Love
Poetry / Love
Ishq Sehra Hai K Darya Kabhi Soche Wo Bhi
Ishq sehra hai k darya KABHI SOCHE WO BHI
us se kia hai mera naata KABHI SOCHE WO BHI
han main TANHA hun ye iqrar bhi kar lete hun
khud bhi kitna hai wo tanha KABHI SOCHE WO BHI
ye alag baat jataya nahi main ne usko
warna kitna usay chaha KABHI SOCHE WO BHI
usay awaz likha..chand likha…phool likha
main ne kia kia usay likha KABHI SOCHE WO BHI
mutmain hun usey lafzon ki hararat de kar
main ne kitna usay socha KABHI SOCHE WO BHI...!

·
1 Like ·
Sep 25, 2017 at 06:09
Category: love
Poetry / Love
Khuwaab Me Aa Ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut
Khuwaab Me Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,
Choar Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,
Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranj o Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansati Thi Bahut,
Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,
Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,
Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut...!

Sep 24, 2017 at 04:09
Category: love
Poetry / Love
Badnam Zamane Main Mohabbat Nahen Karte
Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,
Ek Baar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf dikhaway Ki Mohabbat Nahen Karte,
Likhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte..

Sep 23, 2017 at 10:09
Category: love
Poetry / Love
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nae Aas Laganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Dojay Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Raahain Hon
Jahan Ik Doojay ki Bahain Hon
Jahan Lab Pe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Panahein Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam...
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nae Aas Laganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Dojay Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Raahain Hon
Jahan Ik Doojay ki Bahain Hon
Jahan Lab Pe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Panahein Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam...
·
1 Like ·
Sep 23, 2017 at 04:09
Category: love
Poetry / Love
Tum Or Main
Barish,baadal,
Tum or Main.
Khushbu, mosam,
Tum or Main
Kaley baadal, rim jhim barish,
Neela anchal
Tum or Main
Behti nadiyan, girta pani,
Aankhein, aansu
Tum or Main
Pass kisi dariya k koi
Bheega jhonpari
Tum or Main
Door kahin koyal ki ko ko,
Ghana jangal
Tum or Main
Barkha rim jhim geet sunaein,
Jhurmat dalein,
Tum or Main
Door kahin per chota sa ik,
Kacha sa ghar
Tum or Main
Kandha tera or sar mera,
Pagal si chup
TUM OR MAIN...!
Tum or Main.
Khushbu, mosam,
Tum or Main
Kaley baadal, rim jhim barish,
Neela anchal
Tum or Main
Behti nadiyan, girta pani,
Aankhein, aansu
Tum or Main
Pass kisi dariya k koi
Bheega jhonpari
Tum or Main
Door kahin koyal ki ko ko,
Ghana jangal
Tum or Main
Barkha rim jhim geet sunaein,
Jhurmat dalein,
Tum or Main
Door kahin per chota sa ik,
Kacha sa ghar
Tum or Main
Kandha tera or sar mera,
Pagal si chup
TUM OR MAIN...!
·
1 Like ·
Sep 19, 2017 at 18:09
Category: love
Poetry / Love
Tum Mousam Mousam Lagty Ho
tum mousam mousam lagty ho
jo pal pal rang badalty ho
tum sawan sawan lagty ho
jo sadyon baad barastay ho
tum pal pal mujh say lartay ho
par phir bhi achy lagty ho
bat tu hai sharmeeli c par
kehny ko dil chahata hai
lo aaj tumhy ye keh dala
k tum apny apny lagty ho...!
jo pal pal rang badalty ho
tum sawan sawan lagty ho
jo sadyon baad barastay ho
tum pal pal mujh say lartay ho
par phir bhi achy lagty ho
bat tu hai sharmeeli c par
kehny ko dil chahata hai
lo aaj tumhy ye keh dala
k tum apny apny lagty ho...!
·
1 Like ·
Sep 18, 2017 at 11:09
Category: love
Poetry / Love
Lo Charagon Ki Kal Shab Izafi Rahi
Lo Charagon Ki Kal Shab izafi Rahi
Roshni Tere Chehre Ki Kaafi Rahi,
Apne Anjaam Tak Aagai ZIndgi
Yeh Kahaani Magar ikhtalafi Rahi,
Hai Zamaana Khafa Hai To Baja K Main
Us Ki Marzi Kay Bilkul Manafi Rahi,
Ayse Mohtaat, Ayse Kam Aamez Se
EK Nazar Bhi Tawaja Ki Kaafi Rahi,
Subah Kya Faisla Hakim-e-Nau Kare
Jashan Ki Raat Tak To Muafi Rahi...!
Roshni Tere Chehre Ki Kaafi Rahi,
Apne Anjaam Tak Aagai ZIndgi
Yeh Kahaani Magar ikhtalafi Rahi,
Hai Zamaana Khafa Hai To Baja K Main
Us Ki Marzi Kay Bilkul Manafi Rahi,
Ayse Mohtaat, Ayse Kam Aamez Se
EK Nazar Bhi Tawaja Ki Kaafi Rahi,
Subah Kya Faisla Hakim-e-Nau Kare
Jashan Ki Raat Tak To Muafi Rahi...!
·
1 Like ·
Sep 18, 2017 at 05:09
Category: love
Poetry / Love
Main Aiyna Tha, Woh Mera Khayal Rakhti Thi
Main aiyna tha, woh mera khayal rakhti thi,
Main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi..
Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,
Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..
Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..
Woh mere dard ko chunti thi apni pooron say,
Woh mere wastay khud ko nidhal rakhti thi..
Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,
Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..
Duain us ki balaoon ko rook laiti thin,
Woh mere chaar so hathon ki dhaal rakhti thi.
Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,
Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..
Usay nadamatain mairi kahan gawara thin
Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi
.
Bichar kay uss say main dunya ki thokaron mein hon Mohsin,
Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi...!

Sep 17, 2017 at 23:09
Category: love
Poetry / Love
Khushbu Ban Kar Urh Jata Hay
Khushbu Ban KaR UrH Jata Hay, RasHk-E-Sabba Ho Jata Hay
Jiss Ko ZarRa Sa Pyaar Say Daikho WoHi Khuda Ho Jata Hay
IshQ Mein Wo Lamha Bhi Kabhi Aata Hay Key DasHt-e-Hijraan Main
Chaltay Chaltay Insaan Aakhir, Khud Say Juda Ho Jata Hay
Aawazain Khud Jaag UthTi Hain Chup Ke BhayaNak Jangal Main
Aur Achanak Khuwaab Nagar Hum Rang-E-SadDa Ho Jata Hay
Eak ZaRra Si Baat Huwi Or Tark-E-TaAlluq Kar Baithay
Kyu Kartay Hain Loag Aisa? LogoN Ko Kiya Ho Jata Hay
Roaz Kise Basti Main Kahin Kuch KhuwaaB Mehal Gir Jatay Hain
Roaz Kissi Aangan Main Kahin MeHshar sa Barpa Ho Jata Hay...!

Sep 17, 2017 at 16:09
Category: love
Sponored Video