Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Din Mili Wo Mujh Sy
Ek Din Mili Wo Mujh Sy
Bujhi Bujhi Si
Jhuki Jhuki Si
Udasion Main Rachi Basi Si
Jo Main Ny Poocha
Udaas Kyun Ho .. ?
Jhuka K Palkain
Chupa k Chehra
Lagi Wo Kehne !
Udaasion Ka Sabab Tum Hi Ho
Mere Naseebon Main
Tum Nahi Ho!!!
Bujhi Bujhi Si
Jhuki Jhuki Si
Udasion Main Rachi Basi Si
Jo Main Ny Poocha
Udaas Kyun Ho .. ?
Jhuka K Palkain
Chupa k Chehra
Lagi Wo Kehne !
Udaasion Ka Sabab Tum Hi Ho
Mere Naseebon Main
Tum Nahi Ho!!!
·
2 Like ·
May 31, 2017 at 12:05
Category: sad
Poetry / 0
Ijunoon
Zindagi ek Raat hai
Zindagi ek
Raat hai
Jis main Na Jaane
Kitne Khuwab
hain
Jo mil Jayen wo
Apne hain
Jo Toot Jayen wo
Sapne hain!
Raat hai
Jis main Na Jaane
Kitne Khuwab
hain
Jo mil Jayen wo
Apne hain
Jo Toot Jayen wo
Sapne hain!
·
2 Like ·
May 29, 2017 at 23:05
Category: 0
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Muddat Hoi Ek Zamana Hua
ek muddat hoi ek zamana hua
Khaak-e-gulashan men jab aashiyaana hua
zulf-e-barham ki jab se shanasai hoi
zindagii kaa chalan mujremana hoa
phuul jalate rahe chand hansta raha
aarazuu ka muqamal fasana hoa
daaG dil ke shehanshah ke sikke bane
dil kaa muflis kada jab Khazana hoa
rahbar ne palaT kar na dekha kabhi
rah o raaste ka nishana hoa
ham jaha bhi gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap kaa aastana hoa
pahale hoti thi koi vafaa par vari
ab to "SaaGar" ye qisa purana hoa
Khaak-e-gulashan men jab aashiyaana hua
zulf-e-barham ki jab se shanasai hoi
zindagii kaa chalan mujremana hoa
phuul jalate rahe chand hansta raha
aarazuu ka muqamal fasana hoa
daaG dil ke shehanshah ke sikke bane
dil kaa muflis kada jab Khazana hoa
rahbar ne palaT kar na dekha kabhi
rah o raaste ka nishana hoa
ham jaha bhi gaye zauq-e-sajdaa liye
har jagah aap kaa aastana hoa
pahale hoti thi koi vafaa par vari
ab to "SaaGar" ye qisa purana hoa
·
1 Like ·
May 25, 2017 at 20:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Vada Hai Kisi Ka Jo Vafaa Hota Nahi
ek vada hai kisi ka jo vafaa hota nahi
marmari taron bhari raaton men kya hota nahi
ji men ata hai ulaT den un ke chehare se naqab
hausala karte hain lekin hausala hota nahi
shama jis ki aabaroo par jaan de de jhuum kar
vo patanga jal to jata hai fana hota nahi

May 25, 2017 at 01:05
Category: sad
Social Wall / Videos
Bollywood Music Videos
Zaroorat - ''Ek Villain''
·
0 Like ·
May 11, 2017 at 17:05
Category: videos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri Zindegi Ka Mutalba Wohi Ek Fard Hai Kis Liye
Usi Ek Fard Kay Wastay Meray Dil Mai Dard Hai Kis Liye
Meri Zindegi Ka Mutalba Wohi Ek Fard Hai Kis Liye
Jo Likha Hai Meray Naseeb Mai Kaheen Tu Ne Parh Tu Nahi Lia?
Tera Hath Sard Hai Kis Leye, Tera Rang Zard Hai Kis Liye
Tu Jo Shaher Mai He Muqeem Hai Tu Musafirat Ki Fiza Hai Kiyon
Tera Karwaan Jo Nahi Gaya Tu Hawa Mai Gard Hai Kis Liye
Wo Jo Tarq-e-Rabt Ka Ehad Tha kaheen Tottnay Tu Nahi Laga
Teray Dil Kay Dard Ko Dekh Ker Meray Dil Mai Dard Hai Kis Liye
Na Jamal-o-Husan Ki Bazam Hai Na Janoon-o-Ishq Ka Azm Hai
Sir-e-Dasht Raqs Mai Her Garhi Koi Baad-e-Gard Hai Kis Liye
Koi Wasta Jo Nahi Raha Teri Ankh Mai Yeh Nami Hai Kiyon
Meray Ghum Ki Aag Ko Dekh Ker Teri Ahh Sard Hai Kis Liye

May 09, 2017 at 15:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri Zindagi Ek Qatray Ki Manind Hai
Meri zindagi ek qatray ki manind hai
Key jiski keemat janta hai sehra or koi nahi
Tujh Say Judai Key Ek Faislay Key Baad
Mai Khud Bhi Apnay Sath Kabhi Phir Raha Nahi
Aaj Tuk Rooh Mai Kanta Sa Chubhta Hai
Itna Kuch Keh Ker Bhi Kehney Ki Tamana Hi Rahi
Hayee!! woh Zakham Jo Lafzon Mai Piraoye Na Gaye
Uff!!! Woh Aansoo Jinhay Behnay Ki Tamanna hi Rahi
Ker Gaye Daman Ko Tar, Phir Aaj Ashq
Mainay Behnay Say Inhay Roka Bohat
Mill Na Paya Apna Koi Bhi Nishaan
Khud Ko Apni Zaat Mai Dhonda Buhat
Azmaoon Main Bhi Ab Tujh Ko Zara
Zindagi Tu Nay Mujhay Jancha Bohat

Apr 10, 2017 at 21:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Basti Thi Dil Walon Ki
Ek basti thi dil walon ki,
Jahan "Chand" or "Suraj" baste thay
Sara din wo angan men hansa khela karte thay
Ek dosre per dil-o-jan se marte thay
Phir ek din yun hua wo dono apis mein ruth gaye
Jo sapne thay wo toot gaye
Ab chand wahan tab ata hay, jb suraj chala jata he,
Jab suraj ata hy tb chand so jata he,
Badaal ye kehte hen,ye suraj uljha uljha rehta he,
Chand k paas to taare hen ye suraj tanha rehta hai
Ek basti thi dil walon ki

Feb 02, 2017 at 10:02
Category: sad
Poetry / Sad
Falak Par Badalon Ki Dor Se Ek Naam Likh Dena
Falak par badalon ki dor se ek naam likh dena
zameen ke sabz aanchal par koi paigham likh dena
badan me kirchiyaan hain aabley hain mere pairon mein
wo jab bhi haal poochain mujh ko GUL ANDAAM likh dena
kabhi Mahsoos bhi kar lo kissi ke Dil ka soona pan
ye kya k hans raha hai jo ussey GULFAAM likh dena
nazer me kirchiyaan peham khun se tar rahey aanchal
Tum aisey inqilabi daur ko Anjaam likh dena

Nov 06, 2016 at 11:11
Category: sad
Sponored Video