Poetry / General

Muzammil Shahzad

Din Guzarte Hain Kahan Raat Kahan Hoti Hai

Din Guzarte Hain Kahan Raat Kahan Hoti Hai
Dard K Maaron Se Yeh Baat Kahan Hoti Hai

Ek Se Chehre To Hote Hein Is Duniya Main
Ek Si Sorat-E-Haalaat Kahan Hoti Hai

Zindagi K Wo Kissi Mor Pe Jab Mil Hi Gaye
Mil To Jaate Hain Mulakaat Kahan Hoti Hai

Aasmano Se Koi Boond Nahi Barse Gi
Jalte Sehraao Main Barsaat Kahan Hoti Hai

Yoon To Auron Ki Bohat Baatein Sunaai Unn Ko
Apni Jo Baat Hai Woh Baat Kahan Hoti Hai

Jaisi Agaaz-E-Mohabbat Main Hua Karti Thi
Waisi Phir Shidat-E-Jazbaat Kahan Hoti Hai

Pyar Ki Aag Bana Deti Hai Kundan Jin Ko
Un K Zehno Main Bhala Zaat Kahan Hoti Hai

· 1 Like · Oct 21, 2016 at 13:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Din Guzarte Hain Kahan Raat Kahan Hoti Hai

Din Guzarte Hain Kahan Raat Kahan Hoti Hai
Dard K Maaron Se Yeh Baat Kahan Hoti Hai

Ek Se Chehre To Hote Hein Is Duniya Main
Ek Si Sorat-E-Haalaat Kahan Hoti Hai

Zindagi K Wo Kissi Mor Pe Jab Mil Hi Gaye
Mil To Jaate Hain Mulakaat Kahan Hoti Hai

Aasmano Se Koi Boond Nahi Barse Gi
Jalte Sehraao Main Barsaat Kahan Hoti Hai

Yoon To Auron Ki Bohat Baatein Sunaai Unn Ko
Apni Jo Baat Hai Woh Baat Kahan Hoti Hai

Jaisi Agaaz-E-Mohabbat Main Hua Karti Thi
Waisi Phir Shidat-E-Jazbaat Kahan Hoti Hai

Pyar Ki Aag Bana Deti Hai Kundan Jin Ko
Un K Zehno Main Bhala Zaat Kahan Hoti Hai

· 1 Like · Oct 21, 2016 at 07:10
Category: general
 
Poetry / General

Naa Inteshaar Ka Khatra Naa Inhedam Ka Hai

Naa Inteshaar Ka Khatra Naa Inhedam Ka Hai
Yeh Marhala To Tabahi Ke Ekhtataam Ka Hai

Jo Khatam Ho Gaya Rishtaa Woh Dosti Kaa Thaa
Jo Bach Gaya Hai Taaluq, Woh Inteqaam Ka Hai

Har Aik Lamha Ajab Khauf Be Panahi Kaa
Hamare Ahad Mein Ye Rang Subh-oo-Shaam Kaa Hai

Bachaiyen Kis Tarah Balaaon Se Bastii Ko
Mohafizon Kaa Iraada Bhii Qatl e Aam Kaa Hai

Yeh Buzdili Hai Ke Hote Hain Phool Unke liye
Woh Jin Ke Haath Mein Khanjar Hamare Naam Ka Hai

Safar Hai Dasht Kaa Aur Raat Hogaii 'Alam'
Hamaare Saamne Ab Masla Qayaam Ka Hai

· 1 Like · Oct 05, 2016 at 08:10
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon

Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon
Aik Mailay Main Puhncha Humakta Hoa
Jee Machalta Tha Aik Aik Shay Per Magar,
Jaib Khali Thi Kuch Mol Lay Na Saka
Laut Aya Liye Hasratain Sainkron
Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon

Khair Mehroomion K Wo Din Tu Gaey,
Aaj Maila Laga Hay Ussi Shaan Say
Aaj Chahon Tu Ik Ik Dukaan Mol Lon
Aaj Chahon Tu Sara Jahan Mol Lon
Naa Rasai Ka Ab Jee Main Dharka Kahan?
Per Wo Chota Sa Nanha Sa Larka Kahan??

· 2 Like · Sep 10, 2016 at 22:09
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tumhari Yaad Kay Jab Zakham Bharnay Lagtay Hain

Tumhari Yaad Kay Jab Zakham Bharnay Lagtay Hain
Kese Bahanay Tumhay Yaad Karnay Lagtay Hain

Hadees -e- Yaar Kay Unwaan Nikharne Lagtay Hain
Tu Har Hareem Main Gaysoo Sanwarnay Lagtay Hain

Har Ajnabi Hamay Mehram Dikhai Dayta Hay
Jo Ab Bhi Teri Gali Say Guzarnay Lagtay Hain

Saba Say Kartay Hain Gareeb -e- Naseeb Zikar -e- Watan
Tu Chashm -e- Subho Main Aansoo Ubharnay Lagtay Hain

Wo Jab Bhi Baat Kartay Hain Is Nataq o Lab Ki Bakhair Geeri
Fiza Main Or Bhi Nagmay Bikharnay Lagtay Hain

Dar Qafas Peh Andhere Ki Muhar Lagte Hay
Tu Faiz Dil Main Sitaray Utarnay Lagtay Hain

· 1 Like · Aug 07, 2016 at 15:08
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Yoon Dost Saray Apnay Apnay Rastay Badal Gaye


Yoon Dost Saray Apnay Apnay Rastay Badal Gaye
Kuch Peechay Ruk Gaye Tu Kuch Aagay Nikal Gaye


Halaat Ke Dhoop Zara See Dair Ko Taiz Kiya Hoi
Jitnay Wafa Kay Payker Thay Saaray Pighal Gaye


Wadoon Ke Teray Ratoon Say Bahir Na Ja Saka
Iraadon Ka Din Nikalnay Say Pehlay He Dhal Gaya


Wafa'on Kay Rang Shabnam Kay Qatron Nay Dho Diya
Mohabbat Kay Phool Jazboon Ke Shiddat Say Jal Gaye


Taano Kay Teer Dunya Ki Kamaanoon Peh Jab Charhey
Sabr Kay Daman Hathoon Say Yak Dam Phisal Gaye


Aankhay Khuli Tu Khuwaboon Ko Bura Laga Mager
Kuch Dair Wo Reh Kar Muztarib Khud He Behal Gaye


Pehlay Pehal Wo Ajeeb Lagay Badlay Howay Chehray
Phir Yoon Howa Keh Waqt Kay Saath Ham Bhi Sanbhal Gay

· 1 Like · Aug 06, 2016 at 21:08
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Duniya Main Hoon Duniya Ka Talab Gaar Nahi Hoon

Duniya main hoon duniya ka talab gaar nahi hoon.
Baazaar se guzraa hoon Kharidaar nahi hoon


Zinda hoon magar zeest kii lazzat nahi baaqii
Har chand ki hoon hosh main hoshiyaar nahi hoon

Is Khaanaa-e-hastii se guzar jaunga belaus
Saayaa hoon faqat naqsh-e-diivaar nahi hoon

Afsurdaa hoon ibarat se dava kii nahi haajat
Gam kaa mujhe ye zauf hai biimaar nahi hoon

Wo gul hoon Khizaan ne jise barbaad kiyaa hai
Uljhon kisi daaman se main vo Khaar nahi hoon

Yaarab mujhe mehfooz rakh us but ke sitam se
main us kii inaayat kaa talabgaar nahi hoon

· 1 Like · Jul 25, 2016 at 18:07
Category: general
 
Poetry / General

Main Moom Houn Pak Old

Aankhoon main raha

Dil main utar kar naheen dekha

Kashti k musafar ne

Samandar naheen dekha

Yeh phool mujhye

Koi waarsat main mile hain

Tum ne mera kantoon bhara

Bester naheen dekha

Jis din se chala houn

Meri manzel pe nazar hai

Aankhon ne kabhi

Meel ka pathar naheen dekha

Pathar mujhye kahta hai

Mera chahane wala

Main moom houn

Us ne mujhye chou kar naheen dekha,

· 1 Like · Jul 23, 2016 at 02:07
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Main Khuwab Buhat Daikhta Hun

mein khawab bohat daikhta hon

ayesay khawab !

jin mein koi Dukh‘ koi pareshani nahi hoti

jin mein wasal kay raste hijar ki waadi say ho qr nahi guzaartay

jin mein muhabbat hamesha adh khulay phool ki tarrha khobsorat

aur bachay ki muskaan ki tarrha pakeeza hoti hai

ayesay khawab !

jahan aik muskurahat ki qeemat hazaar ansun nahi hotay

meri palkon ki shakhon par kayi ayesay khawab baithy rehtay hain

unn ki mujahe jeeney peh uksaati hai

naye raaston ki aur lay qr chalti hai

nai manzlon ka pataa batati hai

mujahe apnae khawabon say muhabbat hai

unn khawabon mein rehnay walay aik aik shakhs say muhabbat hai

unn khawabon mein Dikhne wali aik aik shye say muhabbat hai

keh yeh sab mera hai‘ sirf mera

merae khawab merae ilawa koi nahi daikh sakta

jab tak keh mein nah unhain dikhana chahoon

koi unhain meri aankhon say chura nahi sakta

jab tak keh mein khud nah kisi ki aankhon mein saja duun

merae Khuwabo!

aaj mein yeh iqraar karta hon !

keh mein tum mein zindah hon

yeh sach hai keh mujahe inn aansuon say dar nahi lagta

magar phir bhi mein shayad iss liye ronay say drta hon

keh inn aankhon mein tum rehtay ho

tumhara hona mera hona hai

aur mein tumhein khonay say drta hon ,

· 1 Like · Jul 20, 2016 at 19:07
Category: general
 
Sawal-o-Jawab
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Nov 08, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS