Friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Farz
Chalo tmko milate hain hm us mehman se phle,
Jo hmre jism mein rhta tha hmari jan se phle,
Hme jee bhar k apni mout ko tou dekh lene do
Nikal jae na hmari jan hamaray arman se phle,
Koi khamosh ho jae tou uski khamoshi se dar lagta hai,
Samndar chup hi rhta he ksi tufan se phle,
Hmri ankhon mein abi motiyon ka silsila dekho
Ye maala roz japte hen hm ik muskan se phle,
Purane yaar hain "saQi" ye hmara farz banta hai,
TUJHE HOSHIYAAR KARDEN HUM TERE NUQSAAN SE PHLE...!!
Jo hmre jism mein rhta tha hmari jan se phle,
Hme jee bhar k apni mout ko tou dekh lene do
Nikal jae na hmari jan hamaray arman se phle,
Koi khamosh ho jae tou uski khamoshi se dar lagta hai,
Samndar chup hi rhta he ksi tufan se phle,
Hmri ankhon mein abi motiyon ka silsila dekho
Ye maala roz japte hen hm ik muskan se phle,
Purane yaar hain "saQi" ye hmara farz banta hai,
TUJHE HOSHIYAAR KARDEN HUM TERE NUQSAAN SE PHLE...!!
·
1 Like ·
Mar 03, 2015 at 23:03
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Raat Ka Akhri Pehar
Raat Ka Aakhri Pehar Tha...!
MuJh Se Chaand Ne Kaha'
Humnasheen Alvida'
MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai'
Kal Milain Ge isi Jagah'
Main Sun Kar Muskura Diya
Us ko Batla diya
Jaanay walay Lot-tay nahi Tum nahi aao ge
Mujhe hai yaqeen
Meri bat sun kar woh ruk gaya
Aur kehne laga
Tum se wada karoon phir poora na kron
Aisa mumkin nahi
Sun aey Humnasheen
Main CHAAND Hoon
Insaan Nahi...
MuJh Se Chaand Ne Kaha'
Humnasheen Alvida'
MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai'
Kal Milain Ge isi Jagah'
Main Sun Kar Muskura Diya
Us ko Batla diya
Jaanay walay Lot-tay nahi Tum nahi aao ge
Mujhe hai yaqeen
Meri bat sun kar woh ruk gaya
Aur kehne laga
Tum se wada karoon phir poora na kron
Aisa mumkin nahi
Sun aey Humnasheen
Main CHAAND Hoon
Insaan Nahi...
·
2 Like ·
Mar 01, 2015 at 07:03
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Dostana Mizaaj
Bnd ktab mein kholay oraaq rakhta hon
Dil ko ainey ki trha shafaf rakhta hon
aik bar ka milna kr deta hai mutasir
Apni ghuftago mein kuch aisa andaz rakhta hon
Muj se milo tou zara fasley se mila karo
Main dil mein utr janey ka kamal rakhta hon
Hr dukh ko yunhi bant deta hon lafzon mein
Kuch aisa hi dostana mizaaj rakhta hon..!
Dil ko ainey ki trha shafaf rakhta hon
aik bar ka milna kr deta hai mutasir
Apni ghuftago mein kuch aisa andaz rakhta hon
Muj se milo tou zara fasley se mila karo
Main dil mein utr janey ka kamal rakhta hon
Hr dukh ko yunhi bant deta hon lafzon mein
Kuch aisa hi dostana mizaaj rakhta hon..!
·
2 Like ·
Feb 26, 2015 at 21:02
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Mere Dost
MERE DOST MERAY HUM- SAFAR
TU KABHI TU MAIREY SAATH CHAL
TU AJAB TARHAN KA DOST HAI
JO CHALAY BHI SAATH TU DO KADAM
mairey dost mairey mohtaram
MAIN TUJHAY DIL SE DUA BHI DOUN
NA WAFA KAREY NA TU JAFA KAREY
AJEEB HAIN TERi MANZILEN
AJEEB HAI TEREY BAAM- O -DARR
mairey dost mairey mohtaram
TU MARi NAZAR KI TALaSH HAI
KiTNI DOuR HAI PHIR BHI PASS HAI
MAIN CHAHON GA TUJH KO HAR KADAM
mairey dost mairey mohtaram
KABHI KHAAT LIKHON TU JAWAB NA DEY
SARA PYAR DOuR SAy DEKHA BHI DEY
KASi HAIn YEH MOHBBATIN
TU ...BATA DEY AJ OO MAREY SANAM ..
mairey dost mairey mohtaram
TU KABHI TU MAIREY SAATH CHAL
TU AJAB TARHAN KA DOST HAI
JO CHALAY BHI SAATH TU DO KADAM
mairey dost mairey mohtaram
MAIN TUJHAY DIL SE DUA BHI DOUN
NA WAFA KAREY NA TU JAFA KAREY
AJEEB HAIN TERi MANZILEN
AJEEB HAI TEREY BAAM- O -DARR
mairey dost mairey mohtaram
TU MARi NAZAR KI TALaSH HAI
KiTNI DOuR HAI PHIR BHI PASS HAI
MAIN CHAHON GA TUJH KO HAR KADAM
mairey dost mairey mohtaram
KABHI KHAAT LIKHON TU JAWAB NA DEY
SARA PYAR DOuR SAy DEKHA BHI DEY
KASi HAIn YEH MOHBBATIN
TU ...BATA DEY AJ OO MAREY SANAM ..
mairey dost mairey mohtaram
·
1 Like ·
Feb 17, 2015 at 02:02
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Kaanch Ki Choori
KAANCH Ki CHoORI
Kitni saada,
Kitni pyari,
Kaanch ki choori Jèsi larki,
Collègè k ik kamry mèn Bèthi,
Jany kya kuch soch rahi thi,
Uska hath kalai par tha,
Or wo kuch kuch khofzada thi,
Ab kia hoga?
Main Bhi us k paas hi Bètha,
Usko gaur sè dèkh raha tha,
Main nè uska hath pakra,
Aur pyar sè pucha,
Kiya hai Qissa?
Uski ankhèn Bhèèg gain,
Aur wo dhèèmi si awaz mèn Boli...
Dèkho...Mohsin!!
"Mèri Chorri toot gai~...
Kitni saada,
Kitni pyari,
Kaanch ki choori Jèsi larki,
Collègè k ik kamry mèn Bèthi,
Jany kya kuch soch rahi thi,
Uska hath kalai par tha,
Or wo kuch kuch khofzada thi,
Ab kia hoga?
Main Bhi us k paas hi Bètha,
Usko gaur sè dèkh raha tha,
Main nè uska hath pakra,
Aur pyar sè pucha,
Kiya hai Qissa?
Uski ankhèn Bhèèg gain,
Aur wo dhèèmi si awaz mèn Boli...
Dèkho...Mohsin!!
"Mèri Chorri toot gai~...
·
1 Like ·
Feb 13, 2015 at 10:02
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Chalo Aisa Karen
Chalo aisa karen mil k sitary bant lete hyn
Zarurat k mutabiq sahary bant lete hyn
Mohabbat karny walon ki tijarat b anokhi hy
Munafa chorh dete hyn khasary bant lete hyn
Agar milna nahi mumkin tou lehron par qadam rakh kar,
Abhi Dariya-e-Ulfat k kinary bant lete hyn
Meri jholi main jitne b wafa k phool hyn inko,
Ekathy beth kar sare baant lete hyn
khuloos k Ilawa paas apne kuch nahi 'Faraz',
Isi daulat ko hum qismat k maarey bant lete hyn.
Zarurat k mutabiq sahary bant lete hyn
Mohabbat karny walon ki tijarat b anokhi hy
Munafa chorh dete hyn khasary bant lete hyn
Agar milna nahi mumkin tou lehron par qadam rakh kar,
Abhi Dariya-e-Ulfat k kinary bant lete hyn
Meri jholi main jitne b wafa k phool hyn inko,
Ekathy beth kar sare baant lete hyn
khuloos k Ilawa paas apne kuch nahi 'Faraz',
Isi daulat ko hum qismat k maarey bant lete hyn.
·
1 Like ·
Feb 11, 2015 at 08:02
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Dosti Kar Lo
Har Pal Yahi Kehta Hoon
Mujse Koi Dosti Kar Lo
Pal Do Pal Ki Nahi Chahiye Muje
Zindagi Bhar Ki Rishtay Daari Karlo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Akela Pan Mehsoos Karta Hoon
Koi To Meri Majboori Ko Samjo
Nahi Chahiye Heeray jawahrat Aapse
Aapki Anmol Dosti Mere Naam Karlo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Dosti –e – Mudal Dedo Muje
Uska Biyaaj Me Dil Se Lotaunga
Zindagi Me Yahi Ek Cheez Ki
Mujpar Udhari Hai Samajlo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Har Mouke Ko BantNa Chahta Hoon
Kuch Sunna Kuch Suna Na Chahta Hoon
Ghum To Aakela Hi Pi Jaunga Yaaro
Khushi Kiske Sang Bantu Yeh Kehdo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Dost Ko Dosti Se Zyada Rakhunga
Pyar Se Bhi Barh kar Pyara Kahunga
Nahi Aane Dunga Tumhari Aakho Me Aasu
Ek Baar Nihar Par Aaitbaar To Karlo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Har Pal Yahi Kehta Hoon
Mujse Koi Dosti Kar Lo
Pal Do Pal Ki Nahi Chahiye Muje
Zindagi Bhar Ki Rishtay Daari Karlo
Mujse Koi Dosti Kar Lo
Pal Do Pal Ki Nahi Chahiye Muje
Zindagi Bhar Ki Rishtay Daari Karlo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Akela Pan Mehsoos Karta Hoon
Koi To Meri Majboori Ko Samjo
Nahi Chahiye Heeray jawahrat Aapse
Aapki Anmol Dosti Mere Naam Karlo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Dosti –e – Mudal Dedo Muje
Uska Biyaaj Me Dil Se Lotaunga
Zindagi Me Yahi Ek Cheez Ki
Mujpar Udhari Hai Samajlo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Har Mouke Ko BantNa Chahta Hoon
Kuch Sunna Kuch Suna Na Chahta Hoon
Ghum To Aakela Hi Pi Jaunga Yaaro
Khushi Kiske Sang Bantu Yeh Kehdo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Dost Ko Dosti Se Zyada Rakhunga
Pyar Se Bhi Barh kar Pyara Kahunga
Nahi Aane Dunga Tumhari Aakho Me Aasu
Ek Baar Nihar Par Aaitbaar To Karlo
Mujse Koi Dosti To Karlo
Har Pal Yahi Kehta Hoon
Mujse Koi Dosti Kar Lo
Pal Do Pal Ki Nahi Chahiye Muje
Zindagi Bhar Ki Rishtay Daari Karlo
·
1 Like ·
Jan 25, 2015 at 11:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Dosti Ghazal Hai
Dosti Ghazal Hai GunGunane Ke Liye,
Dosti Naghma Hai Sunane Ke Liye,
Yeh Woh Jazba Hai Jo Sab Ko Milta Nahi,
Kyun k Housla Chahiye Dosti Nibhane Ke Liye
Dosti Naghma Hai Sunane Ke Liye,
Yeh Woh Jazba Hai Jo Sab Ko Milta Nahi,
Kyun k Housla Chahiye Dosti Nibhane Ke Liye
·
1 Like ·
Jan 24, 2015 at 23:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Ye Dostana Hamara
Ye Dostana Hamara
Jeene Ka Ek Bahana Hai
Kabhi Na Ho Hum Juda
Aisi Dosti Nibhana Hai
Haatho Mein Haath Lekar Chale
Hum To Hain Aise Yaar
Koi Bhi Aaye Saamne
Humko Na Hai Kisi Ka Dar
Teri Khusi Mein Meri Khushi
Tere Hi Dam Se Meri Hasi
Ab Na Ye Sath Chorna Hai
Aisi Dosti Nibhana Hai
Ye Dosti Salamat Rahe
Khuda Se Yehi Maangna Hai
Hum Aisi Misal Banen
Ke Duniya Ko Yehi Dekhana Hai
Dosti Hai Ek Anmol Heera
Woh Khushnaseeb Hai Jisne Ise Paya Hai
Ab Tere Bin Nahi Jeena Hai
Aisi Dosti Nibhana Hai
Jeene Ka Ek Bahana Hai
Kabhi Na Ho Hum Juda
Aisi Dosti Nibhana Hai
Haatho Mein Haath Lekar Chale
Hum To Hain Aise Yaar
Koi Bhi Aaye Saamne
Humko Na Hai Kisi Ka Dar
Teri Khusi Mein Meri Khushi
Tere Hi Dam Se Meri Hasi
Ab Na Ye Sath Chorna Hai
Aisi Dosti Nibhana Hai
Ye Dosti Salamat Rahe
Khuda Se Yehi Maangna Hai
Hum Aisi Misal Banen
Ke Duniya Ko Yehi Dekhana Hai
Dosti Hai Ek Anmol Heera
Woh Khushnaseeb Hai Jisne Ise Paya Hai
Ab Tere Bin Nahi Jeena Hai
Aisi Dosti Nibhana Hai
·
2 Like ·
Jan 23, 2015 at 19:01
Category: friendship
Sponored Video