kis ravish par hai tuufaaN
aur kTa phaTaa baaqii baadbaan kitana hai
toor phoor karti hain roz Khowishain dil me
tang in makeeno seY yeH makaan kitanaa hai
harf-e-aarazu sun kar janchnay lagaa
es men baat kitnii hai aur bayaan kitana hai
phir udaas kar de gi sarsari jhalak us ki
bhuul kar yeh dil us ko shadman kitana hai...!

Aug 14, 2017 at 04:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Shabe Furkat Hai Har Shamma Bujha Do
shabe furkat hai har shamma bujha do
mere apno mujhe jeene ki saja do
main to bismil hua hun apno se
mujhko aake fir daad-e-jafa do
khwab me aake kyun sargoshi karte ho
tnha hun mujhe to khulkar sada do
shola-e-gham me bah gayi meri manzil
main dhundhta hun uska kuchh to pata do....!

Aug 13, 2017 at 03:08
Category: sad
Poetry / Sad
Khumaar E Gham Hai, Mehakti Fiza Men Jeetay Hain
khumaar-e-gham hai, mehakti fiza men jeetay hain
teray khayal ki aab o hava men jeetay hain..
firaq-e-yaar me saanson ko rokey rakhtay hain
har ek lamha utarti qaza men jeetay hain..
na baat poori huee thi ke raat toot gae
adhoorey khaab ki aadhi saza men jeetay hain..
tumhari baaton men koyee masiha basta hai
hasin labon sey barasti shafa mein jeetay hain....!

Aug 12, 2017 at 19:08
Category: sad
Poetry / Sad
Hansi Aai To Hai Bekaif Si Lekin Khuda Jaane
Teri Mehfil Se Uthkar Ishq Ke Maaron Pe Kya Guzri
Mukhalif Ik Jahaan Tha Jaane Bicharoon Pe Kya Guzri
Sahar Ko Rukhsat-E-Bimaar-E-Furqat Dekhne Waalo
Kisi Ne Ye Bhi Dekha Raat Bhar Taaron Pe Kya Guzri
Suna Hai Zindegi Viraniyoun Ne Luut Li Milakar
Na Jaane Zindegi Ke Naaz Bardaroon Pe Kya Guzri
Hansi Aai To Hai Bekaif Si Lekin Khuda Jaane
Mujhe Masruur Paakar Mere Ghamkharoon Pe Kya Guzri
Asir-E-Gam To Jaan Dekar Rihaai Paa Gaya Lekin
Kisi Ko Kya Khabar Zindaan Ki Divaron Pe Kya Guzri....!

Aug 12, 2017 at 13:08
Category: sad
Poetry / Sad
Naye Safar Men Abhi Aik Nuqs Baqi Hai
naye safar men abhi aik nuqs baqi hai
jo shakhs sath nhi uska aks baqi hai
ghata uthi hai par toot kar nhi barsi
hawa chali hai magar phir bhi habs baqi hai
ulat plat gaee duniya woh zalzalay aaey
magar kharaba-e-dil men wo shakhs baqi hai
fraz aaey ho tum ab rafiq-e-shab ko liay
keh doar-e-jaam na hangaam-e-raqs baqi hai...!

Aug 11, 2017 at 17:08
Category: sad
Poetry / Sad
Mohabbat naam hai mera
Kabhi veeran raaston par
Koi anjaan si dastak
Agar tum ko sunai de
Sada ki shakal main aa kar kahay
Mohabbat naam hai mera
Palat kar dekhna mat tum
Keh es kaar-e-Mohabbat main
Aziyat hi aziyat hai...!
Koi anjaan si dastak
Agar tum ko sunai de
Sada ki shakal main aa kar kahay
Mohabbat naam hai mera
Palat kar dekhna mat tum
Keh es kaar-e-Mohabbat main
Aziyat hi aziyat hai...!
·
1 Like ·
Aug 08, 2017 at 15:08
Category: sad
Poetry / Sad
Teri Ummid Tera Intezaar Jab Se Hai
Teri Ummid Tera Intezaar Jab Se Hai,
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Din ko Shab Se Hai,
Kisi ka Dard Hoa Karte Hai Tere Naam RaQam,
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai,
Hua Hai Jab Se Dil-E-bechain Beqabo,
Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai,
Agar Sharar Hai To Bharke Jo Phool Hai To Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai,
Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale,
Sitara-E-Seher HumKalam Kab Se Hai...!

Aug 07, 2017 at 08:08
Category: sad
Poetry / Love
Suna Hai In Dino Us Ko Tasawuf Sy Hai Dilchaspi
Kisi Mein Youn Hi Zoq-e-Shairana Dhoond Lety Hain
Chalo Mil Baithnay Ka Bahana Dhoond Lety Hain
Suna Hai In Dino Us Ko Tasawuf Sy Hai DilChaspi
To Achha Hai Kalam-e-Arifana Dhoond Lety Hain
Haqaiq Talkh Hotay Hein Ye Ik Zinda Haqeeqt Hai
Koi Meetha, Raseela Sa Fasana Dhoond Lety Hain
Ye Do Din Zindagi K Kat To Jain Gay Musarat Mein
Chalo Hum Bhi Koi Sapna Suhana Dhoond Lety Hain
Kisi K Sath To Chalna Hai Aakhir DarBaDar Ho Kar
Koi Apni Tarha Ka Be Thikana Dhoond Lety Hain
Unhain Shikwa Hai Shaam-e-Gulistaan Mein Shair K Doraan
Andheray Mein Bhi Kuch Pathar Nishana Dhoond Lety Hain....

Aug 07, 2017 at 01:08
Category: love
Sponored Video