Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bhale Dino Ki Baat Hai

Bhale dino ki baat hai….
Bhali si ek shakal thi…
Na yeh Husn-E-Taam ho…
Na dekhne main aam ho….Na yeh ke woh chale to kehkashan si guzar lage….
Magar woh saath ho to phir bhala bhala safarlage….Koi bhi rut ho us ki chhab….
Fiza ka Rang-O-Roop thi…
Woh garmiyon ki chhaon thi….
Woh sardiyon ki dhoop thi…..Na muddaton juda rahe…
Na saath Subh-o-Shaam ho….
Na Rishta-E-Wafa pe zid….
Na yeh ke Izn-E-Aam ho….Na aisi khush libasiyan…
Na sadgi gila kare…
Na itni be takallufi…
Ki aaina haya kare….Na ikhtilaat main woh ram…
Ki bad maza ho khwahishein…
Na is qadar supurdgi…..
Ki zach karein nawazishen….NA aashiqui junoon ki….
Ki zindagi azaab ho….
Na is qadar kathor pan….
Ki dosti kharab ho…..Kabhi to baat bhi khafi….
KAbhi sukoot bhi sukhan….
Kabhi to Kasht-E-Zafraan…..
Kabhi to udasiyon ka ban…..Suna hai ek umar hai…
Muamilaat-E-Dil ki bhi…
Visaal-E-Jaanfiza to kya….
Firaaq-E-jaangusal ki bhi….

So ek roz kya hua….
Wafa pe behes chidh gayi….
MAin ishq ko amar kahoon…
Woh meri zid se chid gayi….Main ishq ka aseer tha…
Woh ishq ko qafas kahe…..
Ke umar bhar ka saath ho….
Woh Bad-Taraz-Hawas kahe…Shajar hijr nahi ki hum….
Hamesha pa ba gul rahe….
Na door hain ke rasiyan…
Galay main mustaqil rahein….Muhabbaton ki vusatain….
Hamare Dast-O-Pa main hain….
Bas ek dar se nisbatein…
Sagaan-E-Bawafa main hai….Main koi Painting Nahi
Ki ek frame main rahoon…
Wahi jo mann ka meet ho
Ussi ke prem main rahoon…Tumhari soch jo bhi ho….
Main is mizaaj ki nahi….
Mujhe wafa se bair hai….
Yeh baat aaj ki nahi…NA uska mujh pe maan tha….
Na mujhko us pe zaam hi…..
Jo ahad hi koi na huyi….
Toh kya Gham-E-Shikastgi….So apna apna rasta….
Hansi Khushi Badal Dia
Woh apni raah chal padi…
Main apni raah chal diya…BHali si ek shakal thi…
Bhali si uski dosti….
Ab us ki yaad raat din…
Nahi, magar “Kabhi-Kabhi”

· 1 Like · Feb 20, 2018 at 14:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Batain Teri Ilhaanm Hain

Baten teri alham hen, jadu teri awaz.
Rag rag min utarti hoi, khushbu teri awaz.

Behte chale jate hen tah-e-aab sitare.
Jese kahin utri ho lab-e-joo teri awaz.

Min sham-e-ghariban ki udasi ka musafir.
Sehraon min jese koi jugnu teri awaz.

Lafzon min chupaye hoe be-rabt dilase.
Chunti rahi shab bhar mere ansu teri awaz.

Ye hijar ki shab bheeg chali he k mere bad.
Roti he kahin khol k gesu teri awaz.

MOHSIN k khyalon min utarti he sar-e-sham.
Rim jhim ki trah bandh k ghunghru teri awaz.

· 1 Like · Feb 19, 2018 at 17:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Phir Mohabat Hai

Mohabbat phir mohabat hai
Kabhi dil se nhi jaati,

Hazaron rang hain is k,
Ajab hi dhang hain is k,

Kabhi sehra, kabhi darya,
Kabhi jugnu, kabhi aansu,

Hazaron roop rakhti hai,
Badan jhulsa k jo rakh day,

Kabhi wo dhoop rakhti hai,
Kabhi ban ker ye ek jugnu,

Shab-e-gham k andheron mein,
Dilon ko aas deti hai,

Kabih manzil kinaarey per,
Piyasa maar deti hai,

Azziyat hi azziyat hai,
Magar ye bhi haqiqat hai,

Mohabat phir mohabat hai,
Kabhi dil se nhi jaati

· 1 Like · Feb 18, 2018 at 23:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mujhay Tum Yaad Aati Ho

Koii Naram Lehjay Main Jab Bhi Bulata Hay

Koii Meethay Suroon Main Jab Bhi Gungunata Hay

Koii Haseen DilKash Chehra Jab Bhi Nazar Aata Hay

Koii Chehra Mujhay Dekh Kar Sharmata Hay

Koii Dabay Honton Jab Bhi Muskurata Hay

Koii Jab Bhi Mujhay Koii Haseen Sher Sunata Hay

Koii Nagma Wafa Ka Jab Bhi Kahin Gaata Hay

Koii Jab Apni Qurbat Main Pyaar Say Bithaata Hay

Koii Jab Apna Seemeen Haath, Hathon Main Thamaata Hay

Koii Jab Apni Khushboo Say Saansoo Ko Mehkata Hay

Koii Romanvi Manzar Jaha Bhi Nazar Aata Ho

Mujhay Tum Yaad Aati Ho

· 2 Like · Feb 15, 2018 at 19:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Main Aksr Usy Kehta Hon

Main aksr Usy kehta hon

Tum shor boht Machati ho

Phr wo mjhse kehti hy

Jb kalai meri tum pakro gy

Churi to meri khankay gi

Churi ka shor to hota hy

Jb pyar sy mujhe bulao gy

Tb Doorr k me aungi

Phr Payal meri khankay gi

Payal ka shor to hota hy

Jb bindya meri Chamky gi

Ankh me tmhari Damkay gi

Jazby shor Machayen gy

Jazbo ka shor to hota hy

Zulf meri suljhatay hue

Jb Gagray ko Bikhrao gi

Tb Sansen meri Mehken gi

Sanson ka shor to hota hy

· 1 Like · Feb 14, 2018 at 18:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Us Ko Daikha Tha

haseen lagta tha hum ne jin dino mein usko dekha tha
basanti mosamon , bheegi ruton mein usko dekha tha

usi k aks ne ankhain khumaar-e-khuvaab se bhar deen
chamaktey chaand jesey aaiino mein usko dekha tha

jisey ab rait k kachey gharondon se mohabbat hai
sumander k sunehrey paniyun mein usko dekha tha

jo tanhayee ki chadar orh kar sota hai rasston mein
kabi is shehar ki sab mehfilon mein usko dekha tha

bagolon ko pehan kar ab jo sehra mein bhatakta hai
gulab-o-yasmeen k junglon mein usko dekha tha

jo apney qarya-e-dil ki udasi se behalta hai
ghataon mein ghiri gum bastiyun mein usko dekha tha

zaroorat hai jisey ab dhoop ka ujla kafan Mohsin
badan par baraf orhey parbaton mein usko dekha tha

· 1 Like · Feb 14, 2018 at 00:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Zindagi Yun Thi K Jeenay Ka Bahana Tu Tha

zindagi yun thi k jeeney ka bahana tu tha
hum faqt zaib-e-hikayat the, fasana tu tha

hum ney jis jis ko bhi chaaha terey hijraan men, woh log
aatey jaatey huye mausam the, zamana tu tha

ab kay kuch dil hi na maana k palat kar aatey
warna hum dar badaron ka to thikana tu tha

yaar aghyaar kay haathon men kamaanen thi Faraz
aur sab dekh rahey the k nishana tu tha

· 2 Like · Feb 13, 2018 at 11:02
Category: love
 
Poetry / Love

Shaheen Fatima

Udas Lamhon Ki Wo Aziat

Udas Lamhon Ki Wo Aziat
Main Bhool Paon Ye Kesay Mumkin

Main Apni Aankhon Ke Rutjagon Ke
Azaab Bholon Ye Kesay Mumkin?

Falk Ke Taroo Zameen Ke Yaro
Tumhare Chehre Ki Muskraht

Main Bhool Paon
Ye Kesay Mumkin.?

Wo Betay Lamhon Ke Tore Waday
Main Bhool Paon Ye Kesay Mumkin.?

Wo Bachpane Ki Thi Aarzoyen
Main Bhool Paon
Ye Kesay Mumkin.?

Wo Din Dihare Sark Pe Rona
Main Bhool Paon
Ye Kesay Mumkin.

· 1 Like · Feb 10, 2018 at 19:02
Category: love
 
Poetry / Love

Sakeena Hussain

Qehar Mout Hai Qaza Hai Ishq

· 1 Like · Feb 10, 2018 at 13:02
Category: love
 
High Heels
Posted by Urooj Zahed
Posted on : Oct 02, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS