Poetry / Sad

Koi Mousam Ho Dil Main Hai Tumhaari Yaad Ka Mousam

Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam
ke badla hee nahi jana, tumharay baad ka mousam

Nahi to aazma kay daikh lo kaisay badalta hai
tumharay muskuranay say dil-e-nashaad ka mousam

Ruton ka qaida hai waqt per yeh aati jati hain
hamaray shehar main kyun ruk gaya faryaad ka mousam

Kahin say us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
to us kay sath badlay ga dil-e-barbaad ka mousam

Qafas kay baam-o-dar main roshni si ati jati hai
chaman main aagaya shayad lab-e-azaad ka mousam

Na koi gham khizan ka hai, na khuahish hai bahaaron ki
hamary saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam...!!!

· 1 Like · Jul 26, 2017 at 10:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aankhon Mein Chaand Ashk Hamari Jo Aaye Hain

Aankhon mein chaand ashk hamari jo aaye hain
Duniya ne kaisay kaisay fasane banaye hain

Sahraon mein bhi phool khilatay rahe hain hum
Tum ne to gulsitan mein bhi kaante ugaye hain

Kooche se tere aaye to ahsas yeh hua
Hum apni zindgi to wahin chor aaye hain

Tum ho ke doston se bhi tark-e-taluq
Hum ne to dushmanon se bhi rishte nibhaye hain

Daulat nahin sukun humein chahiye saba
Hum shahr choar gaon ko phir laut aaye hain...!

· 1 Like · Jul 26, 2017 at 04:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Koofa E Shab Nay Jo Tabeer Ki Had Jaari Ki

koofa-e-shab nay jo tabeer ki had jaari ki,
mein nay jalty hoy khuabon ki azadaari ki,

wqt nay uskey muqaddar mein likhi tarike,
jinsay charhty hoy soraj ki tarafdaari ki,

dil dharaknay pay khush tha soo dharkta hi gaya,
lamha-e-deed ki aankhon nay nigah daari ki,

her taaq-e-chasm pay khuaboon key diye bujh say gay,
kuch aesi hawa chali sheher mein bedari ki,

sukh ka kirdar nibhany k liy umer tmam,
mein nay rooti hoi aankho'n say adakari ki,

· 1 Like · Jul 25, 2017 at 21:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shaam E Afsurda

Yun to her rang ka mausam,
Mera waqif hai magar,
Shaam-e-Afsurda
Mujhay...
Kuch alag he jaanti hai....!

· 1 Like · Jul 25, 2017 at 15:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suna Hai Woh Shehar Me Aaya Hai

Suna hai woh shehar me aaya hai
Suna hai woh sath wafa laaya hai
Suna hai woh phool sung apnay chund murjhaaye laaya hai
Suna hai woh askh bhari muskrahtain bhi laaya hai
Uss say kaho
Yahan koi kharidar nahi
Yahan koi beqarar nahi
Yahan koi sogwar nahi
Uss say kaho
Loat jaaye
Ke
Yeh shehar-e-khamosh hai
Yahan sub baasi khamosh hain
Yahan koi dard nahi koi chubhan nahi
Yahan bus meethi neend sotay hain
Teray chahnay waley
Ab nahi rotey hain....!

· 1 Like · Jul 25, 2017 at 09:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muhabat Bhi Teri Thi

Muhabat bhi teri thi
wo nafrat bhe teri thi
wo apnanay or thukranay ki ada bhi teri thi
main apni wafa ka insaf kis sy mangta
wo shehr bhe tera tha wo adalat bhe teri thi....!

· 1 Like · Jul 25, 2017 at 03:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Shairon Ki Tarah

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar
Hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban kar

Chand Nikla Hai Teri Aankh Kay Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Ban kar

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Ban kar

Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Shairon Ki Tarah
Mere Honton Pay Machalta Hai To Naghma Ban kar

Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Ruuh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Ban kar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aa Kay Kabhi Dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vaada Ban kar

Dhuup Men Kho Gaya Vo Haath Churra Kar Kahin
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Ban kar...!

· 1 Like · Jul 24, 2017 at 21:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yad E Khuda Ko Dil Se Bhulaya Na Kijiye

Yad e Khuda ko dil se bhulaya na kijiye
Har dar pe apne sar ko jhukaya na kijiye

Lut jayegi ghamon ki ye daulat bhi dosto
Siney k dagh sabko dikhaya na kijiye

Be pardagi tumhari khataa ki hai murtakib
Ilzam aashiqon pe lagaya na kijiye

Jo dusron k wastey wajhe malal ho
Aisi khushi kabhi bhi manaya na kijiye

Ghar aap k parhosi ka tareek hai to phir
Qandeel apne ghar mai sajaya na kijiye

Kutch bhi na hath aayega ruswai k siwa
Dukh dard apne dil ka dikhaya na kijiye

MAI JANTA HOON YE HAI WAFA KI MUNAFIQAT
YOON MUSKURA K MUJHKO MANAYA NA KIJIYE...!

· 1 Like · Jul 24, 2017 at 15:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Saja Saktay Thay Yadoon Kay Kai Chehray Kai Pekar

Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayan rakha hai
Hawa kay waastay hum nay Dar-e-imkaan rakha hai

Saja saktay thay yadoon kay kai chehray kai pekar
Magar kuch soch kar hum ne yeh ghar veeraan rakha hai

Humen shoq-e-azziyat hai wagarna es zamanay main
Teri yaden bhulanay ko bohat saamaan rakha hai

Teri jholi main laa dalen gay qarzay es muhabat kay
Kay hum shoreda sar hain, kab koi ehsaan rakha hai

Tumhen ye maanna hoga kay hum ne apnay lab see kar
sakoot-e-shab ki muthi main koi toofaan rakha hai

Jo ho yaaro behar surat charaghon ko jalana hai
Hawaen kitni barham hain, ye hum ne jaan rakha hai....!

· 2 Like · Jul 24, 2017 at 09:07
Category: sad
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS