Love
Poetry / Love
Abhi Es Traf Na Nigah Kr
Abhi es traf na Nigah kr,
Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,,
Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utaar lun ,,
Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,
Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,,
Agar Aasman ki Numaish me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,
To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,,
Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,,
Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lun...!
Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,,
Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utaar lun ,,
Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,
Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,,
Agar Aasman ki Numaish me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,
To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,,
Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,,
Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lun...!
·
1 Like ·
Oct 17, 2017 at 06:10
Category: love
Poetry / Love
Na Sawal Ban Kay Mila Karoo
Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo
Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo
Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mar gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo...!
Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo
Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mar gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo...!
·
1 Like ·
Oct 17, 2017 at 00:10
Category: love
Poetry / Love
Main Uske Chehre Ko Dil Se Utaar Deti Hoon
Main uske chehre ko dil se utaar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi maar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh bhi doon,
Main chahat bhi to us ko beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soajhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon...!

Oct 16, 2017 at 15:10
Category: love
Poetry / Love
Koi Zanjeer Ho Us Ka Mohabat Torr Sakti He
koii zaNjeer ho,
aahan kii, chaandi ki, rivaayat kii,
muhabbat toRR sakti hai!
yeh aisii Dhaal hai jis par
zamanay ki kisi talwaar kaa loha nahi chalta!
yeh aisaa shehar hai jis meN
kisi ameer, kisi sultan ka sika nahi chalta!
agar chashm-e-tamasha me zara si bhi milavat ho
yeh aaina nahi chaltaa!
yeh aise aag hai jis me
badan sholoN me jaltey hain, to roohain muskurati hain
yeh voh sailaab hai jis ko
diloN kii bastiyaN awaz dey kar Khud bulati hain
yeh jab chaahey kisi bhi Khowab ko tabir mil jay
jo manzar bhuj chukey haiN, un ko bhii tasveer mil jaaye
dua, jo beThikana thi, usay taseer mil jay
kisii rastey meN rastaa pochti taqdeer mil jaaye
muhabbat rok sakti hai samay k tez dhaaray ko!
kisii jaltey shararay ko, fanaa k istaaray ko!
muhabbat rok sakti hai kisi girtey sitarey ko!
ye chakna choor aainey k raizay joRR sakti hai
jidhar chahay yeh lagam mousam ki morr sakti hai!
koii zanjeer ho, us ko muhabbat toRR sakti hai...!

Oct 14, 2017 at 09:10
Category: love
Poetry / Love
Mujhe Aksr Ye Kehti Thi
Mujhe aksr ye kehti thi.
K itni baar kehte ho.
Mujhe tum se mohabbat hay.
K ab dil par.
Ye sunnay se.
Asar koi nhi hota.
Magr.
Jab aaj danista.
Nhi bola usay mene.
Mujhe tum se mohabbat hay.
To us ki aankh bhar ayi...!
K itni baar kehte ho.
Mujhe tum se mohabbat hay.
K ab dil par.
Ye sunnay se.
Asar koi nhi hota.
Magr.
Jab aaj danista.
Nhi bola usay mene.
Mujhe tum se mohabbat hay.
To us ki aankh bhar ayi...!
·
1 Like ·
Oct 12, 2017 at 17:10
Category: love
Poetry / Love
Baat Din Ki Nhi Ab Raat Se Darr Lagta Ha
Baat din ki nhi ab raat se darr lagta hai,
Ghar hai kacha mera,
Barsaat se darr lagta hai,
Taire tohfey ne to bas khoon k aansu hi diye,
Zindagi ab teri soghaat se darr lagta hai,
Pyar ko choar kar tum aur koi baat karo,
Ab mujhe pyar ki har baat se darr lagta hai,
Meri khatir na wo badnaam kahin ho jayen,
es liye un ki mulaqaat se darr lagta hai!
Ab usey bhuloon to kaise bhuloon,
Jis k baghair jeene ke khyalaat se darr lagta hai....!

Oct 11, 2017 at 17:10
Category: love
Poetry / Love
Musafaton Main Kabhi Yuon Bhi Moatbar Thehro
Musafaton Main Kabhi Yuon Bhi Moatbar Thehro
Ke Do Qadam He Sahi Us Ka Humsafar Thehro
Tumhi Batao Bhala Kis Tarhan Ye Mumkin Hay
Wo Mere Shehar Main Aye Or Main Be-Khabar Thehro
Teri Talaash Main Ab Kuch es Tarhan Niklon
Ke Dasht Dasht Phiron Or Darbadar Thehro
Najane Kab Wo Dar-e-Jaan Pe Aakar Dastak De
Isi Umeed Pe Har Waqt Apne Ghar Thehro...!

Oct 11, 2017 at 11:10
Category: love
Poetry / Love
Jis Tarah Paas Hi Sheh E Rag Ke Khuda Rehta Hai
Meri Raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain
Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain
Meri Aankhon mai Tera Sapna saja rehta hai
Haan Mere Dil me Tera hi Aks basa rehta hai
es tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai
Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge
Mai ne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi
Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi...!

Oct 10, 2017 at 16:10
Category: love
Poetry / Love
Ik Pal Ka Saath Dedo
ik pal ka saath dedo
wo chahtein wo mohabbatien
meare naam kardo
mujhse meari
saari khushyan
saare ehsasat
saari mohabbatein
saari chahtein lelo
bas!
apna saath ik pal ke liye dedo
meare labon ki muskorahatein
meari saari piyari baatein
meari dharkany
un mein jagta ehsas
saarey khowab lelo
bas!
mujhe apne bohat se palon mein se
ik pal dedo
meara chand
wo sitaaron bhara asmaan
subha ki pehli kiran
barish ke bad ki dhoop
sahil ki wo geeli reat
barish ki rim-jhim
sab lelo
aur tumse kiya kahon
jan!
mujhse meari zindagi lelo
bas
mujhe ik pal ka saath dedo...!
wo chahtein wo mohabbatien
meare naam kardo
mujhse meari
saari khushyan
saare ehsasat
saari mohabbatein
saari chahtein lelo
bas!
apna saath ik pal ke liye dedo
meare labon ki muskorahatein
meari saari piyari baatein
meari dharkany
un mein jagta ehsas
saarey khowab lelo
bas!
mujhe apne bohat se palon mein se
ik pal dedo
meara chand
wo sitaaron bhara asmaan
subha ki pehli kiran
barish ke bad ki dhoop
sahil ki wo geeli reat
barish ki rim-jhim
sab lelo
aur tumse kiya kahon
jan!
mujhse meari zindagi lelo
bas
mujhe ik pal ka saath dedo...!
·
2 Like ·
Oct 10, 2017 at 09:10
Category: love
Sponored Video