Poetry / General

Abi Zinda Hai Maa Meri

Abi zinda hai Maa meri, mujy kuch bhi nahi hoga,
Main jaab ghar se nikalta hoon, dua bhi sath chalti haai...!

· 1 Like · Oct 25, 2017 at 18:10
Category: general
 
Poetry / General

Sadiyon Se Insaan Yeh Sunta Aya Hai

Sadiyon se insaan yeh sunta aya hai,
Dukh ki dhoop ke agey sukh ka saya hai,

Hum ko in sasti khushiyon ka bhoj na do,
Hum ne soch samajh ke gham apnaya hai,

Jhoot to kaatil thehra, es ka kya rona,
Sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hai,

Paidaiesh ke din se maut ki zadd mein hain,
es maktal mein kon humain le aya hai,

Awal awal jis dil ne barbaad kiya,
Aakhir aakhir woh dil hi kaam aya hai,

Itne din ehsaan kiya deewanon per,
Jitne din logon ne sath nibhaya hai…

· 1 Like · Oct 21, 2017 at 18:10
Category: general
 
Poetry / General

Bachpan Ke Dukh Bhi Kitney Achay Hotey Thay

Bachpan Ke Dukh Bhi Kitney Achay Hotey Thay
Tab Tau Sirf Khiloney Toota Kartey Thay

Woh Khushi Bhi Janey Kaisi Khushi Thi
Titlee Ke Par Noch Kay uchla Kartey They

Paon Maar Ke Khud Barish Ke Paani Mein
Apni Nao Aap Duboya Kartey Thay

Ab Socho Tau Chot Si Parti Hay Dil Par
Aap Bana Ke Aap Gharonday Tora Kartey Thay

Ab Tau Ik Aansoon Bhi Ruswa Kar Jata Hai
Bachpan Main Tau Jee Bhar Ke Ro Liya Kartey Thay...!

· 1 Like · Oct 17, 2017 at 19:10
Category: general
 
Poetry / General

Ye Baarishon K Mausam

Ye Baarishon K Mausam
Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
k Mohabbaton Main Baarish
Bari Lazmi Si Shey Hy
Chahey Aasman Se Barsey
Chahey Chashm-e-Nam Se...!

· 1 Like · Oct 16, 2017 at 09:10
Category: general
 
Poetry / General

~*dil_e_dagdaar*~pak Old...

Lagta naheen hay jee mera ujrey diyaar main
Kis ki bani hay aalam_e_ napayedaar main

Keh do in hasarton se kaheen aur ja baseen
Itni jagha kahan hay dil_e_dagdaar main

umar_e_daraaz maang k laey they chaar din
Do aarzo main kat gaye do intezaar main

Itna hay badnseeb "Zafar" kafin k liye dafn k liye
Do gaz zameen bhi na mili kuh_e_ yaar main

· 1 Like · Jun 28, 2017 at 22:06
Category: general
 
Poetry / General

Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen

Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen

Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen

Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai

Ik baar milo
Ik baar milo
Hr baar ye hi taakeed karen

Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain

Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain

Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen.

· 1 Like · Jun 12, 2017 at 14:06
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yun Dost Saare Apne Apne Raste Badal Gaye

Yun dost saare apne apne raste badal gaye
kuch peeche ruk gaye to kuch aage nikal gaye

Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko tez kya hui
jitne wafaa kay patthar the saare pighal gaye

Waado kay taare raato se baahar na jaa sake
iradon ke din nikalne se pehle hee dhal gaye

Wafaaon ke rang shabnam kay qatroo ne dho diye
mohabbat ke phool jazboo ki 'shiddat' se jal gaye

Tanoo ke teer duniya kee kamaano pe jab chadhe
sabar ke daaman hathoo se ek dum phisal gaye

Aankhein khuli to khowaboo ko bura laga magar
kuch dair wo reh ke khafa humse wo khud hi behal gaye

Pehle pehal to ajeeb lage badle huwe chehre
phir yu huwa k waqt ke saath hum bhi sambhal gaye

· 1 Like · Mar 20, 2017 at 06:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Na Wo Sin Hay Fursat E Ishq Ka , Na Wo Din Hay Kshf E Jamal Kay

na wo sin hay fursat-e-ishq ka , na wo din hay kshf e jamal kay
magar ab bhi dill ko jawaaN rakhein wohi shobday khad o khal kay

yeh jo gard baad-e-hayat hay , koi iss ki zad say bacha nahi
magar aaj tak teri yaad ko men rakhon sanbhaal sanbhaal kay

mein ameen o qadr shanas thaa , mujhay sans sans ka pass tha
yeh jabeeN pay hein jo likhay hoey , yeh hisaab hein mah o sal kay

wo kabhi shafaq ka fasooN kahein , kabhi gull kahin kabhi khooN kahein
kay hein meri subh-e-urooj mein abhi rang sham-e-zawaal kay

meri hasratooN ko hara rakhay , meri kash-e-jaaN ko bhara rkhay
yeh yaqeeN , kuch pay khulein gay darr kisi roz bash-e-shumaal kay

shab-e-tar say na dara mujhay , ay khuda jamal dikha mujhay
kay teray saboot hein beshtar , teri shaan jah o jalal kay

koi kohkan ho k qais ho , Meer ho kay Nadeem ho
sabhi naam ek he shakhs kay , sabhi phool ek he daal kay

· 2 Like · Feb 03, 2017 at 02:02
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Raaton Ki Siyahee Mai Seher Ghol Rahe Hain

Raaton Ki Siyahee Mai Seher Ghol Rahe Hain
Gungay Hain Jahan Sab, Wahan Ham Bol Rahe Hain

Biktay Hain Na Jhuktay Hain Na Dabte Hain Kaheen Wo
Kutch Laug Jahan Mai Barhay Anmol Rahe Hain

Ham Youn Bhi Haqiqat Ko Kabhi Jan Na Paaye
Har Shakhs K Chehray Pe Kayee Khoul Rahe Hain

Kirdar Nigari Bhi Boht Khoob Naheen Thi
Iss Uljhi Kahani Mai Kayee Jhol Rahe Hain

Sadd-Haif K Khuddari Ko Youn Bhaint Charha Kay
Hathon Mai Hamaray Sada Kashkaul Rahe Hain

Kuch Log Faqat Apnay Mafadaat Ki Khatir
Ikk Zehr Sa Mahoul Mai Kyun Ghol Rahe Hain

Kuch Wo Bhi Hawaon Mai Urtay Phirtay Hain Zehra
Kuch Ham Bhi K Parvaaz Ko Par Taul Rahe Hain

· 1 Like · Oct 22, 2016 at 06:10
Category: general
 
Mehndi
Posted by Wajeeha Ali
Posted on : Dec 09, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS