General
Poetry / General
Ijunoon
Chalo Chalte Hain
Chalo door Kahin chaltay hain
Kahin peron kay saye Main
Kahin sapnon ki wadi main
Ya kahin jheel Kinaray Per
chalo chaltay hain Kahin Jana
Mohabbat Mehsoos Kartay hain
Teray Kandhay pay sar Rakhay
Jo badal chu kay guzrain To
jo barish ham pay barsay To
Buhut si ankahi batain Khamoshi ki zaban main
Buhut aahista say jana Hamry dil main Utar ayain
kabhi shabnam pay nangay paon,
Teri qurbat kay lamhon main
zamanay bhar say be-khabar
Kahin shehr-e-mohabbat ki zamin pay dono ja pohnchain
nazar main tera chehra ho
faza main khusbu hamri ho
na apni khabar tumhain kuch ho na apna pata mujhe kuch ho
Mohabbat ki khamoshi ho,
Mohabbat ki kahani ho
Mohabbat ki zabani ho

·
1 Like ·
Feb 12, 2018 at 16:02
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Ham Kahan Jate
Taubah ki bhi tofeeq muqder se hai milti
Yeh aakhri bakshesh bhi tere dar se hai milti
Na milta agar yeh taubah ka sahara
Ham kahan jatey
Thikana hi na tha koi hamara
Ham kahan jate
Dar e haq par jhuka k sar
Tuh ikraar e gunah kar ley
Na hota agar yeh rahimat ka ishara
Ham kahan jate
Taubah taubah meri taubah YARAB
Yun daman e rahimat main Chupa leti hai taubah
Dozakh k azaboon se bacha leti hai taubah
Meri taubah taubah meri taubah taubah
So so gunah kiye teri rahimat k zoor par
Meri taubah taubah meri taubah taubah
Meri taubah YARAB
Har chand k main kabil e tahzeer o saza houn
Aashi houn galat kaar houn sar tapa khata houn
MOLA teri makhlooq main
Main sab se bura houn
Lekin mere MAHBOOD
Main banda toh tera houn
Meri taubah taubah meri taubah taubah
Meri taubah YARAB
Nabuwat se shah hadat tak mili un k gharane ko
Na hota kamli wala agar hamara
Ham kahan jate
Na milta agar yeh taubah ka sahara
Ham kahan jate
Taubah taubah meri taubah taubah

Feb 12, 2018 at 10:02
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Ek Lafz Hai
Ek lafz hai....( MOHABBAT )
isse kar k dekho tum tadap naa jao to kehna...!!
Ek lafz hai...( MUQADDAR )
isse ladke dekho tum haar na jao toh kehna...!!
Ek lafz hai....( WAFA )
Zamane mein nahin milti..
Kahin dhoond pao to kehna...!!
Ek lafz hai. ...(* AANSoo *)
Dil mein chhupa kar dekho...Tumhari aankhon se na nikle toh kehna...!!
Ek lafz hai....( * JUDAAI * )
isse seh kar toh dekho tum toot ke bikhar na jao toh kehna...!!
Ek lafz hai....( KHUDA )
Usse pukaar kar toh dekho sab kuch paa naa lo toh kehna...!!

Feb 12, 2018 at 03:02
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Dil Teri Yaad Main
Dil teri yaad main jab bhi ghabraey ga
Koun yadoon ko zangeer pahnaey ga
Sath guzri hui har khushi ki kasam
Ay mere hamsafar tere jane ka gham
Naksh ban kar mere dil pay rah jaey ga
Koun yadoon ko zangeer pahnaey ga
Sangdil hai jahan pyaar majboor hai
Dekh toh zindagi kitni benoor hai
Bin tere kis tarah muj ko chain aey ga
Koun yadoon ko zangeer pahnaey ga
Koun yadoon ko zangeer pahnaey ga
Sath guzri hui har khushi ki kasam
Ay mere hamsafar tere jane ka gham
Naksh ban kar mere dil pay rah jaey ga
Koun yadoon ko zangeer pahnaey ga
Sangdil hai jahan pyaar majboor hai
Dekh toh zindagi kitni benoor hai
Bin tere kis tarah muj ko chain aey ga
Koun yadoon ko zangeer pahnaey ga
·
1 Like ·
Feb 11, 2018 at 21:02
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Main Shisha Kion Na Bana
Tera hai kaam kamaan main use lagane tak
Yeh teer khudhi chala jaey ga nishane tak
Main shisha kion na bana aadmi huwa kion kar
Mujhye toh umr lagi tuut phoot jane tak
Gaey waqtoon ne palat kar na de sada muj ko
Main kitni baar geya gaar k dahane tak
Tujhe toh apne paroon par hi ahtbaar naheen
Tuh kaise ur kar aey ga mere zamane tak
Kia tha faslah bunyaad aashiyaan ka " Naseem "
Hawaeen tanke uraa laeen aashiyane tak

3 Like ·
Feb 11, 2018 at 14:02
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Main Ne Roka Bhi Naheen
Main ne roka bhi naheen
Aur woh thaira bhi naheen
Haadsa kia tha jise dil ne bhulaya bi naheen
Jane walon ko kahan rook saka hai koi
Tum chale ho toh koi rokne wala bhi naheen
Door o nazdeek se uthata hi naheen shoor e zanzeer
Aur sehraa main koi naksh kaf e pa bhi naheen
Beniazi se sabhi kura e jaan se guzre
Dekhta koi naheen hai k tamasha bhi naheen
Woh toh sadeyoon ka safar kar k yahan pouncha tha
Tuh ne moun phir k jis shakh ko dekha bhi naheen
Kis ko nerngi,ayam ki surat dekhlaeen
Rang urta bhi naheen naksh thairta bhi naheen

Feb 11, 2018 at 08:02
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Waqt Ki Tehreer.
Apni majbori bata ta raha ro kar muj ko
Woh mila bhi toh kisi aur ka ho kar muj ko
Paa liya main ne teh aab bhi sahil apna
Mutmaheen tha mera tufaan dabo kar muj ko
Rege sahil pay likhi waqt ki tehreer houn main
Mouj aey toh chali jaey gi dho kar muj ko
Neend main jaise koi kang amaan hai ab toh
Chain milta hai bohot, dair se so kar muj ko
Fasl e gul ho toh nikale mujhye is barzakh se
Bhul jaey na teh sang woh bo kar muj ko

Feb 11, 2018 at 02:02
Category: general
Poetry / General
Hira Chaudhry
Rishty Kisi Se Kuch Yun Nibha Lo
Rishty kisi se kuch yun nibha lo
Kay usky dil kay saaray gham chura lo
itna asar chhor do kisi par apna
kay har koi kahay hamen bhi apna bana lo
Kay usky dil kay saaray gham chura lo
itna asar chhor do kisi par apna
kay har koi kahay hamen bhi apna bana lo
·
2 Like ·
Feb 07, 2018 at 21:02
Category: general
Poetry / General
Amina Noor
Na Dil Ko Lagaaty , Na Heraan Hote
Na Dil Ko Lagaatay , Na Heraan Hotay
Kaash Hum Mohabbat Say Anjaan Hotay
Kaash Hum Mohabbat Say Anjaan Hotay
·
1 Like ·
Feb 07, 2018 at 15:02
Category: general
Sponored Video