Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Tumhay Zidd Hai K Main Keh Doon

Tumhay zidd hai k main keh doon
Mujhay zidd hai k tum keh dou
Mujhay tum say mohabbat hai
Kaho mujh say mohabbat hai
Nahin yeh jantay dono
Mohabbat kab bhala mohtaaj hai lafzo ki
Mohabbat tou hamari dharkano ki saaz main shamil
Sureeley geet ki manind
Mohabbat yaad ki devi
Jo tanha raat ko aksar utar aati hai aankho main
Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk say honto main
Mohabbat sandali haathon ki nazuk larzish main hai
Mohabbat soch ki gehraiyon say phootti khushboo
Hamesha saath rehti hai
Mohabbat aankh main palta woh pur-israr jazba hai
jisey ab tak nahin koi samajh paya
Na iss ki koi surat hai
Na iss ka koi paymana
Dhakay alfaaz main iss ka bohat izhar hota hai
Kuch aisay he k jaisay aab
Taha-e-dil say tou hum dono bohat iqrar kartey hain
Magar phir bhi na janay kiyon
Tumhayn zidd hai k main keh doon
Mujhey zidd hai k tum keh dou.

· 3 Like · Mar 07, 2018 at 19:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tumhare Aks Ko Aankhon Me Ham Tasveer Kar Letey

Tumhare aks ko aankhon me ham tasveer kar letey
zara tum theher hi jatey koi tadbeer kar letey

tumhara hath merey hath se yoon chhut jayega
agar mujhko khabar hoti isey zanjeer kar letey

sunehrey khwab thai merey tumhari jheel aankhon me
ham inmai doob jate aur phir tabeer kar letey

biccharte waqt chehre par jo sadyon ki udasi thi
agar ham hosh me hotey usay tehreer kar letey

· 2 Like · Mar 06, 2018 at 12:03
Category: love
 
Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Jo Humne Chupa K Rakhi Thi

Jo humne chupa k rakhi thi, us baat k charchay aam huway

Jo chori chori hoti thi mulaqaat k charchay aam huway

Ye soch b sakta tha koi tum chor k chal do gay kabhi

Is baar ki phiki phiki si barsaat k gul be naam huway

Ye wisal judai k qisay halaat ka hisa hotay hain

Yoon rishta tor k chal dena rishtay is se badnaamhuway

Kabhi dosti thi, mulaqaat b thi ik bohat hi payara rishta tha

Rahi ab to nahi koi dushmani bhi ye bohat puranay naam huway

Hum batain aap se kartay hain jab khuwaabo main a jatay ho

Bas tumko wapis lanay main seemab ji hum nakaam huway

· 3 Like · Mar 06, 2018 at 06:03
Category: love
 
Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Jo Humne Chupa K Rakhi Thi

Jo humne chupa k rakhi thi, us baat k charchay aam huway

Jo chori chori hoti thi mulaqaat k charchay aam huway

Ye soch b sakta tha koi tum chor k chal do gay kabhi

Is baar ki phiki phiki si barsaat k gul be naam huway

Ye wisal judai k qisay halaat ka hisa hotay hain

Yoon rishta tor k chal dena rishtay is se badnaamhuway

Kabhi dosti thi, mulaqaat b thi ik bohat hi payara rishta tha

Rahi ab to nahi koi dushmani bhi ye bohat puranay naam huway

Hum batain aap se kartay hain jab khuwaabo main a jatay ho

Bas tumko wapis lanay main seemab ji hum nakaam huway

· 1 Like · Mar 06, 2018 at 00:03
Category: love
 
Poetry / Love

Kashif Yaqoob

Khud Ko Panay Ki Justaju Hai Wohi

Khud ko panay ki justaju hai wohi

Us se milne ki arzoo hai wohi

Uska chehra usi k khad o khaal

Apna mozo guftagu hai wohi

Hain usi k ye rang haye sukhan

Mere pehloo main khoob roay wohi

Kitne mausam badal gaye laikin

Dil wohi dil ki arzoo hai wohi

Hai wohi shoq e chaak daamani

Aur phir khuwahish rafu hai wohi

· 2 Like · Mar 05, 2018 at 18:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
To Chaand Raaton Ki
Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhal-e-Falak Say Urh Kar
Tumharay Qadmoon Pay
Aagiray To Yeh Jaan Laina
Woh Istiaara Tha Meray Dil
Kaa
Agar Naa Aaye?.....
Magar Yeh Mumkin Hi Kis
Tarha Hai Kay Tum Kisi
Par Nigah Daloo
Too Us Ki Deewaar-E-Jaan
Naa Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye!!
Agar kabhi Meri Yaad Aaye
Garaiz Karti Hui Hawaoon
Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main
Tumhain Miloon Gaa
Mujhay Gulaab Ki Patioon
Main Talaash Karna
Main Aous Qatron Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous
Khushbhuoon Main
Naa Pawoo Mujh Koo
To Apnay Kadmoon Main
Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon
Main Tumhain Miloon Gaa
Kahin Pay Roshan Chiraagh
Dekh Loo To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay
Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In
Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar
Sumandar Main Safar Karoon Gaa
Kisi Naa Dekhay Huay
Jazeeray Par Ruk Kay
Tumhain Sadayain Doon Gaa
Sumandaroon Kay Safar
Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

· 2 Like · Mar 04, 2018 at 04:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Roz Taron Ki Numaish Mein Khalal Parta He

Roz taron ki numaish mein khalal parta he
Chaand pagal he andheray mein nikal parta he

Aik deewana musafir he meri ankhon mein
Waqt be-waqt thehar jata chal parta he

Apni tabeer k chakar mein mera jagta khawab
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta he

Roz pathar ki himayat mein ghazal likhty hein
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta he

us ki yaad ayi he sanso zara ahista chalo
Dharkano se bhi ibadat mein khalal parta he

· 1 Like · Mar 03, 2018 at 22:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Wo Kehti Hai Suno Jaana

Wo kehti hai suno jaana,
Mohabbat moum ka ghar hai,
Tapish-e-bud-gumani ki,
Kahin pighla na de is ko?

Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi bud-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to ho,
Mohabbat ho nahi sakti,

Wo kehti hai sada aisay he,
Kia tum mujh ko chaho ge?
K main is main kami koi bhi,
Gawara ker nahi sakti,

Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat k siwa,
Kuch b nahi aata,

Wo kehti hai,
Judai se bohat darta hai mera dil,
K khud ko tum se hat ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,

Main kehta hoon,
Yahi khadshay bohat mujh ko satate hain,
Magar sach hai mohabbat main,
Judai saath chalti hai,

Wo kehti hai,
Batao kia meray bin jee sako ge tum?
Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?

Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi sochon to,
Saansen rukne lagti hain,

Wo kehti hai tumhen mujh se,
Mohabbat is qadr kyon hai?
K main ek aam si larrki,
Tumhen kyon khaas lagti hon?

Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon hai,
Ye khud he jaan jao gi,

Wo kehti hai,
Mujhe waraftagi se dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti hoon,

Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
Mahsoos kerta hoon,

Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main meray kitni mohabbat hai,

Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh se,
Tumhari baat kerti hai,

Wo kehti hai,
Batao na kiss ko khone se darte ho?
Batao kon hai wo jise,
Ye mousam bulate hain?

Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar aaya?

Wo kehti hai,
Atif jee bohat baaten banate ho,
Magar sach hai ye baaten,
Bohat hi shaad rakhti hain,

Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye fasane ek bahana hain,
K pal kuch zindagani k,
Tumhare saath kat jayen,

Phir us k baad khamshi ka,
Dilkash raqs hota hai,
Nigahen bolti hain aur,
Lub khamosh rehte hain…!!!

· 2 Like · Mar 03, 2018 at 03:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Wo Tairi Terah Koi Thi

Youn He Doosh Par Sumbalay
Ghani Zulf kay Do-Shanay
Wo-he Sunhri si Rangat
Wo-he Nain Neend Walay

Wo-he ManPasand Qamat
Wo-he KhushNama Sa-Rapa
Jo badan main neem KhaBi
Tu Lah-ho main RutJagaSa

Kabi Payaas ka Samundar
Kabi Aas ka Jazeera
Wo-he Mehrban LahJa
Wo-he Meezban WateeRa

Tujay Shairi Say Raghbat
Usay Shair Yaad Mairay
Wo-he Us kay be QaReenay
Jo Hain Khas Wasaf Tairay

Kisi aur he Safar Main
SirRay-Rah Mil Gai thi
Tujay aur kiya BataOon
Wo Tairi Terah Koi Thi

Kisi Shair-e-BayAman Main
Main Watan Badar Akaila
Kabi Moot ka Safar Tha
Kabi Zindgi say Khaila

Maira JisSam Jhal Raha Tha
Wo Ghat ka Sa-ayBan Thi
Main Rafaqatoon ka Mara
Wo Mairi MizajDan Thi

Mujay Dil say UsNay chaha
Usay Jan say main nay Chaha
Isi HamRahi main Aakhar
Kaheen Aa-gaya Do-Rah-ha

Yahan GumRahi kay Amkan
Usay Rang O Boo Ka Lapka
Yahan LaghRashoon kay Saman
Usay Kha-aishoon nay Thapaka

Yahan Daam thay Hazaroon
Yahan har taraf Nafas Thay
Kaheen Zer-Zameen Ka Dal-Dal
Kaheen Jaal thay Hiwas kay

Wo Faza ki Fakhta Thi
Wo Hawa ki Raj-Putri
Kisi Ghaat ko na Daikha
Kisi Jheel par na Utri

Phir aik Shaam aisi aai
kay wo Shaam Akhri Thi
Koi Zalzala sa aaya
Koi Barq si Ghri thi

Aajab AandheeYan Chaleen phir
Kay Bikhar gay Dil-O-Jan
Na Kaheen Gul Wafa tha
Na Churagh Aaid-O-Paiman

Wo Jahaz Utar gaya tha
Ya Jahaz Utar raha hay
Tairi Ankhoon main Hain Aansoo
Maria Dil Bikhar Raha hay

Tu Jahan Mujay Mili hay
Wo Whoheen Juda hoi thi
Tujay aur kiya Bataoon
Wo Tairi Terah Koi Thi

· 1 Like · Mar 02, 2018 at 15:03
Category: love
 
Ab Batao Kon Bataye Ga?
Posted by Akram Rahi
Posted on : May 29, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS