Poetry / 24

Aditya

Ham Ko

Ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa

kaise mar mar k guzaarii hai tumhen kyaa maaluum
raat bhar taaron bharii raat pe ronaa aayaa

kitne betaab the rim jhim mein piiyenge lekin
aai barsaat to barsaat pe ronaa aayaa

kaun rotaa hai kisii aur k Gham kii Khaatir
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa

ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa

· 1 Like · May 14, 2015 at 22:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Aditya

Tanhai

Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai


Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Kartey hain basar raat main aur meri tanhai


Saanson ka kya bharosa kab chhor jain saath
Laikin rahein gay saath main aur meri tanhai


Aaye na tumhe yaad kabhi bhool kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai


Aa k paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai


Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai

· 1 Like · May 14, 2015 at 16:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Aditya

Hasrat

Chahe jaane ki kisey hasrat nahi hoti

Magar her kisi ki aisi Qismat nahi hoti

Koi ek hota hai jo sama jaata hai Dil main

Her kisi se to yun hi Mohabbat nahi hoti

Pyaar khareedna hai to khareedo Pyaar se

Yeh jazba hai anmol is ki qeemat nahi hoti

Tum bhool gaye ho to yeh aur baat hai warna

Bhool jaana her kisi ki aadat nahi hoti

Un ko dekhne se jo milta tha Dil ko saroor

Ab kisi ko bhi dekhne se woh raahat nahi hoti

· 2 Like · May 12, 2015 at 19:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Adil Iftikhar

Tera Khayaal

Mairi Nigaah Ka Haasil Jamaal Tera Hai
K Iss Ghazal Mein Sarasar Khayaal Tera Hai

Ye Aaj Maira Likha Dey Raha Hai Jo Khushboo
Nahin Hai Iss Mein Maira Khuch Kamaal, Tera Hai

Mujhey Hai Fikr Teri, Main Chalo Bhula Doon Ga
Tu Kaisey Bhool Sakey Ga Sawaal, Tera Hai

Karoon Main Laakh Jatan Par Nikal Nahin Paata
Mujhey Jakarr K Jo Rakhta Hai Jaal, Tera Hai

Kaha Hai Dil Ne Mairey Aaj Mujh Say Ye 'Tanha'
Sanam Hain Sab K Mager Bemisaal, Tera Hai .....!

· 1 Like · May 12, 2015 at 13:05
Category: 24
 
Poetry / 24

Fatima Zehra

Mout Ko Aana Hi Hai

Ja rahi hai jaan jisko ek din jana hi hai
Zindgi ke baad yaron maut ko aana hi hai.
Yeh zindgi aisi jisse hai sabko jeena
Kabhi to hasna hai kabhi to hai rona.
Aana jana duniya me sabka hai laga
Na koi chota hai na koi hai bada.
Kab ho jaye fana zindgi kisko hai pata
Dukh sukh hai jeevan ka sangam sabko hai pata.
Choti si hai zindgi hona na khafa
Pyar se kato zindgi ek din hona hai juda.
Khusiya sabko de do jee lo khusiyon me
Chand sitaron jaise jee lo sab pholo kalion me.
Jeevan ka yeh hi ek sach hai jisko aana hai
Zindgi ke baad "SAGAR" Maut ko aana hi hai..

· 2 Like · May 10, 2015 at 18:05
Category: 24
 
There is no row at position 78.There is no row at position 79.There is no row at position 80.There is no row at position 81.
Bey Wafai Ki Sab Kitaabo''n Mien.
Posted by daud bhatti
Posted on : Jun 16, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS