Poetry / Friendship

Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sar raah miley

Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon

Yeh jo gardishain hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain

Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon

Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon

Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon

Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon

Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon

Kabhi yun jo ho kisi din agar

· 1 Like · Jul 11, 2017 at 03:07
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Chilman Sey Lagey Baithay Hain Shoq E Deedar Liye

Chilman Sey Lagey Baithay Hain Shoq E Deedar Liye
Kab Uthey Ga Perda Sarbasta Razon Sey

Dhoop Ki Tamazet Ney Badal Diya Rung Apna
Zooq-e-Haya Ney Bitha Rakha Hey Khamoshi Sey

Mehfil-E-Shab o rooz Kaisay Guzer Jati Hey Chup Chap
Dildari-E-Dildar Ki Hum nawahi Ki Umeed Sey

Aarzooain orr Umangain Shikesta Dili Per Hain Khatam
Chaak-e-Gireban Chaak Hey Khoni Aarzoon Sey

Shub-E-Hijran Main Sung-E-Raah Honay Ka Hey Yaqeen
Wafa Ka Daman Chota Nahi Arzaan Zindagi Sey

· 1 Like · Jul 09, 2017 at 01:07
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Be Qarar Mausam Main

Be qarar mausam main

Yaad k jharokon say

Phir Tum hi se milnay ki

Dil mein kitni khawahish hai

Jo udaas rakhti hai

Aaj kal decemeber ki

Phir udaas shaamein hain

In ujaarr aankhon mein

Zard zard raatein hain

Barishon k mausam mein

Toot phoot jata hoon

Jab bhi yaad aatay ho

Khud ko bhool jata hoon

· 1 Like · Jan 04, 2017 at 14:01
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Usay Kehna

Woh Shakha Mjhe Pyara Hai
Usay Kehna

Whe Jeeny Ka Sahaara Hai
Usay Kehna

Log Pyare Hain Bhut Say Mujhy
Who Sub Say Pyara Hai
Usay Kehna

Muhabatein, Aadawatain, Shikayaten Uski
Mujhe Sub Gawara Hain
Usay Kehna

Chahny Waly Or Bhi Hain Lekin
Yeh Dil ‘Sirf Or Sirf’ Tumhara Hai
Usay Kehna ,

· 1 Like · Jul 08, 2016 at 15:07
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Kabi Unka Name Lena

Kabi Unka Name Lena
Kabi Unki Bat Karna
Mera Zoq Unki Chaahat
Mera Shoq Un Pe Marna
Kabi Chalte Chalte Thamna
Or Tham K Beth Jana
Kabi Larkhara K Girna
Or Gir K Phir Sambhalna
Kabi Raat Raat Rona
Kabi Din Charhe Sisakna
Kai Darya Darya Rehna
Kabi Boond Ko Tarsna
Raha Ishq Se Hamesha
Koi Wasta He Apne
Yahi Zindagi He Apni
Yahi Rasta He Apna,

· 1 Like · Jul 08, 2016 at 09:07
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

K Hum Dost Hein

Roz Na Sahi Kisi Din
Yaad Kr Lena

K Hum Dost Hein

Kabhi Neend Na Aaye
Tou Hamein Bhi Jaga Lena

K Hum Dost Hein

Kabhi Bhi Kuch Bhi Kehna Ho
Tou Bila Jhijhak Kehna,

K Hum Dost Hein

Agar Kabhi Kuch Dena Chaho
Tou Humein Apnay Gham Dena,

K Hum Dost Hein

Agar Jo Na Kehna Chaho
Tou Kabhi 'Alvidah' Na Kehna

K Hum Dost Hein,

· 2 Like · Jul 08, 2016 at 02:07
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

K Hum Dost Hein

Roz Na Sahi Kisi Din
Yaad Kr Lena

K Hum Dost Hein

Kabhi Neend Na Aaye
Tou Hamein Bhi Jaga Lena

K Hum Dost Hein

Kabhi Bhi Kuch Bhi Kehna Ho
Tou Bila Jhijhak Kehna,

K Hum Dost Hein

Agar Kabhi Kuch Dena Chaho
Tou Humein Apnay Gham Dena,

K Hum Dost Hein

Agar Jo Na Kehna Chaho
Tou Kabhi 'Alvidah' Na Kehna

K Hum Dost Hein,

· 2 Like · Jul 07, 2016 at 20:07
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Dosti Ka Ye Matlab Hai Do Dilon Ka Raaz

Doste Mien Doston Se Shukria Na Karien
Kabhi Doste Ke Is Rishty Ko Saray Aam Na Karien

Dosti Ka Ye Matlab Hai Do Dilon Ka Raaz
Ke Ye Dilon Ko Thor Kar Kabhi Nakaam Na Karien

Doste Rakhte Hai Zindagi Se Ek Gehra Sa Bandan
Kahe Is Gehri Se Bandan Ko Koi Badnaam Na Karien

Fazal Zindagi Na Ishq Kiya Hai Siway Doste Ke
Aye Doston Mujhi Chor Kar Kabhi Mujhi Bijaan Na Karien,

· 7 Like · Jul 06, 2016 at 22:07
Category: friendship
 
Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Wo Yar Hamara Kaisa Hai

Aye Moj-E-Hawa,Ab Tu Hi Bata
Wo Yar Hamara Kaisa Hai

Jo Bhool Gaya Hum Ko Kab Se
Wo Jaan Se Pyara Kaisa Hai

Kia Us Ko Jeewan Lamho Mein
Koi Lamha Mera Baqi Hai

Kia Uski Jaagti Aankhon Main
Meri Yaad Se Phaili Udasi Hai

Kia Wo Bhi Meri Tarah Yun Hi
Shab Bhar Jaga Kerta Hai

Kia Wo Bhi Saya-E-Rehmat Main
Hamain RAB Se Manga Karta Hai

Agar Aisa Nahi To Tu Hi Bata
Hum Yaad Use Kion Kertay Hain

Wo Humse Bicher Ker Khush Hai Agar
To Hum Pal Pal Kion Marte Hain,

· 2 Like · Jul 06, 2016 at 15:07
Category: friendship
 
Cute Baby Sleeping
Posted by kamran ullah khan
Posted on : Apr 06, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS