Poetry / Love

Mere Hum Safar Mere Hum Nasheen

Mere hum safar mere hum nasheen
Me ne Rab se manga to kuch nahi
Me ne jab bhi mangi koi duaa
Nahi manga kuch bhi Tere Siwa
Ye talab kia ke mere Khuda!
Sabhi rahatain
Sabhi chahtein
Wo attaa kare tujhe manzilen
Ye talab kia k mere Khuda!
Tujhe bakht de
Tujhe taaj de
Tujhe takht de
Mere hum safar
Mere chara gar
Ye hai dosti ka kathin safar
Mere sath chalna zara soch kar
Zara dekh to mera hosla
Mere paas jo bhi wo hai tera
Nahi Or Kuch Bhi taire Siwa
Meri dosti
Meri zindagi
Meri khamoshi
Meri be basi
Mera ilm bhi
Mera naam bhi
K meri subah
Meri shaam bhi
Ke jo mil sakein mere daam bhi
Wo sabhi kuch tujhe attaa kare
Mere chara gar tu yakin to kar
Mujhe mangna to na aa saka
Me ne phir bhi mangi yehi dua
Ke gawahi de ga mera Khuda
Me ne jab bhi us se talab kia
Nahi manga kuch bhi Tere Siwa...!

· 1 Like · Sep 16, 2017 at 02:09
Category: love
 
Poetry / Love

Es Baar Kuch Aisa Mein Chahta Hoon

Es baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon...!

· 1 Like · Sep 15, 2017 at 18:09
Category: love
 
Poetry / Love

Mere Ishq Ko Na Nidhal Ker

Mere ishq ko na nidhal ker,
Kabhi Be hijab wasal ker,
Meri ankh ko benai de,
Mere qalab ko ujaal ker,
Mujhe dars de fana ka,
Mere ishq me bura haal ker,
Mujhe de saza koi sakhat si,
Mujhe es jahan me misal ker,
Meri asal sorat bigar de,
Kisi ishq bhatti me dal ker,
Mujhe bhi pila koi aesi shay…,
Kabhi meri ankhein bhi laal ker,
Wo jo es jahan me halal he,
Kabhi us jahan me halal ker,
Teri talab me hun Dar badr,
Kabhi es samat bhi khiyal ker....!

· 2 Like · Sep 15, 2017 at 12:09
Category: love
 
Poetry / Love

Barish Ki Ye Pehli Bondain

Barish ki ye pehli bondain
Kesa jadu kartee hain
Dil say khoon k qatray lay kar
Meri ankhain bhartee hain
Barish k es deebachay say
Kitnay manzar khultay hain
Khwab sa Alum, Lehja Madham,
Aankhain Nam Nam, Bheega Mausam,
Pehli barish,pehli khuwahish,
Pehla jazba, pehla waada,
Pehli khushbu, pehla aansoo,
Chup chup rehna
Soch main parna
Jo bhee kehna tashna kehna
Toota fiqra, aadha jumlaa,
Jalti sansain, thandi aahain,
Bojhal palkain, saahir aankhain
Dhani Jora, sabz dupatta,
Lambay gaisoo, qatil khushboo
Ik pehar main
Ik jag beeta
Main nay tera bazoo thaama
Wasal ki es pehlee barish main
Kiya kuch khoya, kiya kuch paya
Barish ki ye pehli bondain
Kesa jadu karte hain
Dil say khoon k qatray lay kar
meri ankhain bhartee hain
Barish k es deebachay say
Kitnay manzar khultay hain...!!!!!

· 1 Like · Sep 14, 2017 at 11:09
Category: love
 
Poetry / Love

Mera Sochna Teri Zaat Tak

Mera sochna teri zaat tak
Meri guftagu teri bat Tak

Na tum millo jo kabhi mujhe
Mera dhoondna tujhe paar tak

Main ne apna sab kuch ganwa dia
Teri nafraton say pyar tak

Kabhi fursat jo mile to aa
Meri zindagi kay hisaar tak

Main ne jana kay main kuch nahi
Teray Pehel Say Teray Baad Tak...!

· 1 Like · Sep 13, 2017 at 14:09
Category: love
 
Poetry / Love

Chaman Mein Jab Bhi Saba Ko Gulaab Pochte Hain

chaman mein jab bhi saba ko gulaab pochte hain
Tumhari ankh ka ehwaal,khwab pochte hain

Kahan kahan hoye roshan humare baad charagh
Sitaray deeda e tar se hisaab pochte hain

Woh tishna lab bhi ajub hain ju moj e sehra se
suraag e habs mizaaj e saraab pochte hain

Kahan basi hain woh yaadain,ujaarna hay jinhain?
Dilon ki baanjh zameen se azaab pochte hain

Baras pare teri ankhain tou yeh bhaid khula
Sawal khud se bhi apna jawab pochte hain

Hawa ki humsafari se ab aur kya hasil
Bus apne shaher ko khaana kharab pochte hain

Ju be nayaz hain khud apne husn se Mohsin
Kahan woh mujh se mera intikhab pochte hain...!

· 1 Like · Sep 13, 2017 at 01:09
Category: love
 
Poetry / Love

Mere Hum Safar Mere Hum Nasheen

Mere hum safar mere hum nasheen
Me ne Rab se manga to kuch nahi
Me ne jab bhi mangi koi duaa
Nahi manga kuch bhi Tere Siwa
Ye talab kia ke mere Khuda!
Sabhi rahatain
Sabhi chahtein
Wo attaa kare tujhe manzilen
Ye talab kia k mere Khuda!
Tujhe bakht de
Tujhe taaj de
Tujhe takht de
Mere hum safar
Mere chara gar
Ye hai dosti ka kathin safar
Mere sath chalna zara soch kar
Zara dekh to mera hosla
Mere paas jo bhi wo hai tera
Nahi Or Kuch Bhi taire Siwa
Meri dosti
Meri zindagi
Meri khamoshi
Meri be basi
Mera ilm bhi
Mera naam bhi
K meri subah
Meri shaam bhi
Ke jo mil sakein mere daam bhi
Wo sabhi kuch tujhe attaa kare
Mere chara gar tu yakin to kar
Mujhe mangna to na aa saka
Me ne phir bhi mangi yehi dua
Ke gawahi de ga mera Khuda
Me ne jab bhi us se talab kia
Nahi manga kuch bhi Tere Siwa...!

· 1 Like · Sep 12, 2017 at 12:09
Category: love
 
Poetry / Love

Ik Din Shararatan Us K Kamre Me Ja Kar

Ik din shararatan us k kamre me ja kar.

Diwar pe likhe kuch huroof parhna chahe.

Ja baja hath se bani tasveeron ko samjhna chaha.

Kahin sukhay gulab ki patiya thin.

Kahin takiya ansuon se nam tha.

Phir kitabon se, aisi kitab mere hath lagi.

Jis k safha-e-awal pe mera naam tha.

Kuch lafz likhay the, mera hath laraz utha.

Chehra pasine se tar tha.

Meri sada mere kanon min gonjne lagi.

Mujhe khabar bhi nhi.

K wo khamosh sa shakhs.

Mujhe es qadar chahta tha....!

· 1 Like · Sep 09, 2017 at 07:09
Category: love
 
Poetry / Love

Chalo Mohabbat Ki Nayi Bunyaad Rakhte Hain

chalo mohabbat ki nayi bunyaad rakhte hain
Khud paaband rehty hain usay aazad rakhte hain

Hamarey khoon me rab ne yehi taseer rakhi hai
Buraai bhool jatay hain achai yaad rakhte hain,

Mohabbt me kahin hum se gustakhi na ho jay
Hum apna har qadam us ke qadam ke baad rkhte hain...!

· 2 Like · Sep 08, 2017 at 11:09
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS