Sad
Poetry / Sad
Urooj Zahed
Gun Gunaatay Barastay Raasto''n Ki Dil Kashi Apni Jaga.
Gun_Gunaatay Barastay Raasto''n Ki,
Dil_Kashi Apni Jaga.......
Aur Sab K Darmiyaa''n,
Teri Kami Apni Jaga.....
Dil_Kashi Apni Jaga.......
Aur Sab K Darmiyaa''n,
Teri Kami Apni Jaga.....
·
3 Like ·
Jul 20, 2018 at 13:07
Category: sad
Poetry / Sad
Obaid Kayani
Us Ke Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhi Na Sakun.
us ke hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun
dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun
dal kar khak mere khoon pe qatil ne kaha
kuch yeh mehandi nahi meri ke mita bhi na sakun
zabt kambakht ne aur aa ke gala ghonta hai
ke use hal sunaun to suna bhi na sakun
us ke pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko
neend aisi use aaye ke jaga bhi na sakun
naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajade
sar mera arsh nahi hai ki jhuka bhi na sakun
bewafa likhate hain wo apni kalam se mujh ko
ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun
is tarah soye hain sar rakh ke mere zanon par
apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun.

0 Like ·
Jul 19, 2018 at 04:07
Category: sad
Poetry / Sad
Qafilay Rah Main Qadmon K Nishaan Chor Gaye...
Kassh Khushboo Ki Trah Drd Bhi Hijrat Krtay...!!!
Mian Usman
Qafilay Rah Main Qadmon K Nishaan Chor Gaye
Qafilay Rah Main Qadmon K Nishaan Chor Gaye...
Kassh Khushboo Ki Trah Drd Bhi Hijrat Krtay...!!!
·
0 Like ·
Jul 18, 2018 at 14:07
Category: sad
Poetry / Sad
Aa Gayee Fasl E Skoon Chaak Greeban Walo...
Sil Gaye Hont, Koi Zakhm Khilay Ya Na Khilay...
DOSTO...! Bazm Saja''o K Bahaar Aayee Hy...
Khul Gaye Zakhm, Koi Phool Khilay Ya Na Khilay...!!!
Abdul Qaddoos
Aa Gayee Fasl E Skoon Chaak Greeban Walo
Aa Gayee Fasl E Skoon Chaak Greeban Walo...
Sil Gaye Hont, Koi Zakhm Khilay Ya Na Khilay...
DOSTO...! Bazm Saja''o K Bahaar Aayee Hy...
Khul Gaye Zakhm, Koi Phool Khilay Ya Na Khilay...!!!
·
0 Like ·
Jul 18, 2018 at 08:07
Category: sad
Poetry / Sad
Zahid Mahmood
Kah Rahi Hai Hashr Mein Wo Aankh Sharmai Hui.
Kah rahi hai hashr mein wo aankh sharmai hui
haye kaise is bhari mahafil mein ruswai hui
aaine mein har ada ko dekh kar kahate hain wo
aj dekha chahiye kis kis ke hai aayi hui
kah to ae gulchin asiran-e-qafas ke vaste
tod lun do char kaliyan main bhi murjhai hui
main to raz-e-dil chupaun par chipa rahane bhi de
jan ke dushman ye zalim aankh lalchai hui
gamza-o-naz-o-ada sab mein hai haya ka lagao
haye re bachpan ke shokhi bhi hai sharmai hui
vasl mein khali hui raqibon se mahafil to kya
sharm bhi jaye to janun ke tanhai hui
gard udi aashiq ke turbat se to jhunjhala ke kaha
vah sar chadhane lagi paoun ke thukarai hui.

Jul 18, 2018 at 01:07
Category: sad
Poetry / Sad
Abdul Karim Khan
Jhonka Idhar Na Aaye Nasim E Bahar Ka.
jhonka idhar na aaye nasim-e-bahar ka
nazuk bahut hai phul charag-e-mazar ka
phir baithe baithe vada-e-vasl us ne kar liya
phir uth khada hua wohi rog intazar ka
shakhon se barg-e-gul nahi jhadate hain bag mein
zevar utar raha hai urus-e-bahar ka
har gul se lalazar mein ye puchata hun main
tu hi pata batade dil-e-dagdar ka
is pyar se fishar diya gor-e-tang ne
yaad aa gaya maza mujhe aagosh-e-yar ka
hilati nahi hawa se chaman mein ye daliyan
muh chumate hain phul urus-e-bahar ka
uthta hai naza mein wo sarahane se ae ‘ameer’
mitata hai aasara dil-e-ummidvar ka.

Jul 17, 2018 at 19:07
Category: sad
Sponored Video