Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kbhi Aawaz Dena Tum

KBHI AAWAZ DENA TUM...
Na Loat Aaon To Phr Kehna
Kbi Jb Chand Ko Dekho
To Yunhi Muskra Dena
Chalein Thndi Hawayen Jb
To Aankhen Bnd Kr Lena
Mujhe Tm Sochna Aur Soch Me Hi
Qaid Kr Lena
Kbi Badal agar Chhaein ..
Tmhe Barish Ki Khawhish Ho!
Kbi Jb Raat Ho Jaye!
Tmhe Subha Ki Khawhish Ho!
MUJHE AAWAZ DENA TUM…
Na Loat Aaon To Phr Kehna

· 1 Like · Jan 10, 2018 at 06:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Koi Baat Kar Koi Baat Kar

Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar,
Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar,

Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar,

Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar,

Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirrkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar,

Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar,

Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar,

Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar..

· 3 Like · Jan 09, 2018 at 17:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kaha Tha Yaad Hai Tum Ne

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon chand,
Aur tum chandni meri,
Magar jab chand chup jaye,
Kaho phir chandni kesi ?


Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon phool,
Aur tum phool ki khushbu,
Magar jab phool murjhaye,
Kaho khushbu bhala kesi,



Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon dil,
Aur tum dharkan,
Magar dil toot jaye to,
Kaho phir dharknain kesi,



Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon aas,
Aur tum zindagi meri,
Magar jab aas tootey to,
Kaho phir zindagi kesi…??

· 1 Like · Jan 08, 2018 at 22:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Nibhaa Na Saka Magar

Ye aur baat hai kay wo Nibhaa na saka magar...
Jo kiye thay us nay waday wo Ghaazab kay thay...!!!

· 1 Like · Jan 08, 2018 at 16:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se Kaam Hota Hai

Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se kaam Hota Hai

Isi Mahool Ka Shayad Mohabbat Naam Hoti Hai





Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai

Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai





Jab unse kaha ki tasavur me Dil Aapko Sajde Karta hai

Vo Kahne Lage Tum Karte Raho Ye Khas Ibadat Hoti Hai





Dil Torte Hain Phir Jorte Hain, Rula Ke humen bahlate Hain

Yeh Raaz Khula Dilvalon Me Reulvane Ki Aadat Hoti Hai





Kun Jhutha Vada Karte Ho, Jab Maine Kaha To Kahne Lage

Nadan Ho tum, Vaade Se Mere Kuch Der To Rahat Hoti Hai



Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai

Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti hai...

· 2 Like · Jan 08, 2018 at 10:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Jab Tasawer Mera Chupkey Sey Tujhey Cho Aaye

Jab Tasawer Mera Chupkey Sey Tujhey Cho Aaye

Apni Har Sans Sey Mujh Ko Teri Khusboo Aaye



Mashgala Ab Hey Mera Chand Ko Taktey Rehna

Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehloo Aaye



Jab Gardish-e-Dowran Ney Sataia Mujh Ko

Meri Janib Tery Phealey Howey Bazoo Aaye



Jab Bhi Socha Keh Shab Hijar Na Ho Gi Rooshan

Mujh Ko Samjhaney Teri Yad Ke Jugnoo Aaye



Kitna Hasas Meri Aas Ka Sanata Hey

Keh Khamoshi Bhi Jahan Bandh K Ghongaroo Aaye



Mujh Sey Milney Ko Sar-e-Shaam Koi Saya Sa

Terey Aangan Sey Chaley Aur Lab-e-Joo Aaye



Us Ke Lehjey Ka Aasar To Hey Bari Baat Qateel

Wo To Aankhon Sey Bhi Kerta Howa Jadoo Aaye

· 1 Like · Jan 08, 2018 at 04:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Jaane Us Shaks Ko Kesa Yeh Hunar Aata Hai

Jaane us shaks ko kesa yeh hunar aata hai

Raat hote hi aankhon mein utar jata hai



Mein Us kay khayal se nikaloon to kahan jaon

Wo meri soch kay har raste pe nazar aata hai...!

· 1 Like · Jan 07, 2018 at 16:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bhaley Dino Ki Baat Hai

bhaley dino ki baat hai

bhali si aik shakl thii

na yeh ke husn-e-tam ho

na dekhney main aam ho



na yeh ko woh chaley to

kehkashaan sey rehguzar lagey

magar woh sath ho to phir

bhala bhala safar lagey



koi bhi rut ho uski chab

fiza ka rang roop thii

woh garmyon ki chaon thi

woh sardiyon ki dhoop thi



na umr bhar juda rahey

na sath subah shaam ho

na wada-e-wafa pe zor

na yeh ke izn-e-aam ho



na itni khush libasiyaan

ke sadgi gila karey

na itni betakallufi

ke aayeena haya karey



na ikhtilaat main woh ram

ke bemaza ho khuwahishain

na is qadar supurdugi

ke zich karain nawazishain



na aashiqui junuun ki

ke zindagii azaab ho

na is qadar kathor pan

ke dosti kharab ho



kabhii to baat bhii khafii

kabhii sukuut bhii sukhan

kabhii to kasht-e-zaafran

kabhii udasiyon ka ban



suna hai ek umr hai

muamilaat-e-dil ki bhii

wisaal-e-janfiza to kiya

firaq-e-jangusal ki bhii



so ek roz kiya hua

wafa pe behes chir gayee

main ishq ko amar kahoon

woh meri zid sey chir gayee



main ishq ka aseer tha

woh ishq ko qafas kahey

ke umr bhar ke sath ko

woh bad-tar az hawas kahey



shajar, hajar nahiin ke hum

humesha pa-ba-gil rahein

na dhaur hain ke rassiyaan

galey main mustaqil rahein



mohabbaton ki wusatain

humarey dast-o-paa main hain

ke eik dar sey nisbatain

sagaan-e-bawafa main hain



main koii painting nahiin

ke ek frame main rahoon

wohii jo man ka meet ho

usi ke prem main rahoon



tumhari jo bhii soch ho

main us mizaaj kii nahiin

mujhey wafa sey bair hai

yeh baat aaj ki nahiin



na us ko mujh pe zuam tha

na mujh ko us pe naaz hii

jab ehad hii koii na ho

to kiya gham-e-shikastagii



so apna apna raasta

hansii khushii badal diya

woh apnii rah chal parii

main apnii rah chal diya



bhalii si ek shakl thii

bhalii si uski dostii

ab us kii yaad raat din

nahii magar kabhii kabhii

· 1 Like · Jan 07, 2018 at 10:01
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Badnam Zamane Main Mohabbat Nahen Karte

Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,

Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,



Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,

Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,



Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,

Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,



Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,

Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,



Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,

Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte..

· 1 Like · Jan 06, 2018 at 09:01
Category: love
 
Incredible India
Posted by Interesting Videos
Posted on : Jun 14, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS