Friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Dosti Nibhao !!!
Dosti Nibhao Aisi Jis Se Duniya Yaad Kare,
Bano Misal Aisi Jis Par Kasmein Khaya Kare,
Kuch Dushman Hain Jo Doston Se Ladwaate Hain,
Dosti Aisi Karo Ke Mar Jaaye To Bhi Dost Ka Bhala Kare,
Dosti Se Badh Kar Duniya Mein Koi Aur Cheez Nahi,
Yeh To Wo Rishta Hai Jis Se Itahaas Bana Kare,
Dosti Naa Hoti To Kya Pata Hota,
Ke Dard Kya Aur Khushi Kya
Aur Khuda Se Koun Fariyaad Kare.

·
1 Like ·
Jan 23, 2015 at 05:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Dost Bana K Bhula Na De
Baatein Karke Rula Na Dijiyega
Yun Chup Rehke Saza Na Dijiyega
Na De Sake Khushi, To Gam Hii Sahi
Par Dost Bana Ke Yuhi Bhula Na Dijiyega
Khuda Ne Dost Ko Dost Se Milaya
dosto Ke Liye Dosti Ka Rista Banaya
Par Kehte Hain Dosti Rahegi Uski Kayam
Jisne Dosti Ko Dilse Nibhaya
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi
Aap Jaise Dost Jabse Milay
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi
Yun Chup Rehke Saza Na Dijiyega
Na De Sake Khushi, To Gam Hii Sahi
Par Dost Bana Ke Yuhi Bhula Na Dijiyega
Khuda Ne Dost Ko Dost Se Milaya
dosto Ke Liye Dosti Ka Rista Banaya
Par Kehte Hain Dosti Rahegi Uski Kayam
Jisne Dosti Ko Dilse Nibhaya
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi
Aap Jaise Dost Jabse Milay
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi
·
1 Like ·
Jan 21, 2015 at 07:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Dosti
Dosti Dilon Main Ek
Mazboot Rabta Hai
Samjho Tu Ek
Mehfooz Raasta Hai
Mano Tu
Ishq Ki Intiha Hai
Parkho Tu
Dil He Ki Surat Dil Main Raha Hai
Agar Na Mano Na Samjho Aur Na Parkho Tu
Sirf Waqt Ka Ziya Hai!
Mazboot Rabta Hai
Samjho Tu Ek
Mehfooz Raasta Hai
Mano Tu
Ishq Ki Intiha Hai
Parkho Tu
Dil He Ki Surat Dil Main Raha Hai
Agar Na Mano Na Samjho Aur Na Parkho Tu
Sirf Waqt Ka Ziya Hai!
·
1 Like ·
Jan 21, 2015 at 00:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Aap Ki Dost
Tujh Say Mil Kar Tu Yeh Lagta Hay Ae Ajnabi Dost
Tu Meri Pehli Muhabbat Thi Mera Aakhri Dost
Log Har Baat Ka Afsana Bana Detay Hain
Yeh Tu Duniya Hay Meri Jaan Kai Dushman Kai Dost
Teri Qamar Say Bhi Lipti Hay Amarbel Koi
Meri Chahat Ko Bhi Duniya Ki Nazar Kha Gaye Doost
Yaad Aye Hain Tu Phir Toot Kar Yaad Aye Hain
Koi Guzri Howi Manzil Koi Khoye Howe Doost
Ab Bhi Aaye Ho Tu Ahsan Tumahra Lekin
Woh Qiyamat Jo Guzarti Thi Guzar Bhi Gaye Doost
Teray Lehjay Ki Thakan Mein Tera Dil Shamil Hay
Aisa Lagta Hay Judai Ki Ghari Aa gai Doost
Barish Mang Ka Mosam Hay Meray Shehar Mein Tu
Tu Yeh Sheshay Ka Badan Lay Kar Kahan Aa gai Doost
Mein Usay Aahad-Shikan Kaisay Samjah Loon Jis Nay
Aakhri Khat Mein Yeh Likha Tha Faqat "Aap Ki Doost"

Jan 20, 2015 at 17:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Dosti Achi Ho...
Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho
…. Toh itihaas banaati hai !
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki ae dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston peh haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hain toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jazbaat ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai k raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hain !
Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!
Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch iss tarah jeete hain,
K har lamha doston ke naam hota hai !
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse milay bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aanso teri aankh se gira sakta hoon !!
Ae dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi

Jan 20, 2015 at 05:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Dosti
abb yahi maslehat munasib hai
abb isy tour zindagi kar lein
mein be yaaron ka zakhm khorda hoon
dushmano ، dosti karlen
abb isy tour zindagi kar lein
mein be yaaron ka zakhm khorda hoon
dushmano ، dosti karlen
·
1 Like ·
Jan 19, 2015 at 23:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Maan
Bus Aik Shaam Bari Khamoshi Se Toot Gaya
Hamain Jo Maan, Teri Dosti Mein Rehta Tha
Hamain Jo Maan, Teri Dosti Mein Rehta Tha
·
2 Like ·
Jan 19, 2015 at 16:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Kaash
meri zindagi ke Raaz main
aik Raaz tum bhi ho
meri Bandagi ki Pyaas main
aik Pyaas tum bhi ho
tum kiya ho
kuch ho ya nahi ho
Mager
meri Zindagi ke Kaash main
aik Kaash tum bhi ho
aik Raaz tum bhi ho
meri Bandagi ki Pyaas main
aik Pyaas tum bhi ho
tum kiya ho
kuch ho ya nahi ho
Mager
meri Zindagi ke Kaash main
aik Kaash tum bhi ho
·
1 Like ·
Jan 19, 2015 at 09:01
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Kaash
meri zindagi ke Raaz main
aik Raaz tum bhi ho
meri Bandagi ki Pyaas main
aik Pyaas tum bhi ho
tum kiya ho
kuch ho ya nahi ho
Mager
meri Zindagi ke Kaash main
aik Kaash tum bhi ho
aik Raaz tum bhi ho
meri Bandagi ki Pyaas main
aik Pyaas tum bhi ho
tum kiya ho
kuch ho ya nahi ho
Mager
meri Zindagi ke Kaash main
aik Kaash tum bhi ho
·
2 Like ·
Jan 19, 2015 at 03:01
Category: friendship
Sponored Video