Search
Poetry / 24
Lahu Lahu Hai Har Ek Sang E Rah Guzar Jana
Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana
Hua na tha u mere dard ka safar Jana
Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha
Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jana
Ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekhaa hai
Jo dil pe guzri hai uski kise khabar Jana
Bichad ke tujhse to lamhe bhi maah o saal huye
Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jana...!

·
2 Like ·
Oct 22, 2017 at 03:10
Category: 24
Poetry / Sad
Bas Ek Khyaal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye
Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Hum us pe khaab ki soorat utarne waale hain
Sajaye aaNkh mein wo kehkashaaN hamare liye
Udaas ho chuke lamhoN mein rang bharti hui
Hawaye shaam hai na maherbaN hamare liye
Nateejatan hamaiN mahroom e khaab hona paRa
HaqeeqatoN ne kaRe imtehaaN hamare liye...!

1 Like ·
Oct 13, 2017 at 20:10
Category: sad
Advertisement
Social Wall / Videos
Bollywood Music Videos
Awari Song - 'Ek Villain'
·
1 Like ·
Oct 13, 2017 at 04:10
Category: videos
Poetry / Sad
Ek Din Ek Udaas Lamhe Ne
Ek din ek udaas lamhe ne
Muskarate huwe jo dekh liya
Jane kiya dil main soch liya ?
Raasta mera hans k rook liya
Aur sene se lag gaya aisay
Jaise bichra huwa koe apna
Ek muddat k baad milta hay
Tab se woh mere paas rahta hay
es liye dil udaas rahta hay...!
Muskarate huwe jo dekh liya
Jane kiya dil main soch liya ?
Raasta mera hans k rook liya
Aur sene se lag gaya aisay
Jaise bichra huwa koe apna
Ek muddat k baad milta hay
Tab se woh mere paas rahta hay
es liye dil udaas rahta hay...!
·
1 Like ·
Sep 14, 2017 at 05:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muhabbaton Mein Har Ek Lamha Wisal Hoga Ye Tay Howa Tha
muhabbaton mein har ek lamha wisal hoga ye tay howa tha
bichar ke bhi ek dosrey ka khayal hoga ye tay howa tha
wohi howa na badaltey muosam mein tum ne ham ko bhula dia hey
koi bhi rut ho na chahaton ko zawal hoga ye tay howa tha
ye kia ke sansain ukhar gai hain safar ke aghaz se hi yaro
koi bhi thak kar na rastey mein nidhal hoga ye tay howa tha
juda hoe hain tu kia huwa phir yehi to dastoor-e-zindagi hey
judaiyon mein na qurbaton ka malal hoga ye tay howa tha
chalo ke Faizan kashtiyon ko jala dain gumnam sahilon per
ke ab yahan se na wapsi ka sawal hoga ye tay howa tha...!

14 Like ·
Sep 08, 2017 at 17:09
Category: sad
Poetry / Sad
Ek Lamhe Ke Liye Ye Moujza Dekha Gaya
Ek lamhe ke liye ye moujza dekha gaya
pathroN ke shahr mein ek aaina dekha gaya
Girne wala to bulandi chhu gaya aakaash kee
jo sambhal kar chal raha tha, Rengta dekha gaya
Aakhir uski kamsini dam todti dekhi gayi
subah jab wo aaine ko choomta dekha gaya
shahr ke har shakhs ko tha apne gum hone ka darr
har koi saaye ke pechay bhaagta dekha gaya
Aaina khanay mein kal us shakhs ko korray pade
jo hawa mutthi mein lekar ghoomta dekha gaya...!

Aug 31, 2017 at 13:08
Category: sad
Poetry / Love
Aankh Ne Raat Jab Ek Chand Mukammal Daikha
Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha
pher samandar ko bhe hote hoe pagal daikha
raat bhar dair talak kahi teri batain khud se
raat bhar samne chehra tera pal pal daikha
aaj yadoun ki ghata toot k barsi dil par
aaj ham ne bhe barasta hoa baadal daikha
hafza chean liya ham se gham-e-duniya ne
aaj ham bhool gaey usko jise kal daikha
eak shaks tha k bohat hansta tha
aaj uski aankhoun se bhe behta hoa kajal daikha...!

Aug 26, 2017 at 20:08
Category: love
Poetry / Sad
Ek Ghazal Tere Liye Zaroor Likhon Ga
Ek Ghazal tere Liye Zaroor Likhon ga.
Be Hisab us Mein tera Qasoor Likhon ga.
Tu Guftaar ka MaHir, Tu Qirdar ka MaHir,
Par Husn ko tera, Tera Ghuroor Likhon ga.
Toot gaye Bachpan k, Tere Saray Khilonay,
Ab dilon sy kheLna, Tera Dastoor Likhon ga.
Raha ishq ka Daawa, Tujhe Tamam Umr,
Wafa ki Dehleez se Tujhe Mafroor Likhon ga.
Khud Sakhta jo hai, Tera Judai Ka Faisla,
Aesay har Iqdaam ko, Na Manzoor Likhon ga.
Hamein Kehnay ki Aadat Nahin Likhnay ka ShouQ hai,
Jazbon ko Apnay QaLam ki Taaseer Likhon ga.
Tera wajood, Mera wajood Mujhe ek sa Lage Saqi,
Par Tujhe Main Khud say bohat Door Likhon ga...!

Aug 23, 2017 at 10:08
Category: sad
Sponored Video