Friendship
Poetry / Friendship
Dostee Ke Liye
dostee ke liye
jahaan me
kya nahee hai,
lekin acChe dost
yahaa milate nahee hain
kahaa kahaa na kiyaa
hamane talaash jahaan me,
magar koee yahaa
wafaa aur Jazbaat
samajhataa nahee hai,
aaj hee to baazaar me
saudaa huaa mere zameer kaa
aur log kahte hain k
kuCh bikataa nahee hai.
jahaan me
kya nahee hai,
lekin acChe dost
yahaa milate nahee hain
kahaa kahaa na kiyaa
hamane talaash jahaan me,
magar koee yahaa
wafaa aur Jazbaat
samajhataa nahee hai,
aaj hee to baazaar me
saudaa huaa mere zameer kaa
aur log kahte hain k
kuCh bikataa nahee hai.
·
0 Like ·
Jun 25, 2015 at 02:06
Category: friendship
Poetry / Friendship
Dosti
Dost ki dosti ki kya misaal denge
Doston mein pehle aapka naam lenge
Wafa ki ummeed karte nahin tumse
Lekin bewafa ho tum yeh ilzaam na denge
Doston mein pehle aapka naam lenge
Wafa ki ummeed karte nahin tumse
Lekin bewafa ho tum yeh ilzaam na denge
·
3 Like ·
Jun 24, 2015 at 20:06
Category: friendship
Poetry / Friendship
Suno Aye Dost!
Suno aye Dost
Kabhi udaas ho jao to,
Kabhi tanhayi ki raatein
Tumhein zyada sataein to,
Kabhi titali na bole to
Aur jugnu laut jayen to,
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sun na paye to,
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jayein to,
Kabhi jab khud se lad lad kar
Thakan se choor ho jao,
Kabhi chahte huye bhi khud akele
Ro na pao to,
Apni ankhon ko band karna
Mujhe aawaz de dena,
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho batein keh dena,
Mere kandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena,
Phir khud mein jab laut jao to
Usi duniya chale jana,
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon mein,
Hamein dil se pukaroge
Hamein tum saath paoge..!
Kabhi udaas ho jao to,
Kabhi tanhayi ki raatein
Tumhein zyada sataein to,
Kabhi titali na bole to
Aur jugnu laut jayen to,
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sun na paye to,
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jayein to,
Kabhi jab khud se lad lad kar
Thakan se choor ho jao,
Kabhi chahte huye bhi khud akele
Ro na pao to,
Apni ankhon ko band karna
Mujhe aawaz de dena,
Aur phir mere tasawwur se
Jo chaho batein keh dena,
Mere kandhe pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena,
Phir khud mein jab laut jao to
Usi duniya chale jana,
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon mein,
Hamein dil se pukaroge
Hamein tum saath paoge..!
·
4 Like ·
Jun 24, 2015 at 14:06
Category: friendship
Poetry / Friendship
Dosti
Sachchi hai meri dosti aazma ke dekh lo
Karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo
Badalta nahi kabhi sona apna rang
Jitni baar dil kare aag laga kar dekh lo
Karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo
Badalta nahi kabhi sona apna rang
Jitni baar dil kare aag laga kar dekh lo
·
2 Like ·
Jun 24, 2015 at 08:06
Category: friendship
Poetry / Friendship
Dost Banati Nahi
Kuch Log Zindagi Me Aate Hain Iss Tarah
Kab Kaise Jaan, Jigar Bann Jaate Hain Kya Pata
Par Ab Mein Apni Qismat Aazmati Nahi
Ke Main Ab Dost Banati Nahi...
Ke Kuch Log Mile The Mujhe Bhi Raah-E-Zindagi Me
Baharaoun Me Sath Chale Bhi The Woh Mere
Toofanoun Me Koi Sath Chala Bhi Nahi Mere
Ke Mein Ab Koi Dost Banati Nahi...
Har Baar Yaqeen Karti Hoon Sabke Fareb Par
Rakhti Hoon Apne Yaqeen Ke Tukde Samet Kar
Par Abb Kisi Par Bhi Aitebaar Nahi...
Ke Mein Ab Koi Dost Banati Nahi...
Ek Baat Kahoun...
Khush Ho Toh Duniya Sath Hoti hai
Rooth Jao Toh Koi Manata Nahi...
Isiliye Shayed...
Mein Kisi Ke Saamne Apne Aansu Bahati Nahi
Ke Mein Ab Koi Dost Banati Nahi...
Kab Kaise Jaan, Jigar Bann Jaate Hain Kya Pata
Par Ab Mein Apni Qismat Aazmati Nahi
Ke Main Ab Dost Banati Nahi...
Ke Kuch Log Mile The Mujhe Bhi Raah-E-Zindagi Me
Baharaoun Me Sath Chale Bhi The Woh Mere
Toofanoun Me Koi Sath Chala Bhi Nahi Mere
Ke Mein Ab Koi Dost Banati Nahi...
Har Baar Yaqeen Karti Hoon Sabke Fareb Par
Rakhti Hoon Apne Yaqeen Ke Tukde Samet Kar
Par Abb Kisi Par Bhi Aitebaar Nahi...
Ke Mein Ab Koi Dost Banati Nahi...
Ek Baat Kahoun...
Khush Ho Toh Duniya Sath Hoti hai
Rooth Jao Toh Koi Manata Nahi...
Isiliye Shayed...
Mein Kisi Ke Saamne Apne Aansu Bahati Nahi
Ke Mein Ab Koi Dost Banati Nahi...
·
1 Like ·
Jun 19, 2015 at 06:06
Category: friendship
Poetry / Friendship
Ali Bukhari
Etena Bhi Ameer Nahi K Ash Kar Sakoo
Etena bhi Ameer Nahi k ash kar sakoo,
Etena Gareeb nahi k bhukha mar sakoo
Etena daler bhi Nahi K kise se Lad sakoo
Etena Nacheez bhi nahi k kisi ko maar sakoo
Koshish hamesha yeh he Rehti Hai k
k Doston ke liye hi jeeon or doston ke liye hi mar sakoo
Etena Gareeb nahi k bhukha mar sakoo
Etena daler bhi Nahi K kise se Lad sakoo
Etena Nacheez bhi nahi k kisi ko maar sakoo
Koshish hamesha yeh he Rehti Hai k
k Doston ke liye hi jeeon or doston ke liye hi mar sakoo
·
1 Like ·
Jun 16, 2015 at 15:06
Category: friendship
Poetry / Friendship
Dosti
Dosti ki bejod misaal ho tum
na hai koi kami lazabab ho tum.
nahi koi aisa meri "Dost" jaisa
doston mai dosti ki ek alag pahchan ho tum
tum se baat ho meri to sukoon milta hai
jab jaati ho arif ko kar jati bejaan ho tum.
Nahi karta mann tumse door hone ka ek pal
Mazbooriyon se ghiri bahut pareshan ho tum
Pyar to dekha hai zamane ka maine.
Dosti main muhabbat ki ek alag pahchaan ho tum
Tumhari dosti ne hi ek bejaan ko jaandar banaya
Girte hue dost ko sambhalna sikhaya.
Nahi chuka paunga kabhi dosti ka karz
Kitne pyar se nibhaya tumne dosti ka farz.
Girte hue halaat mai meri maddadgar ho tum
Dosti kya hoti hai is baat se bhi khabardaar ho tum.
na hai koi kami lazabab ho tum.
nahi koi aisa meri "Dost" jaisa
doston mai dosti ki ek alag pahchan ho tum
tum se baat ho meri to sukoon milta hai
jab jaati ho arif ko kar jati bejaan ho tum.
Nahi karta mann tumse door hone ka ek pal
Mazbooriyon se ghiri bahut pareshan ho tum
Pyar to dekha hai zamane ka maine.
Dosti main muhabbat ki ek alag pahchaan ho tum
Tumhari dosti ne hi ek bejaan ko jaandar banaya
Girte hue dost ko sambhalna sikhaya.
Nahi chuka paunga kabhi dosti ka karz
Kitne pyar se nibhaya tumne dosti ka farz.
Girte hue halaat mai meri maddadgar ho tum
Dosti kya hoti hai is baat se bhi khabardaar ho tum.
·
1 Like ·
Jun 12, 2015 at 11:06
Category: friendship
Poetry / Friendship
Sirf Aap Ek Hain
Jaise Chaand ke paas Taare anek hain
Par har Taare ke paas sirf Chand ek hai
Waise hi Aapke paas Dost anek hain
Par Humare paas sirf Aap ek hain
Par har Taare ke paas sirf Chand ek hai
Waise hi Aapke paas Dost anek hain
Par Humare paas sirf Aap ek hain
·
2 Like ·
Mar 26, 2015 at 10:03
Category: friendship
Poetry / Friendship
Mian Usman
Aise Hote Hain Dost
Khushi bhi doston se hai
Gam bhi doston se hai
Takraar bhi doston se hai
Pyaar bhi doston se hai
Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai
Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai
Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai
Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai
Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai
Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hain
Khwab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai
Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hain
Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hain
Ya yun kahun yaro
Apni to duniya hi doston se hai.
Gam bhi doston se hai
Takraar bhi doston se hai
Pyaar bhi doston se hai
Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai
Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai
Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai
Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai
Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai
Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hain
Khwab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai
Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hain
Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hain
Ya yun kahun yaro
Apni to duniya hi doston se hai.
·
1 Like ·
Mar 24, 2015 at 02:03
Category: friendship
Sponored Video