Poetry / Love

Mohammad Asif

Raaz Ki Baaten

raaz kii baaten likhin aur Khat khulaa rahne diyaa
jaane kyon rusavaiion kaa silasilaa rahne diyaa

umr bhar mere saath rah kar vo na samajhaa dil kii baat
do dilon ke daramiyan ik fasala rahne diyaa

apanii fitarat vo badal paayaa na isake bavajuud
Khatm kii ranjish magar gilaa rahne diyaa

main samajhta tha Khushii degii mujhe "Sabir" fareb
is liye main ne Gamon se raabataa rahne diyaa

· 2 Like · Nov 03, 2018 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Itanii Mudat Baad Miley Ho

itanii mudat baad miley ho
kin sochon mein gum rahate ho

tez hava ne mujh se pucha
ret peh kya likhate rahate ho

kaun sii baat hai tum mein aisii
itane achche kyon lagte ho

ham se na pucho hijr ke qisse
apanii kaho ab tum kaise ho

· 1 Like · Nov 03, 2018 at 11:11
Category: love
 
Poetry / Love

Tum Bin

Tere Jesa Mera Bhi Haal Tha

tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qarar tha
ye ho umr thee mere humnashen ke kisi ko mujh se bhi pyar tha

mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gam ka to bhi aseer hai isi gam ka mein bhi shikar tha

faqat ek dhun thee ke raat din isi khawab zaar mein gum rahen
wo surror aisa surror tha wo khumar aisa khumar tha

kabhi lamha bhar ki guftugo meri os ke sath na ho saki
mujhe fursaten na mil saken wo hawa ke rath pe sawar tha

hum ajeeb tarz ke log thay hamare aur hi rog thay
mein khizan mein tha os ka muntazir ose intezar bahar tha

ose parh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kaii roz ka kaii ratjagon ka odhaar tha

· 1 Like · Nov 03, 2018 at 04:11
Category: love
 
Poetry / Love

Saad Raza

Samay Samay

samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu barhey divaanagii bahaal rahe

hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe

· 2 Like · Nov 02, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Love

Saad Raza

Khuwab Ankhon Sey

Khuwab Aankhon Sey Ab Koi Chura Ker Ley Jaye
Qaber K Sookhey Huwey Phool Utha Ker Ley Jaye

Muntazir Phool Main Khushbu Ki Tarah Hun Kab Say
Koi Jhonkay Ki Tarah Aaye Ura Ker Ley Jaye

Yeh Bhi Pani Hey Mager Aankh Ka Aisa Pani
Jo Hatheli Sey Rachi Mehndi Chura Ker Ley Jaye

Main Muhabbat Sey Mahakta Hua Khat Hun Mujh Ko
Zindagi Apni Kitaabon Mein Chupa Ker Ley Jaye

Khaak Insaaf Hey Nabeena Butoon Key Aagey
Raat Thaali Mein Charaaghon Ko Sajaa Ker Ley Jaye

Un Say Kehna K Main Paidel Nahi Aaney Wala
Koi Baadal Mujhay Kaandhey Peh Bitha Ker Ley Jaye

· 2 Like · Nov 02, 2018 at 10:11
Category: love
 
Poetry / Love

Anmol Rubab

Bewaja Jb Tm Humse Larte The Na

Bewaja jb tm humse larte the na,

Bus wahin se hui thi ibtida muhabat ki

· 2 Like · Oct 30, 2018 at 15:10
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rasheed

Pyaar Tha, Mohabbat Thi, Ishq Tha, Ada Thi

pyaar tha, mohabbat thi, ishq tha, ada thi
ik wafa bhi hoti to qayama tha woh shakhs

· 4 Like · Oct 26, 2018 at 20:10
Category: love
 
Poetry / Love

Asiya Faheem

Kuch Is Ada Se Yaar Ne Poocha Mera Mizaaj

Kuch is ada se yaar ne poocha mera mizaaj
kehna pada ke shukar hai parwardigaar ka

· 4 Like · Oct 26, 2018 at 13:10
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Afzal

Sochna

koi aur kaam sonp do mujh ko
ye kya...
tujh ko socha aur sochte rehna

· 0 Like · Oct 26, 2018 at 06:10
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS