Poetry / Love

Ijunoon

Eik Nazm Se Iqtabaas

Shamm-e-mehfil ho k tu jab soz se khaali raha
Tere parwaane bhi is lazzat se begaane rahe

Rishta-e-ulfat mein jab in ko piro sakta tha tu
Phir pareshaaN kiyuN teri tasbeeh k daane rahe

Shauq-e-beparvaa gaya, fikr-e-falak paimaa gaya
Teri mehfil mein na diwaane na farzaane rahe

Wo jigar sozi nahi, wo shola aashaami nahi
Faaida phir kya jo gird-e-shamma parwaane rahe

Khair, tu saaqi sahi lekin pilaaye ga kisey
Ab na wo maikash rahe baaqi, na maikhaane rahe

Ro rahi hai aaj ik TooTi hui meena usey
Kal talak gardish mein jis saaqi k paimaane rahe

Aaj hain khaamosh wo dasht-e-junooN parvar, jahaaN
Raqs mein laila rahi, laila k diwaane rahe

Waaye nakaami, mataa-e-kaarvaaN jaata raha
KaarvaaN k dil se ehsaas-e-zyaaN jaata raha

· 1 Like · Dec 01, 2018 at 10:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Dil

Qissa-e-daar o rasan baazi-e-tiflaana-e-dil
Iltejaa-e-Arini surkhi-e-afsaana-e-dil

Ya Rab is saaghar-e-lab-reiz ki mai kya hogi
Jaada-e-mulk-e-baqa hai khat-e-paimaana-e-dil

Abr-e-rehmat tha k thi ishq ki bijli ya Rab
Jal gaee mizra-e-hasti to uga daana-e-dil

Husn ka gunj-e-garaan maaya tujhe mil jaata
Tu ne Farhaad! na khoda kabhi veeraana-e-dil

Arsh ka hai kabhi Ka'be ka hai dhoka is par
Kis ki manzil hai Ilaahi mera kaashaana-e-dil

Is ko apna hai junoo(n) aur mujhe sauda apna
Dil kisi aur ka diwaana main diwaana-e-dil

Tu samajhta nahi aai zaahid-e-nadaa(n) is ko
Rashk-e-sad-sajda hai ik laghzish-e-mastaana-e-dil

Khaak k dheir ko akseer bana deti hai
Wo asar rakhti hai khaakistar-e-parwaana-e-dil

Ishq k daam mein phans kar ye reha hota hai
Barq girti hai to ye nakhl hara hota hai

· 1 Like · Dec 01, 2018 at 03:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Mohabbat Ka Junoon Baaqii Nahin Hai

mohabbat ka junooN baaqii nahin hai
musalamaanon mein Khuun baaqii nahin hai


safen kaj, dil pareshan, sajdaa bezuuk
ke jazabaa-e-andruun baaqii nahin hai


ragon mein lahuu baaqii nahin hai
wo dil, wo aawaaz baaqii nahin hai


namaaz-o-rozaa-o-qurbaanii-o-haj
ye sab baaqii hai tuu baaqii nahin hai

· 1 Like · Nov 30, 2018 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Khird Ke Paas Khabar Ke Siwaa Kuchh Aur Nahin

Khird ke paas Khabar ke siwaa kuchh aur nahin
teraa ilaaj nazar ke siwaa kuchh aur nahin

har muqaam se aage muqaam hai teraa
hayaat zauq-e-safar ke siwaa kuchh aur nahin

rangon mein gardish-e-KhuuN hai agar to kyaa haasil
hayaat soz-e-jigar ke siwaa kuchh aur nahin

uruus-e-laalaa munaasib nahin hai mujhase hijaab
k main nasiim-e-sahar ke siwaa kuchh aur nahin

jise qasaad samajhtay hain taajran-e-firang
wo shay mataa-e-hunar ke siwaa kcuhh aur nahin

giraaN_bahaa hai to hifz-e-Khudii se hai warnaa
gauhar mein aab-e-gauhar ke siwaa kuchh aur nahin

· 2 Like · Nov 30, 2018 at 13:11
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Baaziichaa E Atfaal Hai Duniyaa Mere Aage

baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage

ik khel hai aurang-e-sulemaaN mere nazadiik
ik baat hai ejaaz-e-masiihaa mere aage

juz naam nahin suurat-e-aalam mujhe manzuur
juz vaham nahin hastii-e-ashiyaan mere aage

hotaa hai nihaan gard mein seharaa mere hote
ghisataa hai jabeen Khaak pe dariyaa mere aage



· 1 Like · Nov 30, 2018 at 06:11
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Arz E Niyaaz E Ishq Ke Qaabil Naheen Raha

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shammaa_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

marne ki ae dil aur hee tadabeer kar k maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa

bararoo-e-shash jihat dur-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil nahe rahaa

· 2 Like · Nov 29, 2018 at 23:11
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Na Tha Kuch To Khuda Tha

na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?

huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota

huee muddat ke ghalib mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?


· 1 Like · Nov 29, 2018 at 16:11
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Zulmat Kade Mein Mere

zulmat kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shammaa hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

nai muzda-e-wisaal na nazarah-e-jamaal
muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai

mai ne kiya hai, husn-e-KHud aara ko behijaab
hai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai

· 1 Like · Nov 29, 2018 at 09:11
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Ye Na Thee Hamaree Qismat

1. Ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
it was not in my fate to meet my lover

agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
had I lived longer, this would still be my only desire

2. Tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
to live on your promise is to make my life a lie

ke khushee se mar na jaate agar eitabaar hota
would I not have died of happiness if i trusted it

· 1 Like · Nov 29, 2018 at 02:11
Category: love
 
Peer k Din 6 Khususiyatain
Posted by waseem awan malik
Posted on : Nov 18, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS