Poetry / Sad

Yeh Ada E Khud Farebi Toh Mizaaj Hai Humaara

Yeh ada-e-khud farebi toh mizaaj hai humaara
Na kareeb tha kinaara na kareeb hai kinaara

Na khatta hai doston ki na qasoor hai tumhaara
Mujhe raah-e-dosti mei meri saadgi ney maara

Gham-e-zindagi ko mai nay kia hai bakhushi gawara
Na kisi say iltija ki na kabhi tumhein pukaara

Mujhe tum nay yaad rakha yeh karam bhi kam nahi hai
Sar-e-rah mujh ko pucha yeh khuloos hai tumhaara

Na kabhi zaban khuli hai na kabhi zaban khulay gi
Jo shikast hai muqaddar toh shikast bhi gawaara

Kabhi hum bhi chahtay thay k milain humain saharay
Magar ab yeh darr rahay kahin koi dey na dey sahara....!

· 1 Like · Jul 29, 2017 at 11:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kitnay Wo Itmenaan Se Thukra Gaya Mujhay

kitnay wo itmenaan se thukra gaya mujhay
aansoo bana ke aankh se tapka gaya mujhay

kaise ye rehbari thi ye kaisa fareb tha
munzil dikha ke raah se bhatka gaya mujhay

khamosh nigahon se kahani suna gaya
lafzon ke hair phair mein atka gaya mujhay

mujhko bhi bachpanay ka ek mazaq samajh kar
chhoti si ek hansi mein hee ura gaya mujhay

do din mein us kay dil se muhabbat utar gayee
aur do hi din mein yaad se mitaa gaya mujhay...!

· 1 Like · Jul 29, 2017 at 04:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hum Bhi Daanista Teri Chaal Men Aa Jatey Hain

SaAz o awaaz khaad o khaal men aa jatey hain,
Saans leta hoon to sur tal men aa jatey hain

Jang aur ishq men Haaray huay logon ki tarha,
Hum ghanimat k kisi maal men aa jatay hain

Zindagi khawab or khawab kee Qeemat lenay,
Jin ko aana ho kisi haal men aa jatey hain

Tu bhi saada hai kabhi chaal bdalta he nahi,
Hum bhi daanista teri chaal men aa jatey hain

Sham dhalte he kisi gosha-e-veerani men,
Hum parindon ki tarha jaal men aa jatey hain...!

· 1 Like · Jul 28, 2017 at 15:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kab Tak Kisi Kay Sog Me

KAB TAK KISI KAY SOG ME ROYE Ge BAITH KAR
HUM KHUD KO KITNI BAR YE SAMJHA KAY RO PAREY
KHUSHIAN HAMARAY PAAS KAHAN MUSTAQIL RAHIN
BAHER KABHI HANSAY BHI TAU GHAR AA KAY RO PAREY
BAY AITBAAR WAQT PE JHUNGULA KAY RO PAREY
KHO KAR KABHI USSAY TAU KABHI PAA KAY RO PAREY....!

· 1 Like · Jul 28, 2017 at 09:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aey Taiz Hawa Koi Khabar Us Kay Junoon Ki

gumsum hua aawaz ka darya tha jo ik shakhs
pather bhi nahi ab wo sitara tha jo ik shakhs

shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha
chehron ko barey ghor say perhta tha jo ik shakhs

sehra ki tarah dair say piyasa tha woh shayed
baadal ki tarah toot k barsa tha jo ik shakhs

aey taiz hawa koi khabar us kay junoon ki!!
tanha safar-e-shoq peh nikla tha jo ik shakhs

ab aakhri satroon main kaheen naam hai us ka
ahbaab ki fehrist main pehla tha jo ik shakhs

haathon main chupaye huye phirta hai kai zakham
sheeshay kay khilonon say behalta tha jo ik shakhs

mur mur kay usay dekhna chahain meri aankhain
kuch door mujhay chornay aaya tha jo ik shakhs

ab us nay bhi apna liye dunya kay qareenay
saaye ki rafaqat say bhi darta tha jo ik shakhs

her zehan main kuch naqsh-e-wafa choar gaya hai
kehnay ko bharay shehar main tanha tha jo ik shakhs

munkir hai wohi ab meri pehchan ka mohsin
aksar mujhay khat khoon say likhta tha jo ik shakhs....!

· 1 Like · Jul 27, 2017 at 20:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yah Baazi Bhi Jug Jeet Gia

Wo Ratain Musam Sarma Ki
Wo Batain Musam Sarma Ki

Wo Teray Sath He Sab Kuch Tha
Wo Sarma Bhi Ab Beet Gia

Wo Darr Darr Kay Jab Miltay Thay
Wo Mil Mil Kay Jab Dartay Thay

Wo Milnay Ke Qasmain Kha Kha Kar
Ham Jeetay Thay Ham Martay Thay

Ab Yaad Dilaye Koon Tumhay
Yah Saal Bhi Akhir Beet Gia

Na Tum Aayay Na Khat Koee Likha
Pura Kia Na Wada Koee

Or Apna Bhi Koee Dosh Nahi
Yah Baazi Bhi Jug Jeet Gia

Wo Sard Hawaen Ab Bhi Hain
Rangeen Fizaen Ab Bhi Hain

Main Ab Bhi Udhar Ko Jata Hoon
Or Dil Apna Sulgata Hoon

Jab Tum Nahi Hotay Sath Meray
Hotay Hain Khale Hath Meray

Pur Shoor Sadaen Puchti Hein
Wo Sard Hawaen Puchti Hein

Wo Kaha Gia Sathi Tera
Kia Pher Yah Zamana Jeet Gia....!

· 1 Like · Jul 27, 2017 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Agar Usko Rula Main Doon

Agar usko rula main doon
Umr bhar k liye bhula main duun

Raahon main chhor k us ko
Hijar say us ko mila main duun

Usay mujrim bana kar ek din
Koi dard, ik saza main doon

Usay naey zakhm de kar
Us k dard ki na dwa main doon

Aisa karna to kabhi mumkin nahi
To acha hai usay ab ganwa main doon...!

· 1 Like · Jul 27, 2017 at 07:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kyu Hum Peh Uthayen Sang E Malamat Ki Faselain

Ghazlon mein tere ishq ka charcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay

Kyu hum peh uthayen sang-e-malamat ki faselain
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay

Yeh chand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Mansoob tere naam se kya kya na karen gay

Wiraan hoe qasar-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay

Har cheez ki bohtat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay...!

· 1 Like · Jul 27, 2017 at 01:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab Tujhy Dekhun To Mohabat Nahi Hoti Mujhko

Ab tujhy dekhun to mohabat nahi hoti mujhko
zakham khultay hain to aziyat nahi hoti mujh ko

itna badla hun tery sheher ka pani pi kar
jhoot bolun to nidamat nahi hoti mujh ko

ab koi aae chala jae main khush rehta hun
ab kisi shakhs ki adat nahi hoti mujh ko

itna masroof hun jeenay ki hawas main Shahid
tujhay yad karnay ki fursat ni hoti mujh ko....!

· 2 Like · Jul 26, 2017 at 16:07
Category: sad
 
Think About It
Posted by nimrah butt
Posted on : Aug 06, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS