Poetry / Love

Mohammad Asif

Kabhii Mujh Ko Saath Lekar

kabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak merii zindagii badal kar

huye jis pe meharabaaN tum koi Khushnasiib hogaa
merii hasaratein to nikaliin mere aaNsuuon mein Dhal ke

terii zulf-o-ruKh ke qurbaaN dil-e-zaar dhondta hai
vahii champai ujaale vahii suramai dhundalkey

koi phuul ban gayaa hai koi chaaNd koi taaraa
jo chiraaG bujh gaye hain terii anjuman mein jal ke

mere dosto Khudaaraa mere saath tum bhii DhuuNDo
vo yahiin kahiin chhupe hain mere Gam kaa ruKh badal ke

terii bejhijhak haNsii se na kisii kaa dil ho mailaa
ye nagar hai aainon kaa yahaaN saaNs le sambhal ke

· 1 Like · Nov 21, 2018 at 03:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Apanii Aag Ko Zindaa Rakhanaa Kitanaa Mushkil Hai

apanii aag ko zindaa rakhanaa kitanaa mushkil hai
patthar beech aainaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

kitanaa aasaaN hai tasviir banaanaa auron kii
Khud ko pas-e-aainaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

tumane mandir dekhe honge ye meraa aaNgan hai
ek diyaa bhii jaltaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

chullu mein ho dard kaa dariyaa dhyaan mein usake hont
yuuN bhii Khud ko pyaasaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

· 2 Like · Nov 20, 2018 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Guftagoo Ke Lamhon Mein

guftagoo ke lamhon mein
deikh hi nahi paatey
ham tumhare chehre ko
tum hamari ankhon ko
aaj aisa karte hain
chashm-o-lub ko parhte hain
baat chor dete hain...

jane kia lamha ho ga
jab yeh haath haathon se
gar kabhi juda ho ga
aaj aisa karte hain
zabt-e-jaan parkhte hain
haath chor dete hain...

kash koi samjha dey
log kis tarha dil ki
manzilein alag kar ke
saath chor dete hain
aaj aisa karte hain
be-sabab bikharte hain
zaat tor dete hain...

· 1 Like · Nov 20, 2018 at 13:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Jab Rishte Tootne Lagte Hain Teri Yaad Buhat Tarpati Hai

Jab rishte tootne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Tanha jab rootey lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Dukh ke sooraj ki dhoop taley tanha jab khudko paata hoon
Sab khuwab bikharne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Maazi ke ujhre gulshan ke auraaq palatne lagta hoon
Jab zakham sulagne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Mere sheher mein aksar ati hai chahat ki nasheeli thandi hawa
Jab log behekne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Sansaar ke hanthon jab bhi kabhi do pyar se hanste baste dil
Roo Roo kar bicharhne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Jab saste damon bikne lage ehsaas ke moti gali gali
Jazbaat sisakne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

· 3 Like · Nov 20, 2018 at 06:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Main Tera Ajj Hoon Kal Par Nah Dekh Taal Mujhe

Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
main tera roop hoon joban main hi sanbhaal mujhe

mere hi dum se hain teri yeh dharkanain zinda
main tera qalab hoon siney se mat nikaal mujhe

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

milain mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

tu dharkanoon ko choranay ke fun se waaqif hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 23:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Zindagi Ki Haqiqat Main Kia Jaanon Main Tu Awara Hon

zindagi ki haqiqat main kia jaanon main tu awara hon
naam ko chhor kaam ki baat kar par main tu nakara hon
zindagi ko chhor k moot ko jeney nikla main
zindagi ko jo ada na kar saka wo ik kafara hon
raat ki tarikeon main chamkta raha dosrey sitaron k saath
waqtey sehar main jo reh gia tanha wo ik sitara hon
choota saath har kissi ka par na choota saath samandar aur kinarey ka
chhor dyea saath jis ka samandar ney wo ik kinara hon
dunyea hey ik essi aag jo jalti hey tu bharkti jati hey
aur main, jaltey hee buj ghea aisa ik sharara hon
tera saath nibhaney ka wada keunkar karon bilal
main tu apna na ho saka tu keun kahon k tumhara hon

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Zehn K Khayalon Mein

Zehn k khayalon mein
Rooh k ujalon mein

Zindagi ki jheelon mein
Zaat ki faseelon mein

Ratjagon k daman mein
Khawahishon k aangan mein

Dil k khushk sehra mein
Chashm-e-tar k darya mein

Dard k jahan mein bhi
Ashq-e-be zuban mein bhi

Aur khuch nahin rehta
"Teri Yaad Rehti Hai"

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 11:11
Category: love
 
Poetry / Love

Naveed Shehzad

Wisaal O Hijr Me

wisaal-o-hijr me
ya khwab se mahroom aankhon me
kisi aehd-e-rifaqat me
ke tanhai ke jangal me
khyal-e-khal-o-khad ki roshani ke gahre baadal me
chamkti dhoop me ya phir
kisi be abr saye me
kahin baarish me bhige jism-o-jaan ke nasrparon me
kahin hoton pe shairon ki mahaktie aabsharon me
chiraghon se saji shaamon me
ya benoor raaton me
sahr ho runuma jaise kahin baaton hi baaton me
koi lipta hua ho jis tarah
sandal ki khushboo me
kahin pe titliyon ke rang tasweeren bana te hon
kahin pe jugnuon ki muthiyon me roshani khud ko chupati ho
kahin kaisa hi manzar ho
kahin kaisa hi mausam ho
tere saare hawaley ho
teri saari misalon ko
muhabbat yaad rakhti hai

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 04:11
Category: love
 
Poetry / Love

Naveed Shehzad

Sirf Do

mohabbat to janaa
hoti hai do kay dermian

aur phir jo koe bhi aata hai baad mein
woh teesra hay

so tumhein kesay sumjhaayein
ana to koi teesra hay
jo meray tumhaaray
dermiaan khara hay

aao toR dein is tikon ko
phir sey bun jaaien
sirf do

· 1 Like · Nov 18, 2018 at 21:11
Category: love
 
how it looks and how i draw
Posted by shaheen fatima
Posted on : Sep 03, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS