Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko

Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko

Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko

Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge

kaho Toh Aaj Saja Lun Garib Khaane Ko

Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile

Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko

Chaman Mein Jaana Toh Sayyaad Dekh Kar Jaana

Akele Chhor Kar Aayaa Hun Aashiyaane Ko

Meri Lahad Pe Patangon Ka Khoon Hota Hai

Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko

Dabaa ke Qabra mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam

Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko

Ab Aage Is Mein Tumhaara Bhi Naam Aayega

Jo Hukm Ho To Yahii Chhod Dun Fasaane Ko

Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai

Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko

Qamar Jalalabadi

· 1 Like · Mar 01, 2018 at 20:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Yaad

Us ne aik baar mujh say poocha
kay batao mujhay kitna yaad kartay ho
main ne kaha bohat ziada
us ne dubara sawal kiya
kay phir bhi batao tu sahih aakhir kitna
main ne kaha bohat bohat ziada

mera jawab sun kar woh zair-e-lab
dheeray say muskurai aur kaha
ab mujh say bhi tu poocho

tu us ki muskurahat aur bhi gehri hoti chali gayee
halka sa gulabi rang chehray peh aakar phail gaya
doobi doobi nazron say mujhay dekha

aur

palkain jhuka kar boli

Pagal!

Yaad tu unhain kiya jata hay
jinhain insaan bhool jaye.

· 2 Like · Mar 01, 2018 at 14:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aarzoo -e- Na Tamam

Teray Pyaar Ki Barish

Gar Nahi Mera Muqaddar

Tu

Ak Saawan Beta Jao

Tum Sang Meray

· 1 Like · Mar 01, 2018 at 02:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Hamari Khush Naseebi Hai

hamari khush-naseebi hy kisi ki zaat pe mrna,

agar ham mar geay dekho!

tu phir rona nahi ham ko,

dobara jo ugaao gy, dobara phool dein gay ham,

magar pathar dilon k shehr mein bona nahi ham ko,

suno!

ham zindagi hain, zindagi ek bar milti hy,

agar mil jaen hum tum ko, tu phir khona nahi ham ko..!!

· 1 Like · Feb 26, 2018 at 12:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr Sakti Hai

Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr sakti hai
Jidhar Chahe ye Baagen Zindagi ki Morr Sakti hai

Muhabbat Rok Sakti hai Kisi Girtey Sitarey Ko
Kisi Jaltey Sharare Ko , Fana Kay Shuaare ko

Ye Chakna Choor Aaine Ki kirchein Jorr Sakti hai
Koi Zanjeer Ho, usko Muhabbat Torr sakti hai

Muhabbat Per kisi bhi Rasm ka Pehra nahin chalta
Kisi Aamr ,Kisi Sultan ka Sikka nahin Chalta

Ye her Zandan Ki Andhi Salakhen Torr sakti hai
Koi Zanjeer Ho Usko Muhabbat Torr Sakti hai

Ye Jab chahe Kisi Bhi khwab ki Tabeer Mil Jaye
Kisi Rastey mein Rasta Poochti ,Taqdeer Mil jaye

Samey kay Taiz Dharoon ko Ye pichey Chorr Sakti hai
Koi Zanjeer Ho , Uss ko Muhabbat Torr Sakti hai

· 2 Like · Feb 26, 2018 at 06:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Toot Jaye Na Bharam Hont Hilaon Kaise

Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,
Hal jaisa bhi ho logon ko sunaon kaise,
Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai,
Mai us k gham ko zamane se chupaon kaise,
Phool hota to mai us k dar pe saja bhi deta,
Zakham le k uski dehleez pe jaon kaise,
Wo rulati hai to jee bhar k rulaye mujhe,
WO meri aankhen hai, Mai usko rulaaon kaise

· 1 Like · Feb 24, 2018 at 16:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Us Mohabbat Ne Hum Ko Kia Na Dia

Us Mohabbat Ne Hum Ko Kia Na Dia ?
Rooth Jaanay Ka Honsla Na Dia
Zindagi ! Tujh Se Ye Shikaayat Hai
Khaak Mein Kiun Hamain Mila Na Dia ?
Be-Wafai Pe Gar Sazaa Na Mili
Tou Wafaa Ka Bhi Kuch Silaa Na Dia
Hum Chalay Khwaab Baichnay Ke Lye
Os Ne Acha Kia Lia Na Dia
Teergi Phelti Gayi Har-Suu
Os Ne Mitti Ka Ik Diya Na Dia
Os Ka Dar Door Tou Nahi Tha Batool !
Hum Ko Qismat Ne Raasta Na Dia..

· 1 Like · Feb 23, 2018 at 22:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Kon Hai

Ye kon hai jo meri bat nahin sunti ?
Mein chalta ho to wo mere sath nahi chalti,?

Andheri raat mein tanah beth kar ?
Mein jalta ho wo mere sath nahi jalti,?

Mein is kabil to ho k wo mujhse bat kare ?
Main khawab dekho to wo tabheer nahi banti ?

Barsoon pahle us ne aik bat kahe thi ?
K mein pyar to karti ho par izhar nahin karti,?

Aik yehi us ke pyar ki Qaid kafi hai,,,,,?
Wo zanjher hila deti hai mgr azad nahin karti

· 3 Like · Feb 21, 2018 at 15:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Phir Mohabat Hai

Mohabbat phir mohabat hai
Kabhi dil se nhi jaati,

Hazaron rang hain is k,
Ajab hi dhang hain is k,

Kabhi sehra, kabhi darya,
Kabhi jugnu, kabhi aansu,

Hazaron roop rakhti hai,
Badan jhulsa k jo rakh day,

Kabhi wo dhoop rakhti hai,
Kabhi ban ker ye ek jugnu,

Shab-e-gham k andheron mein,
Dilon ko aas deti hai,

Kabih manzil kinaarey per,
Piyasa maar deti hai,

Azziyat hi azziyat hai,
Magar ye bhi haqiqat hai,

Mohabat phir mohabat hai,
Kabhi dil se nhi jaati

· 1 Like · Feb 21, 2018 at 09:02
Category: love
 
It''s a beautiful day.
Posted by sehar saeed
Posted on : Aug 26, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS