Poetry / General

Ijunoon

Palkoon Pey.

Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab bhi us kiyaad aaii to koshish ke baa wajood
aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhey bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskurahata tha mere ru-ba-ru magar
chehrey ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

· 1 Like · Jan 20, 2018 at 09:01
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo

· 3 Like · Jan 20, 2018 at 03:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Patta Kanpa

patta kanpa
daal say toota
joogi ke jhooli mein gira
aye joogi tu koun ?

kis jungle say aya hai tu ?
kis basti ka jaya hai tu ?
patay mein kaya daikha tu nay
batay ko kiyon choma tu nay
kiyon uss ko seenay say lagaya
kion yeah tairi gooud mein aya
nagri nagri ghoomnay wallay
aaye joogi - tu koun ?

aye patay, aye kanptay patay
kiyon yeah jogi, rumta joogi
jiss ke apni duniya ho gi
sapnoon mein khooya, matwala
bar mein kafni, kaan mein bala
bastiyoon say bachta katrata
veeranoon mein alakh jagata
iss ujree bagiyaa mein aya
jiss gaiyaa mein dhoop na saya
koye puraani peet nibaahay ?
kiyon yeah aik tujhee ko chahay ?
aye patay tu koun ?

na apnay ko pata janay
na khud ko jogi pehchanay
dono payaasay, dono hanpayain
ik dojay ke goud mein kanpain
dono ik doojay mein samaye
aye pattay tu koun ?
aye joogi tu koun ?

· 1 Like · Jan 19, 2018 at 08:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Nahi Milta

dil mujh say teraa haaye sitamgar nahi milta
mar jaoon gala kaat kay khanjar nahi milta

do din bhi kisi say woh barabar nahi milta
yeh aur qiyamat hai k mil kar nahi milta

ya tark-e-mulaqaat ki kho ho gayi in ko
ya yeh hai k mujh say koi behtar nahi milta

ay kash hum ab thokrain kha kar he sambhalte
sar militay hain is koochy mein pathar nahi milta

zahid ne udaaye tou sifaat malkooti
hazrat ka firshton say abhi par nahi milta

inkaar say umeed hai, iqraar say hai yaas
jab wada kya phir woh muqarrar nahi milta

kya puchhte ho bazm mein kya dhoundh rahay ho
lo saaf bata dun dil-e-muztar nahi milta

tasweer tou paida hai musawir nahi paida
ainaa tou milta hai sikander nahi milta

har aablay mein khaar hai har zakhm mein
milnay say meri jaan koi kiyon kar nahi milta

kiyon kar nah marain mout pe bemaar muhabbat
aisa yeh maza hai k mukarrar nahi milta

kya eid kay din bhi ramzan hai k jo saqi
mujh ko nahi milta koi saghar nahi milta

mehfil mein tari eid kay din mairay galay say
woh kon sa fitnah hai jo uth kar nahi milta

parwanay ka bhi waqt hai bulbul ka bhi mousam
marta hon jo mashooq gharri bhar nahi milta

ya rab marey ashqon say na taseer juda ho
is qaafley say koi bicher kar nahi milta

har waqt parhay jatay hain kiyon daagh kay ashaar
kya tum ko koi aur sukhan war nahi milta

· 4 Like · Jan 18, 2018 at 07:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Kuch Kuch Paghal Hotay Hain

Pyar k Deep Jalanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
Apni Jaan se Janay walay ,KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
Hijar kay gehraay zakham milay to mujh ko yeh Ehsas hoa
Pagal ko samjhanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
jaan se pyaray Logoon se bhi kuch kuch parda laazim hay
Saari Baat Batanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
Us kay ishq main bheeg kay hum ko yeh ehsas hoa
Dil ki Baat main Aanay walay , KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

· 1 Like · Jan 13, 2018 at 08:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Naqsh Faryadi Hai

naqsh faryaadi hai kis ki shokhi e tehreer ka
kaaghzi hai pairahan har paikar e tasveer ka
kaav kaav e sakht jaani haaye tanhaayi na pooch
subha karna shaam ka, laana hai joo e sheer ka
jazba e be-ikhtiyaar e shouq dekha chahiye
seena e shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka
aagahi, daam e shuneedan jis qadar chahay bichhaye
muddua anqa hai apnay aalam e taqreer ka
bas ke hoon ghalib! aseeri mein bhi aatish zer e pa
moo e aatish deeda hai halqa meri zanjeer ka

· 1 Like · Jan 12, 2018 at 07:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Khaatir Ya Lahaaz Say Maan To Gaya

Khaatir Ya Lahaaz Say Maan To Gaya

Jhooti Qasam Say Aap Ka Emaan To Gaya


Dil Lay Kay Muft Kahtay Hain Kuch Kaam Ka Naheen

Ulti Shikayatain Huieen , Ahsaan To Gaya


Dekha Hai Batkada Mainn Jo Aay Sheikh! Kuch Na Kuch

Emaan Ki Touba Hai Emaan To Gaya


Afshaaye Raaz Ishq Main Go Zilatain Hoeen

Lekin Usay Jata To Dia, Jaan To Gaya


Hoosh O Hawaas O Taab O Tawaaa-n , Daagh Ja Chukay

Ab Hum Bhi Janay Walay Hain Samaan To Gaya

· 1 Like · Jan 04, 2018 at 07:01
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Garmi E Hasrat E Nakaam Se Jal Jaatay Hain

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain

Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain


Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye

Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain


Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa

Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain


Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham

Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain


Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath

Jaanay Kiun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain ?

· 1 Like · Jan 03, 2018 at 18:01
Category: general
 
Poetry / General

Ho Gaee Mulaqaat Aankhon Aankhon Main

Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main,,

Sadiyoun say piyaasi thi mohabbat,,

Ho gaee bersaat aankhon aankhon main,,

Mil na saka tha dil kabhi dil say,,

Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main,,

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi,,

Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main,,

Day diya dil aik doojay ko,,

Ho gaee soghaat aankhon aankhon,,

meray Sab rasmoon riwajoon ko,,

,,Saqi

Ho gaee maut aankhon aankhon main,,

· 1 Like · Dec 25, 2017 at 23:12
Category: general
 
Workshop
Posted by shama qadir
Posted on : Oct 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS