Poetry / 0

Ijunoon

Sailaabon Se Aankh Milao

Sailaabon Se Aankh Milao,
Toofaano Pe Waar Karo,
Mallaahon Ka Chakkar Chhorro,
Taer Ke Dariya Paar Karo !

Tum Ko Apna Shaukh Mubarak,
Humko Mubarak Apna Sulooq,
Hum Phoolon Ki Shaakh Taraashen,
Tum Chaako Par Dhaar Karo...

Phoolon Ki Dukaaney Kholo,
Khushbu Ka Byopaar Karo,
Ishq Khata Hai Toh Ye Khata,
Ek Baar Nahi Sau Baar Karo !

· 1 Like · Aug 26, 2016 at 18:08
Category: 0
 
Poetry / 0

Farooq Ahmed

· 1 Like · May 10, 2016 at 18:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Sir Jhukaney Ki Aadat Nahi Rahi

Sir jhukaney ki aadat nahi rahi
Ansoo bahaney ki aadat nahi rahi

Hum kho gaye to pachtao gay bohat
Hamari laut ke aaney ki aadat nahi rahi

Tere dar pe mohabbat ke sawali ban jatey
Lekin hath phelaney ki aadat nahi rahi

Teri yaadein humko aziz hain bohat
Magar waqt ganwaney ki aadat nahi rahi

Tum sakhat dil nikley kya gilla karein hum
Shikwa-e-dil lab pe laney ki aadat nahi rahi

Bad'dua bhi kya karein haq mein tumhare
Humein to dil bhi dukhaney ki aadat nahi rahi,

· 1 Like · May 03, 2016 at 06:05
Category: 0
 
Poetry / 0

~*bhigi Bhigi Raat Main*~~pak Old...

Bhigi bhigi raat main

Rimjhim ki barsaat main

Aaa ja mere sathiya piyar ham karen

KHUDA kare yeh ghata aur tuut kar barse

Main dekhta hi rahoon aaj tuj ko jee bhar k

Dil ka rishta jore k sari duniya chhor k

Aaaa ja mere sathiya piyar ham kareen

Nazar se chumne do aaj in sitaron ko

Badan se lipte huwe shabnami shararon ko

Rimjhim k is raag main thandi thandi aag main

Aaaa ja mere sathiya piyar ham karen

Hazaar ratoon pe bhari yeh raat ho jaye

K lab hileen bhi naheen aur baat ho jaye

Halchal hay aarman main masti k tufan main

Aaaa ja mere sathiya piyar ham karen...

· 2 Like · Feb 04, 2016 at 00:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Kabhi Kitabon Mein (pak Old)

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna
Hamein Bhi Yaad Hai Aaj Tak Wo
Nazar Say Harf-e-Salam Likhna


Wo Chand Chehray, Wo Behki Batein
Sulagtay Din Thay, Sulagti Ratein
Wo Chotay Chotay Se Kaghazon Par
Muhabbaton Kay Payaam Likhna


Gulab Chehron Say Dil Lagana
Wo Chupkey Chupkey Nazar Milana
Wo Arzuon Kay Khwab Bun'na
Wo Qissa-e-Na Tamaam Likhna

Mere Nagar Ki Haseen Fizao
Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao
To Poochna Ke Kahan Basay Wo
Kahan Hai Un Ka Qayam Likhna

Gayee Ruton Mein Rubab Apna
Bas Ek Yeh Hi To Mashghala Tha
Kisi Kay Chehray Ko Subah Likhna
Kisi Kay Chehray Ko Sham Likhna

· 1 Like · Feb 03, 2016 at 18:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Hadud e zaat (Pak Old)

Tu is qadar Mujhe apne qareeb lagta hay
Tujhe alag se jo sochon ajeeb lagta hay
Jise na husn se matlab na ishq se sar-o-kaar.
Wo shakhs Mujhko boht bud naseeb lagta hay
Hadud-e-zaat se baher nikal k dekh zara.
Na koi gair na koi raqeeb lagta hay
Ye dosti ye marasim ye chahaten ye khulus.
Kabi kabi Mujhe sab kuch ajeeb lagta hay
Na jane kab koi tufaan aaye ga yaaro.
Buland moj se kinara qareeb lagta hay

· 2 Like · Jan 30, 2016 at 02:01
Category: 0
 
Poetry / 0

Tera Mera Net Ka Piyar (Pak Old)

Rim jhim rim jhim pare phohaar

Tera mera net ka piyar

Jhan jhan bajeen man k taar

Tera mera net ka piyar

Aye mere paas tu aise

Duur kabhi na jaye

Murjhayeen na khil k kaliyan

Aisi bhi rut aye

Aye na pat jhar rahe bahar

Tera mera net ka piyar

Aaa bachpan k bichre sathi

Kyun muj ko tarsaye

Umr guzari ro ro main ne

Kahye dair lagaye

Samne aaa ja phir ek bar

Tera mera net ka piyar

· 1 Like · Dec 23, 2015 at 10:12
Category: 0
 
Poetry / 0

Abdul Basit

Kouch Ishq Tha Kouch Majbori Thi...

Kouch ishq tha kouch majbori thi
So maine jiven var diya
Main kaisa jinda aadmi tha
Ek skahsh nai mujh ko mar diya

Juhki hai ab meri najre tuko yaad karti hai
Bhare lutaooge kho ek din tum aaooge
Na sikwa na gila na sikayat karenge
Omar bahr aapka naam le kar marenge

Tum chae na chae hame gam nahi koi
Ham her pal bus tumi se pyar karenge
Kat rahi hai jindgi ab khusiyo kay saye mai
Shayd khuda ko bhi ye pasand aaya nahi

Kuch is kadar kahfa houa khuda ham se
Yahha hoon mai our mera ham dam hai or kahi
Darmiyaaa hai or doriii hai judaii hai tunahii hai
Dard ke alawa khuda se mujhe or kouch mila nahi

Fir dunya bhi bigar gayi mujh se
Itne kehar dahyee gaye mujh pay
Dard saha nahi jata tumhare bagir raha nahi jata
Mohabbat mai thokre bhout kah li

Ab il zame mohabbt saha nahi jata
Ristoon ki zanzeero mai fasla hoon or ab raha nahi jata
Dil mai kisi ko basa kay mitaya nahi jata
Dard to us zalim nay bhout diya

Lekin ilzame bafa uyhatya nahi jata
Kab hogi merio dil ki murad puri
Kab taq jiuonga mai yeh jindgi adhori
Khusiya kabhi to mere Daman mai hongi ya Nahi

Apni mohabbat kay bina ji paounga yan nahi
Choor dounga mai yeh sansar mar jaounga mai yahi
Gar jina para tumhare pyar bina kahi

· 1 Like · Oct 06, 2015 at 21:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Bari Umr Hay Tumari (Pak Old)

Abhi dhundh hi rahi thi

Tumeen yeh nazar hamari

K tum aa gaye achanak

Bari umr hay tumari

Abhi kuch hi dair pahle

Bara zikar tha tumara

Kai bar dharkanon ne

Tumeen piyar se poukara

Mit'ta intezar dil ka

Hui khatm bekarari

Hamein piyar ki khushi se

Kiya aashna tumhi ne

Tumeen piyar ham woh dein ge

Jo deya na ho kisi ne

K tumari zindagi hay

Hamein jaan se bhi piyari

Woh nazar k samne hay

Jisey ham ne dein sadayeen

Jo karaar ban k aya

Usey kyun na dein duayeen

· 1 Like · Oct 06, 2015 at 14:10
Category: 0
 
The Pissing Tanker
Posted by Interesting Videos
Posted on : Nov 19, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS